Mere pyare dosto, Is post me Bloglon aapko batane ja raha hai ki Blogger ya Blogspot Blog me Labels kaise banate hai, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Blog ya website ke liye Feedburner ID kaise banate hai. Jaisa ki ham sab jante hai ki Hindi blogging day by day apna dayra badhati ja rahi hai aur ye bhi jante hai ki kuchh Bloggers ko chhodkar lagbhag sare bloggers is field me new hai. Unme se kuchh log aise bhi hai jo hamare FB group ” Hindi Me Blogging Help “ me mujhse bahut baar is tarah ki post publish karne ko bol chuke hai. Vaise to internet par isse related bahut sari post pahle se published hai lekin kuchh newbies un post tak nahi pahunch pa rahe hai, Isliye maine decide kiya ki Labels related post mujhe bhi is blog par dalna chahye. Is post me ham how to make categories in blogger ke bare me batane ja rahe hai.
Blog me Labels kya hote hai {what are labels} ?
Vaise to ye blogging ki basic information se related hai lekin Jo user blogging me new hote hai unhe labels ke bare me jankari na hona koi badi baat nahi hai. Labels ek ek aisi cheej hai jiske dwara ham apne blog ki posts ko sort karte hai, Matlab Kisi perticular subject se related aane wali post ko ham lables ke dwara ek hi page par sort karte hai. Sayad aapko abhi bhi samajhne me hardness mahsoos ho rahi hogi isliye me aapko niche ek example ke through samjhne ki koshish karenge.
Ise bhi padhe: Blogger Blog me Google Analytics code kaise add kare
For example man lo aapke blog par Facebook se related 10 post, blogging se related 5 post, SEO se related 18 post hai. Ab aap chahte hai ki koi bhi visitor yadi Facebook se related post padhna chahe to vo kaise padhe kyonki yadi aapne labels ka use nahi kiya hoga to aapki sari post mix rahengi aur aapke visitors ko unhe khojne me bhi paresaani hogi. Yadi aapne apne blog par Labels banaye honge to visitors ko pratyek label ki posts ek hi page par show karengi jab vo kisi label par click karega tab.
Jis tarah wordpress blog par category banayi jati hai same vaise hi Blogspot blog par labels banaye jate hai inme koi difference nahi hota hai. Dono ka ek hi kaam hota hai content ko sort karke single page par show karna. Ab aap achhe se samajh gaye honge ki Labels kya hote hai aur inhe blog me use karna kitna jaruri hota hai. To chaliye aage badhte hai aur aapko batate hai ki how to create labels in blogger blog.
Blogger Blog me Labels kaise banaye ?
Jab ham koi new post likhte hai to uske liye sabse pahle hame us post ka title dena hota hai, jise aap achhe se karna jante hi honge kyonki title ke bina to koi post likhi hi nahi jati hai. Title dene ke baad ab hame ye apne dimaag me sochna hoga ki ye post kis topic ya word se related hai jaise aapki post SEO se related hai aur aap ye chahte hai ki seo related post ek hi page par show kare to aapko us post me SEO naam ka ek label create karna hoga.
Ab yadi man lo aapki post Feedburner se related hai to ye to wordpress me bhi use hota hai aur Blogger me bhi to iske liye aapko us post me 2 labels add karne honge WordPress aur Blogger. Jisse vo post aapke wordpress labels me bhi show karegi aur Blogger label me bhi.
Ise bhi padhe: Blogger blog me Posts and comments settings kaise kare
Me aapko batana chahunga ki kisi bhi post me 1-3 labels hi add karna chahiye nahi to aapke blog ke search engine optimization par wrong impact pad sakta hai. To chaliye aage jante hai ki how to add labels in blogger blog post.
Blog Post me Labels kaise add kare ?
Blogger blog ki post me koi bhi label add karna bahut hi simple hota hai iske liye jab aap koi latest post likhte hai us samay aapko Content box ke Right side me Post settings ke niche aapko Labels ka option dikhai dega bas us par click kar de fir aap us post ko kis label me show karna chahte hai wo word usme paste kar de aur done par click kar de.
Yadi aap 1 se jyada labels us post ke liye add karna chahte hai to us box me pratyek word ke beech me comma {,} jarur use kare.
Achhe se samjhne ke liye niche diye gaye screen shot ko dekhe –
- Labels par click kare.
- Apni post ke hisab se Labels word fill kare.
- Ab Done par click kar dijiye.
Congratulation ! Ab aapki vo post aapke dwara diye gaye label me add ho chuki hai. Ab yadi aap apne blog me Label widget sidebar me add karna chahte hai ya blog ke menu me add karna chahte hai to aap iske bare me hamare next tutorial me sikhenge.
Ise bhi padhe: Blogger blog me Facebook Open Graph meta tags kaise add kare
Mujhe ummid hai ki aapko ab achhi tarah se maloom chal gaya hoga ki Blogger ya Blogspot Blog me Labels kaise banaye jate hai. Yadi is post se related koi problem ya suggestion ho to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapki comments ka welcome karte hai. Yadi ye post aapko helpful lage to social media network par apne freinds ke saath jaroor share kare.
n.k detruja says
Bhot hi accha jankari bro mera aapse ek sabbal hai ki maine blog banya udka 15 din huva hai mera Google mese abhi kuch bhi traffic nahi aarhahe kya time lagta hai organic traffic aane me
Surendra Singh says
N.k detruja ji, Abhi aapko bahut hard work karna hoga specially SEO par, isliye aap SEO related sari post padh le aur unhe apne blog par follow kare. Uske baad organic traffic aana start ho jayega, thoda Time lagta hai organic traffic aane me.
Devdas gupta says
Sir blog me recent post kaise add kare
plz sir battaiye
Surendra Singh says
Jis tarah aapne apne blog me popular post widget lagaya hai usi tarah ise bhi lagate hai, Aap widget option me jaiye aur vaha se recent post widget add kar lijiye.