Mere pyare dosto, Is post me Bloglon aapko batane ja raha hai ki Blogger Blog me feedburner email subscription box kaise add karte hai, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Blogger Blog me Feedburner feed kaise add karte hai. Jaisa ki me aap logo ko pichhli post me bata chuka hu ki feedburner ek google ki hi service hai jisem free me use kar sakte hai. Lekin jo newbies hote hai sayad unhe nahi maloom hota hai ki feedburner email subscriptions widget apne blog me kaise add kiya ja sakta hai, To ab aapko bilkul hi tension lene ki jarurat nahi hai ye tutorial aap logo ke liye hi hai jise follow karke aap apne blogger blog me asani se feedburner subscription widget laga sakte hai. Iske bare me ham is post me step by step guide karne ja rahe hai jisse naye se naye bloggers ko ise add karne me koi problem na ho.
Feedburner email subscription Widget add karna kyo jaruri hai ?
Yadi aap feedburner ke bare me achhi tarah jante hai to aapko yah bhi maloom hoga ki ye aapke blog ke liye jaruri hai ya nahi, Yadi aap nahi jante hai to me aapko bata du ki ye kisi bhi article blog ke liye bahut hi important hota hai. Kyonki Yadi aap ek professional blogger banna chahte hai aur apne blog ko top most list me lana chahte hai to ye widget aapke liye bahut hi useful sabit ho sakta hai.
Ab aap soch rahe honge ki feedburner email subscription box me aisa kya hai jo itna most important hai to me bata du ki iski madad se aap apne blog ke subscriber increase kar sakte hai. Ab aap soch rahe honge ki subscriber kya hote hai ?, Subscriber ek tarah se aapke blog ke follower hote hai jo aapke dwara publish kiye gaye content ko follow karte hai. Sayad Abhi aapko achhe se samajh nahi aaya hoga ki isse aapke blog ko kya profit hota hai to chaliye thoda aage badhte huye iske bare me bhi thoda sa janne ki koshish karte hai.
Blog me Feedburner email subscription Box lagane ke kya profit hai ?
Yadi aapka koi blog hai aur aap use top par lana chahte hai to aapko Feedburner email subscription Box jarur apne blog me lagana chahiye kyonki isse aapke blog ke subscriber (Follower) bante hai jo aapke blog content ko regularly read karte hai jisse aapke blog ka traffic bhi increase hota rahta hai saath hi aapke blog ki popularity bhi badhti rahti hai. Yadi aapke blog ke jitne jyada subscriber honge utna hi achha aapka traffic bhi hoga, Yadi aap adsense user hai to aapke blog ki income bhi day by day increase hoti rahegi. Ab aap soch rahe honge ki isse mere blog ka traffic kaise badh sakta hai to chaliye thoda sa iske bare me bhi jaan lete hai.
Ise bhi padhiye: Blogger Blog me Adblock Disable code kaise add kare ?
Jab koi visitor aapke blog par aata hai aur vo aapke content ko read karta hai aur use aapki blog ki quality achhi lagti hai to aapke blog ko bookmarks karne ki bajaye subscribe karna uchit samjhta hai kyonki jab bhi koi new post blog par publish hoti hai to vo subscriber ke email inbox me pahunch jati hai, Ab yadi vo subscriber us new post ko padhna chahega to vo us email ko open karega jo feedburner ke dwara aapki post send ki gayi. Matlab content delevery ke liye post ko read more link ke sath feedburner service dwara autometically bheja jata hai jisse koi subscriber use padhna chahe to vo aapke blog par redirect hokar aa jata hai jisse aapke traffic me bhi improvement hota hai.
Ab aap samajh gaye honge ki email subscription se subscriber ko aur blogger ko kya profit hota hai To chaliye aage badhte hai aur jante hai ki Feedburner email subscription Box blogger blog me kaise lagaya jata hai.
Blogspot blog me Feedburner email subscription Box kaise add kare ?
Blogger blog me Feedburner email subscription Box lagane ke liye aapko hamare dwara bataye gaye steps ko dhyan se follow karna jaruri hai –
Step – 1
Sabse pahle apne feedburner account ko login kare.
Yadi aapne Feedburner id nahi banayi hai to aage badhne se pahle is tutorial ko jarur padhe – Feedburner ID kaise banaye ?. Aur yadi aapne apne Blogger blog me Feedburner feed abhi tak add nahi kiya hai to ise bhi aage badhne se pahle jarur padh le – Feedburner feed kaise add kare ?.
- Ab apne Blog ke Feed name par click kare.
- Ab aapke samne new page open hoga jisme aapko Publicize tab par click karna hai.
- Iske baad fir ek new page open hoga jisme aapko Email subscription par click karna hai.
- Ab aapko Email Subscription Form Code milega use copy kar le.
Step – 2
- Ab aap apne blogger Dashboard ko login kariye fir Layout par click kare.
- Ab Add a Gadget par click kariye.
- Ab aapke samne ek popup window open hogi jisme HTML/JavaScript par click kare.
- Iske baad aapke samne ek khali box open ho jayega isme aap Title wale field me “Subscribe kare” ya “Subscribe my blog” etc title likh sakte hai.
- Niche Content wale box me copy kiya hua Feedburner Email Subscription Form Code paste kar de.
- Save par click kar de.
- Ab Save arrangement par click kar dijiye.
Congratulation ! Ab aapka Feedburner email subscription Box successfully aapke blogger blog me add ho chuka hai, check karne ke liye apne blog ko open kijiye aapko niche di gayi image ki tarah dikhai dega –
Ab add kiye gaye Feedburner email subscription Box ke dwara aapke visitors aapke blog ko subscribe kar sakte hai.
Ise bhi padhiye: Blogger Blog me Google Analytics code kaise add kare
Mujhe ummid hai ki aapko ab achhi tarah se maloom chal gaya hoga ki Blogger Blog me Feedburner Email Subscription Box kaise add karte hai. Yadi feedburner email subscriptions se related koi problem ya suggestion hai to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapki comments ka welcome karte hai. Yadi ye post aapko helpful lage to please apne social media freinds ke saath jaroor share kare.
Shibam Kar says
Thanks Surendra sir for your great and informative post about feedburner email subscription box.
rohaan says
bahut hi achhi jankari hai bro tnx for share with us
Mahaveer Jain says
Sir Maine feed burner me Kabhi kabhi subscribe list me bahut anter dekhta hu.. jaise ajj 482 hai Aur Kal 274 Hi the.. mere samjh ni aata ki ye itni jaldy kaise badh sakte hai .. Kya ye Fake ho sakte hai ?
Surendra Singh says
Dear Mahaveer Jain ji, jab koi subscriber apne subscription ko verify nahi karta hai tab aisi situation dekhne ko milti hai, Feedburner service google ki service hai iska fake hone ka to saval hi paida nahi hota.