Namaskar Dosto, Is post me Bloglon aapko batane ja raha hai ki Microsoft Account Kaise Banate hai Microsoft Sign Up Kyo Jaruri hai, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki File Store karne ke liye Dropbox account kaise banate hai. Yadi aap ek Blogger hai aur aap apne blog ya website ko Yahoo ya Bing webmaster tool me submit karna chahte hai to iske liye aapke paas apna ek microsoft account hona jaruri hai. Iske alawa OneDrive, Xbox Live jaisi servise bhi use karne ke liye microsoft account login karna hoga. Kuchh log mujhse kai baar puchh chuke the ki is tarah ke account ko kaise banaya ja sakta hai to maine socha kyo na is topic ke liye ek tutorial apne blog par publish kiya jaye jisse sabhi newbies ki help ek sath ho jaye. Kya aap microsoft par new account banana hai ? Is post me iske account sign up ke bare me vistar se batane ja rahe hai.
Microsoft Account Banana Kyo Jaruri Hai ?
Yadi aap Microsoft ki service use karna chahte hai to aapko is par account banana bahut jaruri hai. Jaisa ki me upar bhi bata chuka hu ki yadi aap ek Blogger hai aur aap apna career blogging me banana chahte hai to aapke liye to is tarah ka account hona must hai. Kyonki iske bina aap apne blog ya website ko Yahoo ya Bing webmaster tool me submit nahi kar sakte hai.
Yadi aap Microsoft se related service jaise MSN, Outlook, Office online, OneDrive aur Xbox Live etc use karna chahte hai to bhi aapka microsoft par account hona bahut hi important hota hai. Jaisa ki ham sab jante hai ki yah ek trusted aur old platform hone ke hi sath sath bahut hi secure mana jata hai.
Ise bhi padhiye : Dropbox account kaise banaye
Jyadatar is tarah ke account ka use professional user hi apne official work ke liye karte hai security reasons ki vajah se. Vaise India me jyadatar Gmail ka use kiya jata hai lekin yadi ham India se bahar ke country ki baat kare to sabse jyada Outlook, MSN ya bing jaisi services ka upyog bahut jyada hota hai.
Ab mujhe lagta hai aap samajh gaye honge ki microsoft account banana kitna jaruri hota hai aur yadi aap blogger hai tab to aap jarur hi samajh gaye honge. To chaliye aage badhte hai aur jante hai ki how to make a microsoft account.
Microsoft account sign up kaise kare ?
Yadi aap is platform par apna account create karna chahte hai to aap niche diye gaye steps ko carefully follow kare –
Step – 1
- Sabse pahle login.live.com par jaye.
- Ab Create one! par click kariye.
Step – 2
Ab aapke samne ek new page open hoga jisme aapko ek bada sa Form dikhai dega jise aapko apna account banane ke liye sahi tarike se fill karna hoga –
- First name wale field me apna starting ka naam bhariye.
- Last name wale field me apna surname fill kariye.
- User name wale field me apna E-mail ID daliye (Aap Gmail ID ya Yahoo ki email ID fill kar sakte hai).
- Password Field me Strong password hi dale jaise RAMU@singh895, praveen@SINGH4231 etc.
- Reenter password field me dubara se vahi password bhare.
- Country/region field me apni Country select kare jaise India, Pakistan, Nepal etc.
- Birthdate wale field me apni date of birth select kare.
- Gender wale field me apna Gender select kare. Yadi aap Female hai to female aur Male hai to Mail select kare.
- Country code me apni country ka code select kare, jaise India (+91), Pakistan (+92) etc.
- Phone number wale field me apna real Mobile No. dale.
- Enter the characters you see wale field me jo captcha code bhare jo upar show ho raha ho.
- Ab last me Create account par click kar de.
Step – 3
- Ab aapke samne ek new window open hogi jisme aapse aapke dwara provide kiye gaye E-mail address ko verify karne ke liye bolega.
- Apne jo email id form dali thi us email id ko login kariye aur inbox me Microsoft dwara send kiye gaye email ko open kare aur Verify button ya link par click kar de.
Step – 4
Ab aapke samne ek message show hoga jisme Ready to Go ! likha hoga aur aapke liye thanks likha hoga verify karne ke liye. Vahi par ek OK button bhi dikhai dega to Ok button par click kar de.
Congratulation ! Ab aapne sare steps pure kar liye hai aur aapka microsoft account successfully create ho chuka hai. Yadi aap chahe to microsoft sign in asani se kar sakte hai.
Ise bhi padhiye : Blogger basic Settings kaise kare
Mujhe ummid hai ki aapko ab achhi tarah se maloom chal gaya hoga ki Microsoft Account Kaise Banate hai Aur Microsoft Sign Up Kyo Jaruri hota hai. Yadi is tutorial se related koi problem ya suggestion ho to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapko jawab jaldi dene ki koshish karenge. Yadi ye post aapko helpful lage to social media Freinds ke saath jarur share kare.
roaan says
Bahut hi achaa article hai bro
vivek says
meri mobile lumia 630 hai usme jab mai microsoft store se apps install kar raha hu to microsoft account mag raha hai esliye maine microsoft account bhi banaya likin aab store se apps install kar raha hu to faimily account mag raha hai mai faimily account banau aur kaise apps install karu yah mera microsoft account hai vivek2324@outlook.com
Surendra Singh says
Vivek ji is problem ke liye aap hamare fb group par contact kare kyonki without screen shot me kuchh bhi sahi se jawab nahi de paunga.
satish yadav says
Mai live banata hi to server temperary batata h iska upay bataye
Surendra Singh says
Apna Internet connection check kijiye aur post follow kijiye
satish yadav says
Internate chek kiye h ok h online sahi chalta h but jab hum live id banate h banane ke baad error netwark batata h plz kuchh sahi tarika bataye windows id ke bagair kuchh download hi nahi hota
Surendra Singh says
Ye jo error network bata raha hai iska Matlab yahi hota hai ki aapka net slow hai.
satish yadav says
Sir create account tak bana chuke h usake age banate h to veryfy email Ata h usame resend email likha hota h usake age kuchh option hi nahi Ata h
Surendra Singh says
Aapke email par ek verification link aayi hogi us par click kar dijiye isse account verify ho jayega fir access ka paoge.
satish yadav says
Sir login id kaise banegi usake baad inkbox open kaise hoga
Surendra Singh says
Bhai aap I’d to banaiye inbox bhi aa jayega
Shivsagar says
Hello Sar
Microsoft account 365offec kese Babar
satish yadav says
Mera mobile Nokia lumia 710 h usame jab bhi kuchh download karts hu to windows live id mangata h and live id banata hu to server temparary batata h plz kuchh isake bare me kuchh bataye
satish yadav says
Varryfication to Ata h pr resend email likha hota h resend pr click karte h kuchh hota hi nahi
Surendra Singh says
Are bhai, aap apna email box open kijiye usme verification link par click kijiye fir verify ho jayega.
satish yadav says
Sir id to bana chuke h veryfy email de raha h pr usame bhi resend email de raha h
varsha says
Sir , mene MS account bana liya h , pr ye verify kese hoga? Verify link pr click karne pr sign in or create new account ka option aa jata h. Iske bad kya krna h. Please help kijiye.
Surendra Singh says
Jab aap apne apne email inbox me jakar verify link par click Karte hai to verification successful hone ka message show karega aur account login karne ke liye kahega, aap chahe to login Kar sakte hai isme koi problem nahi hai, aapka account ban gaya hai.
prianka says
Sir verify hone ka bad bhi account to ban gay but apps stor krny bar bar bar unisttal ho rha
Praveen says
Mera mobile Lumia 730 h jisme mere friend Ka account add h jisle Karan mere sare pics or video OneDrive me uske account me save Ho raheujhe uska account hata ke apana account add Karana h to kese karu plz reply
Surendra Singh says
Mobile related information yaha nahi di jati yaha sirf blogging related problems ka solution aur suggestion diya jata hai.
jayanta ray says
sir mera email box par koi email nai ah raha
prakash pun says
Sir mere pas Microsoft Lumia 532 hai jab bhi main app download karne play store main ja raha hoon to koi bhi app install Ni hore
Aap kuch Bata sakte hai
Surendra Singh says
Brother Yaha Mobile related problem ko solve nahi kiya jata sirf Blogging ki jankari di jati hai.
taslim ahmad says
sir mere pass Nokia 808 pureview phone hai uska nokia account mene bana to liya par store me sign karne ka option nhi aa raha account ko sign kese Kare plz tell me
abhi says
m ek google ki trh apni site bnana chta huu kaise bnau
aap mujhe mere whatsapp no. per btana 8350938995