Hi Friends, Ham aapko batane ja raha hai ki WordPress site aur Blogger blog me Push Notification service kaise enable karte hai, Jabki maine pichhli post me aapko bataya tha ki Professional Blogger Widget Logic kyo use karte hai. Sayad kuchh logo ko is service ke bare me bilkul hi maloom nahi hoga aur na hi vo jante honge ki iska use karke ham apne blog traffic ko gain kar sakte hai. Aage ham aapko ek free push notification service ke bare me batane ja rahe hai jise kisi bhi tarah ke platform user (Blogspot aur WordPress) apne blogs par asani se enable kar sakte hai. Ise apne blog par jarur use kare jisse aapke blog ke subscriber increase honge jiska sidha effect aapke traffic par padega. Matlab aapke visitors ki quantity day by day increase hoti rahegi.
Push notification service blog me kyo enable kare ?
Ye ek aisi service hoti hai jise apne blog par enable ya setup karne ke baad aapki site par aane wale pratyek visitors ko aapk notification message show karega jo is service ko ” allow “aur ” Don’t allow ” karne ke liye visitors ko force karega. Yadi koi visitors Allow par click kar deta hai to vo push notification web service dwara aapke blog ka subscriber ban jayega. Matlab vo aapke blog ka reader ban jata hai.
Jab bhi aap koi new post publish karenge to jin logo ne aapke blog ko subscribe kiya hai unki browser window par aapki latest post ke bare me notification show karega. Jisse us reader ko mallom chal jayega ki aapke blog par koi new post publish ho gayi hai. Yadi vo use padhni hogi to asani se us notification par click karke aapki website par pahunch jayega. Is tarah se aapke visitors increase hote jayenge.
Yadi koi visitor is notification ke ” Don’t Allow ” par click kar dega to vo aapke blog ka subscriber nahi banega aur nahi use kisi latest publish ki gayi post ke bare me koi notification prapt hoga.
Ise bhi padhiye : Yandex Webmaster Tools me website Kaise submit Kare
Ab aapko malum chal gaya hoga ki ye service every Blog ke liye kitni important hai. To chaliye ab ham aapko batane ja rahe hai ek aisi best push notification service provider ke bare me jo bilkul free hai. Matlab uske liye aapko ek rupay bhi spend karne ki jarurat nahi hai. Ji ha friends Pushcrew naam hai us site. To aaiye ise use karne se pahle Free Account ke liye Pushcrew limitation ke bare me thoda sa jan lete hai.
Free Account ke liye Pushcrew service ki limitation kya hai ?
Jaisa ki ham sab jante hai ki kisi bhi service ko apne liye use karne se pahle uske bare me jaan lena bahut hi important hota hai. Isliye me iski free account par milne wali service ki kuchh limitation ke bare me batane ja raha hu inhe jarur dhyan se padh le –
- Free account par ye aapko 500 subscriber tak hi service allow karta hai. Isse jyada subscriber hone par aapko iska premium plan lekar account ko upgrade karna hoga.
- Free service par yah aapko mobile push notification service allow nahi karti. Yadi aapko mobile device ke liye bhi active karna hai to apne account ko upgrade karna hoga joki paid hai.
Ab aapne is service ki free me use karne par jo limit hoti hai unke bare me jaan liya hai. Ab aage badhte hai aur jante hai ki is service ko use karne ke liye free me account kaise banate hai.
Pushcrew Push notification Complete Video Tutorial :
Yadi aapke paas koi blog hai jaise Blogger blog, WordPress blog hai aur aap apne blog par is service ko activate karna chahte hai to iske liye free me is service ko use karne ke liye niche diye gaye Tutorial video ko watch kare –
Ise padhe : 2G Speed par Achhi Quality me Youtube Video kaise dekhe ?
Apne Blog ke liye Pushcrew par free account kaise banaye ?
Yadi aap Video nahi dekhna chahte hai to niche diye gaye steps ko carefully follow kariye –
Step – 1
- Sabse pahle Pushcrew site open kijiye.
- Signup for FREE par click kariye.
Step – 2
- Full name wale field me apna pura naam dale.
- Company wale field me apne Blog ya Website ka naam dale.
- Email wale field me apna real email id bhariye.
- Apna Mobile no. dale.
- Apne mobile no. ke liye Country code select kariye.
- Password field me apna password fill kariye.
- your-website.com wale field me apne blog ka URL dale lekin without http ke.
- Subdomain me apne blog ka naam dale without space.
- Create account par click kar de.
Step – 3
Ab aapke samne new window open ho jayegi jisme aapko ek code diya jayega lekin code add karne se pahle ham apne notification message ko customized karenge –
- Upload logo par click karke apna logo upload kar de.
- Title wale field me likhe message ko customize kare yadi jaruri lage to.
- Isi tarah Subtitle ko customize kar sakte hai.
- Allow Button Text ko customize karna chahe to kar le.
- Isi tarah Disallow Button Text ko bhi customize kar sakte hai.
Step – 4
Ab aapka message box customize ho chuka hai lekin ye abhi active nahi hai to is customization ko activate karne ke liye niche ki taraf scroll down kare aur save button par click kar de.
Step – 5
Ab aapka notification box jise aapne customize kiya tha vo save ho gaya hai. Ab aapko apne blog ya website me upar diye gaye code ko add karna hoga –
WordPress site me Push Notification kaise enable kare ?
Sabse pahle WordPress Dashboard ko login kar le.
- Appearence par jaye.
- Editor par click kar de.
- Ab right side me di gayi header.php file par click karke open kare.
- Ab CTRL+F dabaye aur </head> search karke iske upar ( </head> ke theek pahle) Pushcrew dwara diye gaye code ko copy karke paste kar de.
- Update file par click karke code save kar dijiye.
Ab aapke wordpress blog me Push notification show karna start ho chuka hai. Apne blog ko open karke check kar sakte hai.
Blogger Blog me Push Notification kaise enable kare ?
Sabse pahle Blogger Dashboard ko login kar le.
- Template par click kijiye.
- Edit HTML par click kar de.
- Ab CTRL+F dabaye aur </head> search karke </head> ke upar ( </head> ke theek pahle) Pushcrew dwara diye gaye code ko copy karke paste kar de.
- Save Template par click karke code save kar de.
Congratulation ! Ab aapke Blog ya website me Push notification Service active ho chuki hai. Check karne ke liye aap apne blog ya site ko open karke dekhe.
Ise bhi padhiye : WordPress Blog Me Stylish Subscriber Widget Kaise lagaye
To ab Mujhe ummid hai ki aapko achhi tarah se maloom chal gaya hoga ki Website ya Blog me Push Notification Service kaise Active karte hai. Yadi Push notification service se related koi problem ya suggestion ho to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapko jaldi jabab dene ki koshish karenge. Yadi ye post aapko helpful lage to social media freinds ke saath jaroor share kare.
Rupa Kumari says
badhiya post sir, kya ye traffice me faydemand hai. aapka experience kaisa hai iske sath ??
Surendra Singh says
Rupa Kumari ji, Ye Blog ke traffic ko kuchh had tak boost karta hai. Keep visiting on bloglon.
Gaindlal Sahu says
thank u….. mujhe push notification ki kab se talaas thi jo aaj puri ho gyi.
thanku so much.
Shakil Malik says
NICE Blog SIR.
I REALLY ENJOYED YOU’RE EVERY POST & AAPKI DWARA MILI INFORMATION SE MUJHE KAFI GAIN HO RAHA HAI.
thanks again, BLOGLON
Surendra says
Maine push notifications ke liye One single Ka Use Kiya tha Par Mujhe Iska Fayda Kuch Jayada Nahi huaa Balki Blog Ki loading Speed Bhi Km ho Gayi .
Pramesh Chand Vishwakarma says
Thanks for good artical but free only 14days ……
SUMIT KUMAR GUPTA says
sir free version 14 days ke liye hi de rha hai
Arun gawande says
Kya free wali push notification use karne ka koi khatra hain
sultan singh says
very Good information ..web push notification lagakar blog traffic ko increase kar skate hia..
Anurag Pathak says
Great and indepts tutoria thanks bro