Namaskar dosto, Aaj ki is post me BlogLon aapko batane ja raha hai ki Blogger template kaise change ya upload karte hai. vaise me aapko ek pichhli post me Blogger blog kaise banate hai iske bare me bata chuka hu. Blogger template change karna bahut hi asan kam hota hai fir bhi kuchh newbies ko achhe se samjhane ke liye mene is post me screenshot aur video tutorial ko ek achha tarika mante huye images ke saath -saath video ka bhi upyog kiya hai jisse newbies ko samajhne me koi problem n ho.
Me yadi blogger template change karne ki baat karu to is bare me HMH ya hindimehelp par post dali huyi hai aap chahe to use bhi padh sakte hai lekin me bhi aapko apne tarike se is bare me aapko apna knowledge share karna chahunga taki aap aur achhe se sikh sake.
To aaiye thoda pahle pichhe ki taraf chalte hai, jaisa ki aap jante hai ki blogger ya blogspot par blog banana bahut hi sinple hai lekin uki template ko apne hisab se design karna thoda mehanat wala kaam hota hai kyonki jab aap blogger par blog banate hai to aapko us samay default template use karna hota hai aur ise apne hisab se design karna thoda muskil kaam hota hai newbies ke liye. To aaiye jante hai ki is problem ko kaise kam kiya jaye.
Read Also: Blogger Blog me Google Analytics code kaise add kare
Download Third party Blogger Template :
Aaj ke samay me internet par bahut sare template website maujood hai jaha se aap free Blogger template asaani se download kar sakte ho. Lekin apne blog ke liye template aisa select karna chahiye jo seo friendly hone ke sath-saht mobile friendly ho. aur isme sabse jyada dhyan dene wali baat ye hai ki aap aise template ko choose kare jiski achhi design hone ke sath-sath fast loading template ho matlab clean and fast loading template use kiya jaye to jyada achha hota hai.
Yadi aapko Template download karna hai to aap google search engine me type kar ke search kare “Free Fast loading blogger template” ya Free Blogger Template etc. google apko un website ke bare me jankari dega jaha par aap free me apne blog ke liye achha template download kar sakenge.
Aise templates me aapko achhi design ke sath – sath seo friendly template hone ka feature mil jata hai. Yadi aap third party template download karenge to aapko Rar file ke extension me ek file milti hai jise hame Rar tools ka use karke extract karte hai jisme hame XML file milti hai jise ham Blogger blog par upload karte hai jisse hamara template change ho jata hai.
To aaiye aapka samay jyada n lete huye aapko main point par lata hu aur jante hai ki blogger blog me template kaise upload karte hai.
Read Also: Blogger blog ke liye sitemap kaise banate hai ?
Yadi aap Blogger template kaise change karte hai isko video ke dwara bhi sikh sakte hai.
Yadi aap video tutorial nahi dekhan chahte to niche likhi steps follow kare.
Blogger Blog me Template kaise upload kare ?
- Sabse pahle aap koi achha sa Template download kar ke use extract kar le aur uski XML file rakhe.
- Uske baad aap apne Blogger Dashboard ko login kariye.
- Ab Dashboard me jakar Template par click kariye.
- Iske baad hame apne blog ke template ka backup lena theek rahega kyonki yadi is process me koi mistake hoti hai to ham apne backup ke dwara fir se vaise ka vaisa apne blog ko bana sakenge isliye Backup/Restore par click kare.
- Ab aapke samne ek chhoti si new window open hogi jisme aapko Download full template par click karke template ka backup apne computer ki hard drive me save karna hoga.
- Ab aap Browse button par click kariye.
- Ab download kiye huye template ki xml file select karke open kare.
- Iske baad Upload button par click kar de.
- Ab aapka template upload ho raha hoga isme kuchh secconds lagenge aur successfully upload hone ke baad Gear icon par click kare kuchh is tarah dikhai dega image dekhiye –
- Ab No Show desktop template on mobile devices ke samne wale radio button par click karke select kare aur Save par click kar de.
Congratulation ! Ab aapka third party blogger template upload ho chuka hai View Blog par click karke apne change huye template ko dekh sakte hai. Iske baad aapko design aur layout se related features apni avasyakta ke anusar khud edit kare.
Read Also: Blogger blog me Basic settings kaise set kare
Mujhe ummid hai ki aapko Blogger Template kaise Change karte hai iske bare me achhe se samajh aa gaya hoga, Yadi fir bhi aapko mere tutorial se related koi problem hai to krapya hamse jaroor comments ke madhyam se puchh sakte hai, Me aapki problem ka solution jaldi dene ki koshish karunga. Yadi aapko yah Tutorial pasand aaye to social media jaise Facebook, Pinterest Linkdin aur Google plus par apne friends ke sath jarur kare.
PShindi says
Blogger template ko pasand karne me new blogger aksar galti kar dete hain kyoki use SEO ka kam knowledge hota he aur vo sabse jyada mahatv Template ki design ko dete he. Bator Template Designer me achchhi tarah janta hu ki badhiya Template kaisa hona chahiye.
Hemant Kumar Arya says
Woow Awesome post. This is really helpfull for me. You made my day. I just loved this article. You helped me alot so I just wanna say thanks to you.
Thank you.
Suhail Ansari says
Sir maine template to change kardi bt ab mere blog ke header par template ke hi lebal aa rhe hain unhe kaise sahi karu btao plzzz.
Surendra Singh says
Suhail Ansari ji vo menu hai unhe aap template me jakar change kar sakte hai, iske liye edit html par click kare fir Ctrl+F dabaiye aur usme vo word search kariye jo change karna hai.
Mohammad Nadeem says
Bhai meraa jo blog hai uski post top par googel par kaise laau….koi tips dijiye…..i am waiting your valuable ans…
Thans
Surendra Singh says
Dear Mohammad Nadeem ji Uske liye aap apni post me long tail keywords sahi tarike se use kijiye jyada jankari ke liye is post ko padhe Post me Keywords kaise use kare ? Secret seo tips
Rahul Raj says
अच्छा आर्टिकल है sir | न्यू ब्लॉगर आसानी से इस पोस्ट को समझ भी सकते हैं | आपका ब्लॉग really ब्लॉग्गिंग सिखाने के लिए बेस्ट ब्लॉग है
neelesh says
sir maine blog me ignite template upload kiya hai par every post ke neeche EDIT ka option aa (show) ho rha hai ise kaise Remove karu please tell me ?
Surendra Singh says
Edit ka option sirf aapke liye show hoga kyonki jis browser par aap blogger account login kiye ho usi par blog open karoge to edit option show hoga, yadi aap other browser par blog open karoge to edit option show nahi hoga.
Matlab ye isliye hai kyonki aap blogspot login jis browser par kiye ho usi par Blog open Kar Rahe hai, ye option kisi other person ko show nahi honge.
Ankita says
Hindi me jaankari dene ke liye bahut dhnyawad. Hamesha esehi hindi me jaankari dete rahe.
Subhash says
Thanks For Sharing Brother