Hello Friends, Is post me Bloglon aapko batane ja raha hai ki Blog ya Website me Facebook like box kaise add kare jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Blogger Blog me Feedburner feed kaise add karte hai. Ham sab jante hai ki social media site Facebook ek aisi website hai jo bahut kam samay me popular ho gayi hai, Is par per day karodo user online rahte hai. Isiliye ham sab Bloggers ke liye bahut hi achha platform hai jis par ham free me apne blog ya website ka promotion kar sakte hai, jisse hame website ke liye achha traffic bhi milta hai. Facebook par apne blog ke liye ek page banate hai jisse hamare blog ki popularity badhti hai jo ki bilkul free banaya jata hai. Kuchh newbies nahi jante ki apne blog par facebook fan page box kaise add kiya jata hai kyonki mujhse kuchh logo ne social media site par bahut baar puchha tha ki facebook fan page box site me kaise lagate hai. Isliye meri yah post aise hi logo ke liye hai jo ye sab nahi jante hai. Is post ke dwara aap aasani se apne blog me like box lagana sikh sakte hai. Is post me aap sikhenge ke Blogger aur WordPress blog me Fb page like box kaise laga sakte hai.
Blog me facebook like box kyo lagaye ?
Apne blog me facebook like box lagana bahut jaruri hai kyonki isse aapke site ke subscriber increase hote hai, Ab aap soch rahe honge ki isse subscriber ka kya sambandh hai to me aapko batana chahunaga ki jab koi aapke Fb page ko like karta hai to vo aapke page ka subscriber ban jata hai matlab jab aap apne blog par koi new post publish karte hai aur use apne Facebook page par share karte hai to vo post un subscriber tak automatically pahunch jati hai aur vo use padhne ke liye click karte hai to aapke blog par aa jate hai jisse aapke blog ka traffic bhi badhta rahta hai.
Ab aap samajh gaye honge ki facebook like box apne blog me lagana kitna important hota hai. To chaliye aage badhte hai aur sikhenge ki how to add facebook like box in blogger.
Blogger blog me facebook like box kaise add kare ?
Iske liye niche diye gaye steps ko carefully follow kariye –
Sabse pahle apne blogger Dashboard ko login kariye fir Layout par click kariye.
- Add a gadget par click kare.
- Html/Javascript par click kare.
Ab aapke samne ek popup window open hogi, Lekin pahle aap niche diya gaya code copy kar le.
<div id="fb-root"></div> <script>(function(d, s, id) { var js, fjs = d.getElementsByTagName(s)[0]; if (d.getElementById(id)) return; js = d.createElement(s); js.id = id; js.src = "//connect.facebook.net/en_US/all.js#xfbml=1"; fjs.parentNode.insertBefore(js, fjs); }(document, 'script', 'facebook-jssdk'));</script> <div class="fb-like-box" data-href="https://www.facebook.com/bloglon/" data-width="300" data-colorscheme="light" data-show-faces="true" data-stream="false" data-header="false"></div>
3. Ab us Box ko koi naam de de Jaise “Facebook page” etc..
4. Iske baad us khali box me code paste kar de.
5. Ab Line no. 9 me diye gaye FB Page URL ko apne page ke URL se change kar de, Yadi Width change karni ho to 300 ki jagah apne hisab se width change kar de.
6. Ab save par click kar dijiye.
6. Ab save arrangement par click kar dijiye.
Congratulation! Ab aapka facebook like box aapke blog me sahi tarike se add ho chuka hai.
Yadi aapka wordpress blog hai aur aap facebook fan page box apne wordpress blog me add karna chahte hai, To chaliye sikhte hai hai ki how to add facebook like box to wordpress website.
WordPress blog me Facebook like box kaise add kare ?
Iske liye hamare dwara bataye gaye steps ko follow kare –
Sabse pahle apne wordpress Dashboard ko login kare.
- Appearance >> Widgets par click kare.
- Text wale Widget par click kare.
- Add widget par click kariye.
- Ab aapke samne widget open ho jayega usme Title wale field me Widget ka naam likh de jaise “Facebook Page” etc.
- Ab Content wale field me upar diya gaya code copy karke paste kar de.
- Iske baad Save par click kare.
Note : Code me diye gaye Facebook page ki link ki jagah apne FB page ki link paste kar de, Yadi facebook like box ki width kam ya jyada karna hai to code me di gayi width 300 ko change kar sakte hai.
Congratulation ! Ab aapka Facebook page ka like box aapke wordpress blog me puri tarah se add ho chuka hai, Ab aap apne blog ko check karke dekh le.
Mujhe ummid hai ki aapko ab achhi tarah se maloom chal gaya hoga ki Blog ya Website me Facebook like box kaise add karte hai. Yadi is post se related koi problem ya suggestion hai to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapki problem ya suggestion ka welcome karte hai. Yadi ye post aapko helpful lage to please apne social media freinds ke saath jaroor share kare.
rahul says
dhanvyaad bhai bahut acchi post hai aapne bahut acchi tarike se bataya hai
Shibam Kar says
Thanks, Its really a great and important widget for every blog.
n.k detruja says
Sr awesome information mera ek sabbal hai ki mera blog aap check karke bataye ki muje keywords contact aur seo pe kuch jyada work karna padega
Surendra Singh says
Aap keyword optimization theek Kar Rahe hai lekin phir bhi is post ko jaroor follow kijiye http://www.bloglon.com/keywords-kaise-use-kare-seo-tips/
n.k detruja says
Thanks bro muje aapke jsisa blog me lagaya yesa temmplet blogpost keliye wabsite keliye mil sakta hai sem
Surendra Singh says
N.k detruja ji, Blogspot ke liye aap ribbon template use Kar sakte hai lekin bilkul same template nhi milega thoda design me difference rahega jise aap apne hisab se customize Kar sakte hai, Me bhi Ribbon theme use Kar rha hu lekin ise Maine customize Kiya Hua hai. Keep visiting on BlogLon.
Er Sachin Bhati says
Thank u Friend 4 share this article with us
Deep kakasiya says
Bhai aapne apne blog ke sabhi widgets ko box me add kiya hai ye kaise karte hai.
Surendra Singh says
Brother ye theme design hai.
Ravi Saw says
Bhai aapne jo code diya hai wo work nahi kar raha..
nilesh kumar says
bhai mere nahi ho raha hai kuch karo plz