Is post me ham aapko batane ja rahe hai ki Best 3 Free WordPress Hosting Provider Companies, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Hostgator india par hosting kaise kharide. Yadi aap apna blog self hosted wordpress par banana chahte hai aur WordPress ke bare me bilkul bhi knowledge nahi hai, Aur money bhi invest nahi karna chahte hai. Aur aap money invest karne se pahle WordPress ko achhe se samajhna chahte hai to ye post aapke liye bahut hi important hai. Kyonki aaj ham aapko yaha batane wale hai best free wordpress hosting sites ke baare me. Jaha par aap apna Self hosted wordpress blog free me bana sakte hai, Kyonki kuchh companies free hosting provide kar rahi hai. Yadi aapko WordPress ka bilkul bhi Knowledge nahi hai to sikhne ke liye use kar sakte hai Ya fir Hosting buy karne ke liye Money problem hai to aap Free web hosting ka use kar sakte hai.
-
000webhost.com (Free WordPress Hosting):
Yadi aap newbie hai aur aapko nahi lagta ki is samay paid hosting kharid kar self hosted wordpress blog ya website create karni chahiye ya fir aap wordpress blogging ke liye new user hai to is samay aap wordpress par blogging sikhne ke liye 000webhost par free hosting ke liye registered ho sakte hai. Yadi ham iske features ki baat kare to ye free hosting ke liye bahut achhe achhe features provide karti hai. To chaliye iski Free WordPress Hosting ke features ke bare me thoda knowledge le lete hai –
- 100 GB bandwidth milti hai.
- 1500 MB disk space milega file store karne ke liye.
- Iske free hosting me only 1 Website bana sakte hai per account.
- Isme aapko 5 E-mail Accounts bhi include hai.
- Control Panel bhi milega.
- 2 MySQL Databases Support hoga.
- Yadi aap self hosted wordpress blog banana chahte hai to iske liye Website Builder feature include hai.
- Sub-Domains in cheejo ko bhi free hosting me include kiya gaya hai.
- Yadi aapk apne blog ya site par ads lagakar money earn karna chahte hai to aap bilkul adsense ya other Ad Networks use kar sakte hai.
- Jyadatar Free WordPress hosting providers apne ads aapke blog ya site par show karne ke liye force karte hai lekin isme aisa nahi hai. Ye aapko Ads show karne ke liye force nahi karta matlab No ads!
- Iska hosting server bhi Fast servers mana jata hai
- Instant Backups available hai.
- FTP Support milta hai.
- Isme Web File Manager bhi milta hai jisse asani se apni site ke database file ko manage kar sakte hai.
- Ye aapki site ko 99% Uptime rakhne ka commitment karta hai.
- Free web hosting ke liye sign up karne par aapka acoount turant activate ho jayega matlab Instant Activation.
Ise bhi padhiye : Domain tools se blog ke liye Unique Domain kaise khoje
2. Biz.nf (Free WordPress Hosting):
Ye bhi ek bahut hi achhi company mani jati hai jis par ham free wordpress hosting use karke self hosted wordpress blog bana sakte hai. Vaise ye free hosting provider company 2008 me start ki gayi thi jo ab world me kafi popular hai free hosting ke liye. Chalo aage chalte hai aur iske features ke bare me kuchh confusions clear kar lete hai –
- 5 GB Bandwidth data transfer ke liye milegi.
- Isme aapko 1 GB web space allow kiya jata hai free hosting ke liye.
- FTP feature ko access karne ke liye bhi aapko paresan hone ki jarurat nahi hai kyonki isme inbuilt hai.
- File Manager bhi aapko provide kiye jayega jisse aap apne database ki files ko asani se manage kar sakte hai.
- PHP 5, MySQL supported hai.
- Isme aapko kuchh free WordPress themes bhi provide ki jati hai.
- Yadi aapko self hosted wordpress blog start karna hai to aap asani se 1-Click wordpress installation kar sakte hai.
- Isme bhi ads show karne ke liye company force nahi karti matlab free wordpress hosting no ads.
- FREE Instant Account Activation, Matlab aapke signup karte hi aapka account activate ho jata hai.
3. x10Hosting.com (Free WordPress Hosting):
Ye bhi ek bahut achhi hosting company hai jo free wordpress installation ki bhi suvidha deti hai. is par register hokar aap aasani se self hosted wordpress site bana sakte hai. Isme bhi kuchh bahut achhe features free hosting ke liye available hai –
- Isme aapko Private Cloud hosting milti hai.
- MySQL aur PHP ka advanced version isme aapko provide kiya jayega.
- Ye company bhi kisi tarah ke ads ko show karne ke liye force nahi karti matlab No ads.
- Yadi aapko hosting ko use karne me koi problem aa rahi hai to iske liye customer support service ki bhi suvidha di jati hai.
- Ye apne server par website ya blog host karne par 99.9% uptime ka commitment karti hai.
- Ye aapko latest cPanel offer karti hai.
- Ye aapko free wordpress hosting subdomain provide karti hai.
Note – Yadi aap Free wordpress hosting use karna chahte hai ya use kar rahe hai to me aapko batana chahunga ki is tarah ki hosting ko sirf sikhne ke liye use karna chahiye. Aur jab aap self hosted wordpress use karna sikh jaye to aapko apna blogging career Paid Hosting ke sath start karna chahiye. Yadi aapko nahi maloom ki Hostgator India se hosting kaise kharidte hai to ise jarur padh le.
Mujhe ummid haim ki yadi aap self hosted wordpress blog free me create karna chahte hai to ab upar batayi gayi free hosting company ko use karke apna blog ya website bana sakte hai. Yadi aap other koi free wordpress hosting provider company use kar rahe hai to hame jarur bataye. Aur yadi Best Free WordPress Hosting Provider Companies ko use karte samay koi problem ho rahi hai to aap mujhse comment ke madhyam se puchh sakte hai, Me aapko jaldi jawab dene ki koshish karunga. Yadi aapko ye post upyogi lage to apne friends ke sath jarur share kare.
prabhjit singh says
Thanks bai great post hai. Thanks for sharing.
Hitendra says
Kya koi nuksan he free hosting krne me? Kya hum custom domain add kr skte he?kya hum adsense ko yha use kr skte?
Please suggest me
Surendra Singh says
Hitendra ji, jo aap paid hosting par kar sakte hai vahi free hosting par kar sakte ho, koi problem nhi hai, Adsense bhi apply Kar sakte ho. Lekin free hosting me database aur bandwidth Kam hoti hai isliye ise sirf wordpress sikhne ke liye use karna chahiye.