Namaskar dosto, Is post me Bloglon aapko batane ja raha hai ki Blogger Blog me Custom Domain kaise Set karte hai, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Blogger Blog me Google Analytics code kaise add karte hai. Jaisa ki ham sab jante hai ki Blogspot platform ek free blog publishing tool hai, Jis par koi bhi free me apna blog bana sakta hai. Lekin aapne dekha hoga ki is tarah ke blog URL me blogspot.com laga rahta hai jo aapke blog ke liye visitors par ek achha impact nahi deta, Isliye aaj ki post me batayenge ki how to add custom domain to blogger. Yadi ham kisi bhi blogger blog me achha sa ek domain kharidkar add kar dete hai to vo blog bilkul ek profestional website ki tarah dikhai dene lagta hai, Isse hamare blog ke visitors par achha impact padta hai.
Custom Domain Setup kaise kare ?
Blogger blog me yadi aapko apni pasand ka domain lagana chahte hai to uske liye aapke paas domain hona chahiye. Yadi aapke pas custom URL nahi hai to aap aasani se kuchh rupay kharch karke Godaddy se domain purchase kar sakte hai aur ho sakta hai koi offer chal raha ho to aapko aapki pasand ka domain 99 rupay se lekar 1000 rupay tak ka mil sakta hai.
Yadi aapko nahi maloom ki apne blog ke liye achha domain kaise prapt kare to iske liye aap Domain Tools ki help lekar ek achha custom domain name kharid sakte hai, Jo aapke visitors ko bhi attract karega sath hi aapke blog ka sub-domain (blogspot.com) bhi remove ho jayega. To chaliye aage badhte hai aur jante hai ki how to add domain in blogger blog.
Ise bhi padhiye: Blogger Blog me Adblock Disable code kaise add kare
Blogger Blog me custom domain kaise add kare ?
Yadi aap chahte hai ki aapke blog me domain sahi se add ho jaye to iske liye aapko hamare bataye gaye steps ko carefully follow karna hoga –
Step – 1
- Apne Blogger Account ko login kariye.
- Ab Settings par click kijiye.
- Ab aap + Set up a third-party URL for your blog par click kare.
- Iske baad Domain name bhariye (www sahit).
- Ab save par click kariye.
- Iske baad aapke samne is tarah ki screen dikhegi jise abhi khuli hi rahne de close na kare –
Step – 2
- Ab Godaddy account par Login kijiye.
- Iske baad Manage My Domains par click kariye.
- Ab aapko Domain dikhai dega, jise add karna hai us par click kar do.
- DNS Zone File tab par click kar de.
- Ab Add Record par click kare.
- Iske baad ek popup window open hogi jisme CNAME (Alias) select kare.
- Ab Blogger me jaye aur vaha se Pahla CNAME copy kar le fir HOST me www fill kare.
- POINTS to me ghs.google.com fill kare.
- TTL me kuchh na kare 1 Hour likha hoga use vaisa hi rahne de.
- Ab ADD ANOTHER par click kar de.
Step – 3
Iske baad fir se vahi form open ho jayega jisme jaise upar wale me CNAME provide kiye the vaise hi dusra CNAME bhi is form me provide karna hai –
- CNAME (Alias) select kare.
- Ab Blogger me jaye aur dusra wala CNAME ka left side wala part copy karke Host me paste kar de.
- Fir Blogger me jaye aur dusre wale CNAME ke right side wale part ko copy karke Points to me paste kar de.
- TTL me jo likha hai use hi likha rahne de.
- Ab Finish par click kar de.
Step – 4
Ab aapko kuchh is tarah ki window show hogi jisme save changes par click kar dijiye.
Ise bhi padhiye: Blogger Blog me Google Analytics code kaise add kare
Step – 5
Is step me hame apne blogger blog ke liye A Record add karne honge jisse aapka Domain successfully parked ho jaye. A Record me ham 4 IPs add karte hai jaise aapne abhi upar CNAME add kiye the same usi process ko follow karna hai lekin isme hame A Record select karna hoga aur Host me @ aur Points to me Ip address bharne honge. Ye 4 Ips is prakar hai ye –
216.239.32.21
216.239.34.21
216.239.36.21
216.239.38.21
In charo ips ko sabhi ko bharna hote hai ye kisi bhi other blog ya blogger ke liye different nahi hote hai, balki same hote hai. to chaliye pahla IP bharte hai –
- A(Host) select kare.
- Host me @ bhare.
- Points to me first ip 216.239.32.21 bhare.
- TTL 1 Hour hi rahne de.
- Add Another par click kar de.
Important Note – Isi prakar charo IPs one by one add karte jana hai jaise maine upar 1 Ip bharkar bataya hai. Aur Last Fourth IP 216.239.38.21 bharne ke baad Finish button par click jarur kar de. Jab aap charo IP sahi se bhar chukenge tab aapki Zone File kuchh is tarah dikhai dene lagegi –
Ab aapke CNAME and A record successfully add ho gaye hai, Vaise to ye record 4 – 5 minuts me server par update ho jate hai Lekin dhyan rahe kabhi kabhi 10 – 24 hours tak ka bhi time lag jata hai.
Step- 6
Ab apne blogger me jaye aur save par click kar de.
Ab yadi “We have not been able to verify your authority to this domain. Error 12.“ is tarah ka error message dikhe to ghabrane ki bilkul jarurat nahi hai, 2 – 5 minuts me update ho jayega, Yadi fir bhi error dikhe to aapko kuchh ghante bhi wait karna hoga. Jab error nahi aayega to kuchh is tarah ka dikhai dega –
- Isme Edit par click kariye.
- Ab “Redirect yourblog.com to www.yourblog.com” ke samne check box ko check mark kar de.
- Iske baad save par click kar de.
Yadi aap Blogspot team ka domain setup tutorial ko padhna chahte hai to jarur padhe isse aapko jyada technical knowledge mil sakta hai.
Congratulation ! Ab aapke blogger blog me aapka man pasand custom domain successfully set ho gaya hai, Ab aap apna blog check karke dekhiye, You are genius.
Ise bhi padhiye: How to create Sitemap for your blog or website
Mujhe ummid hai ki aapko ab achhi tarah se maloom chal gaya hoga ki Blogger Blog me Custom Domain kaise Set karte hai. Yadi blogspot custom domain se related koi problem ya suggestion ho to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapko apki comment ka jabab jaldi dene ki koshish karenge. Yadi ye post aapko helpful lage to social media freinds ke saath jaroor share kare.
jigar bhatt says
Nice Post Jis Prakar App Logo Ki shayata kar rahe muje bhahut accha laga or appki is post se muje Kafi problem solve hui Thank you
sitaram golada says
Wow nice post surender ji meri main mistake clear ho gye go daddy park ki thanks for share I visite again
thakornaresh says
Bhot hi accha jankari diya hai aspne domain name set kar ne ka nice aarticles
Rahul says
Bariya post hai sir, but kya aap bata sakte ho ke bigrock SE domain ko kaise setup kare???
Surendra Singh says
Dear Rahul ji, jis tarah godaddy ke domain ka setup kiya jata hai usi tarah kisi bhi company ke domain ka setup kiya jata hai. I mean same process hoti hai.
Ramanand mehta says
bahut knowledgeful post hai Surendra ji,,,,,,,, keep it up, good job
afzal says
Dear sir.
Maine apne site pr kl domin set kiya but search krene pr. Show to ho raha Blog name nhi aa rha hai
Click here to proceed likha aa raha Hai
Ye kya problem Ho skti Hai
Surendra Singh says
Aapki problem samajh nahi aayi isliye apne blog url ke sath comment kijiye, vaise Google itni jaldi search me show nahi karta.
afzal says
Bloggerfit.com name set kiya ap search krke dekhe
Surendra Singh says
Ha Abhi search results me nahi aa raha hai, kya aapne is domain ko search console me add Kar diya sitemap bhi?
afzal says
Kya google search console me add krne Pr hi hoga
Surendra Singh says
Ji ha is domain ko search console me submit kijiye aur sitemap bhi submit kijiye tab kuchh Din baad search me aane lagega. Sitemap submit karne ke liye ise padhiye http://www.bloglon.com/search-console-blogger-sitemap-submit/
sachin says
Thanks bro es post ko read karke maine .com leliye thanks again.
Dilip says
sir mere blog me costome domain set kiya hua 2 din hone chala bina www k khulne k liye 4 bar Jo add kiya jata hai Maine add kiya hai bina www k nhi khul raha godaddy me feel ka option change ho chuka hai is liye lag raha kisi or sthan par WO 4 bar dal diy hu me
yksahu says
Sir maine aapke website par post padkar domain ko blog par add karna chaha par add to gaya lekin website open hi nahi ho raha hai error hi aa raha hai…please koi solution de..please sir
Surendra Singh says
Yadi Settings me aap jara si bhi mistake karenge to error aana possible hai, Isliye achhe se post ko samajhiye aur steps ko follow kijiye.
Sanju Dangar says
hello sir, maine ak new site create karne ke liye ak new domain by kiya hai godaddy se, but use set karne me kus problem aa rahi hai. me lagatar subah se koshis kar raha hu by problem solve nahi ho rahi, socha ki aap ki help lu. sir maine aapka 3 step Domain name par click kiya, uske baad “DNS ZONE FILE” KA OPTION AANA chahiye vo kahi bhi nahi mil raha. sir meri aadhi settings rah gayi hai plase help mi…
Sanju Dangar says
thank you sir, ab ho gaya. sir ak our baat me aapse pusna chahuga ki maine dusra domain liya to muje 99rs vali offer nahi mil rahi thi iske badle 800rs charge tha, isliye maine godady ka dusra account banake offer ka labh liya, to ab koi problem to nahi hogi na?
Surendra Singh says
Nahi koi problem nahi hai, aisa hi karna padta hai.
Sanju Dangar says
hello sir, maine 5 days pahle domain by kiya tha, use blog pae redirect bhi kar diya, mobile me to site open ho jati hai but pc me abhi bhi arr aa rahi hai. (The domain internethappyworld.com is no longer parked by GoDaddy.) to sir ise kaise solve kare.
Surendra Singh says
Bhai aapne domain settings sahi nahi ki hai, isliye pahle ise correct kijiye.
Sanju Dangar says
Sir ab domain redirect to ho gaya hai, but maine blogger pe ak new id se create kiya hai, ab problem ye hai ki me old account ke blog me redirect karna chahta hu mera domain. kyu ki me new id vala blog me redirect kiya hai to muje har baar log in karna padta hai, meri old site or new site ke gmail account alag alag hai, our me old id se ak baar redirect kiya tha to ab jab bhi me vaha pe redirect karta hu to directly redirect ho jaata hai. mins ki ….googlehosted.com vala code nahi aata.
(aapko short me batayu to muje vo code chahiye …googlehosted.com wala, ab dusri baar add akrne se vo nahi aata hai, our godaddy me jo code hai vo bhi tisre account ke hai to vo code kaha se milega please sir help me)
Surendra Singh says
Bhai aapki problem mere samajh me bilkul nahi aayi ki aapne kya puchha hai ya kya karna chahte hai isliye please problem ko sahi se define karke puchhiye.
tariq says
Hi sir,
Maine kuch din pahle domain lagaya abhi ‘godaddy parked’ aaraha hai pehle bhi aaya tha kuch time baad hi chala gaya tha abhi kafi der hogayi
Main domain set kar raha tha tab bhi problem aayi thi maine google par bahut search karne k baad aapki website k is post tak pahucha maine is post me bataye step se kiya success hogaya tabhi maine aapki website k dusre articles bhi padhe backlinks aur dusre bahut achhe articles likhe h aapne ummid hai yeh bhi aapke knowledge me ho aap solution batayenge
Aur meri blog ki template , design dekh kar widget ke baare me bataye kaunse widget remove, edit karu pls
Thanks
Surendra Singh says
Aapka blog open nahi ho raha hai isliye ham koi suggestion nahi de sakta. site ko jaldi theek kar lijiye.
sunil choudhary says
sir word press blog ko kese chyenge kare other domain pe
Surendra Singh says
Domain change nahi Kar sakte sirf redirect kar sakte hai.