Namaskar dosto, Is post me Bloglon aapko batane ja raha hai ki Blog ya website ke liye feedburner ID kaise banaya jati hai jabki maine apni pichhli post me aapko Blogger Blog me Adblock Disable code kaise add karte hai iske baare me bataya tha. Feedburner ek bahut hi important service hai jo google ke dwara provide ki jati hai, Vaise same isi tarah ki services other company bhi provide karati hai lekin vo paid hti hai jo ek newbie ke liye valuble nahi hai lekin feedburner ke liye ham bloggers ke liye sabse achhi baat ye hai ki ye service bilkul free of cost hai matlab aapko iske liye kisi prakar ki koi keemat nahi chukani padti hai.
Feedburner kya hai ?
Feedburner service google ke dwara provide ki gayi hai jise blog ya website owner free me use kar sakte hai. Is service ke dwara hame apne blog ke liye ek unique feed id ya feed address banate hai uske baad hame aur bhi bahut sare important features milte hai jaise feedburner email subscription form.
Jaisa ki me upar bata chuka hu ki yah ek automated email delivery service hai jiske dwara aap apne blog ki new post ko apne feed subscriber tak asani se pahuncha sakte ho. Vaise iske alawa bhi bahut sari website hai jo is tarah ki service bloggers ke liye available karati hai jaise – MailChimp, AWeber etc.
Ham sab jante hai ki ise email subscription service bhi kahte hai yah ek free email delivery service hai, isi vajah se jitne bhi blog blogspot platform par bane hai vo lagbhag sabhi feedburner service ka use karte hai iska sabse bada reason yahi hai ki yah bilkul free hai.
Feedburner ID banana kyo jaruri hai ?
Apne blog ke liye Feedburner ID banana bahut hi impottant hai kyonki iske dwara aap apne readers ke liye Subscription service enable karte hai jiske dwara aapke readers aapke blog ke feed ko aasani se subscribe kar sakte hai aur aapke blog ki recently published post apne subscriber tak Automatically pahunch jati hai, Isse aapke traffic me returning visitors ki sankhya bhi badh jati hai.
Yadi aapne apne blog par koi post publish ki to feedburner ki madad se ye aapke subscriber tak 24 hours ke andar email ke jariye pahuncha deti hai jisse aapke blog ka traffic bhi achha bana rahta hai. Ab aap samajh gaye honge ki feedburner ID apne blog ke liye kitna jaruri hota hai, To chaliye aage badhte hai aur jaanne ki koshish karenge ki apne blog ke liye fedburner id kaise banate hai.
Ise bhi padhiye: SEO ke liye Blogger basic Settings kaise kare ?
Blog ke liye Feedburner Account ya ID kaise banaye ?
Yah ek bahut achhi service hai isse hamare blog ka traffic achha rahta hai. Me aapko batana chahunga ki mere other blog bhi wordpress par hai lekin fir bhi me content delivery ke liye feedburner hi use karta hu kyoki yah service bilkul free aur valuable hai isliye me aapko bhi kahunga ki feedburner hi use kare.
Ab feedburner id banane ke liye hamare dwara bataye gaye steps ko carefully follow kariye –
Step – 1
Iske liye sabse pahle Feedburner site par jaye aur apni Gmail ID se login kare.
- Ab Apana Blog URL bhare.
- I am Podcaster ke samne wale box ko check mark kare.
- Iske baad Next button par click kar de.
Step – 2
Ab aapke samne ek new page open hoga –
- Next par click kare.
Step – 3
Ab aapke samne ek naya page open hoga jisme aapke feed title aur feed address ke bare me information dikhai degi.
- Next par click kariye.
Step – 4
Ab aapke samne ek naya page khulega jisme aapko bataya jayega ki aapka feed address ban chuka hai.
- Next par click kare.
Step – 5
Ab aapke samne ek new page open hoga jisme aapko podcast information bharne ke liye kaha jayega lekin aapko isme kuchh bhi bharne ki jarurat nahi hai.
- Next par click kare.
Step – 6
Ab aapke samne ek new window open hogi jisme aapko feedburner tracking stats select karne honge, matlab aap apne feed ke liye kya – kya stats information dekhna chahte hai.
- Clickthroughs ko check mark kare.
- Item enclosure downloads ko check mark kare.
- I want more! Have FeedBurner Stats also track ko check mark kare.
- Next par click kare.
Ise bhi padhiye: Blogger Posts and comments settings kaise kare ?
Congratulation ! Ab aapka Feedburner address ya feedburner ID ban chuki hai aur aapke samne kuchh is tarah message show karega –
Mujhe ummid hai ki aapko ab achhi tarah se maloom chal gaya hoga ki Blog ya website ke liye Feedburner ID kaise banate hai ya Feedburner account kaise banate hai. Yadi is post se related koi problem ya suggestion hai to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapki problem ya suggestion ka welcome karte hai. Yadi ye post aapko helpful lage to please apne social media freinds ke saath jaroor share kare.
Namdev says
Sr kya mai is trah post likh skta hu.
मेरा नाम नामदेव है और मै हरियाणा से हूं,मै एक ब्लोग्गर हूं
my name is namdev and i’m from haryana. i’m a blogger
kya mai aise ek pehra hindi me or bilkul same english me likh skta hu taki hindi or english dono readers pad ske
sr kuki agr mai english ka alg se bnata hu to copyright hoga isliye ek post me hi hindi or english use kr skta hu kya Sabhi post me aise kr skta hu jaisa eg. Abhi diya maine plzzz tell me sr
Surendra Singh says
Aap aisa nahi kare to jyada uchit rahega, Iske liye me aapko suggest karunga ki aap ek alag blog banaye english language me content ko thoda alag kar diya kare is tarah se koi problem nahi hogi.
rohaan says
ishe wordpress se kaise add kare??
sachin says
Mea jab apne feed ke link pe click karta hu to mere blog ka pura post show kyo hota. Post ki link kyo show nahi hoti
Surendra Singh says
Iske liye aap apni feedburner settings check kijiye usme aapne full post select ki hogi.
ABDUL RAZIQUE says
Hm WordPress pe hain to jetpack ka use kar sakte hain ?
RANJOT SINGH says
sir very nice article and mera ek swal hai ise wordpress me kaise add kare
Surendra Singh says
आप वर्डप्रेस केटेगरी की पोस्ट read कर लीजिये उसमें all सेटिंग्स की पोस्ट मिल जायेंगीं.