Namskar dosto, Is post me Bloglon aapko batane ja raha hai ki Powered by Blogger Attribution sahi tarike se kaise Remove karte hai, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Blogger ya Blogspot Blog me Labels kaise banate hai. Ye guide un newbies ki liye hai jo per day mujhse mere fb group me puchhte rahte hai ki Powered by Blogger widget ya attribution apne template se kaise remove kare. Vaise maine kafi logo ko is bare me directly bataya hai lekin kuchh log baar baar ek hi problem bata rahe the to maine socha kyo na iske liye ek post likhi jaye jisse in logo ki ye problem solve ho jaye. Ise apne blog se delete karna ya hide karna bahut hi simple hota hai, To isliye bane rahiye hamare sath aur sikhiye how to remove powered by blogger attribution.
Blogger Template se Powered by Blogger remove kyo na kare ?
Jaisa ki ham sab jante hai ki Blogger platform ek free web publishing tool hai jise koi bhi asani se use karke apna khud ka blog bana sakta hai lekin ye free hone ki vajah se apna credit bhi show karne ko bolta hai. Yadi aap jara dhyan do to me aapko batau ki chahe aap koi free template apne blogger blog par use kare chahe paid template use kare, Sabhi tarah ke template me Powered by Blogger to aapko milega hi. Ab aap jara sochiye ki yadi ye unusable hota to template designer ko bhala kya problem ho rahi thi ki use ye attribution add karna jaruri samjha.
Ise bhi padhiye: Blog ya Website me Facebook like box kaise add kare
Ise apne template me add rakhna bahut jaruri hai kyonki isse jo service aap free me use kar rahe ho use credit milna chahiye. Ab aapke dimag me question aa rha hoga ki yadi ise apne template se remove kar dete hai to hame kya loss hoga, to iske liye me sirf yahi bolunga ki jo expert old blogger hai unka bhi yahi kahna hai ki blogger template me se is attribution ko nahi hatana chahiye balki use apne blog par show jarur karke rakhna chahiye kyonki yahi Blogspot use ka good manner hota hai. Iska negative impact kya padta hai to iske bare me koi nahi janta.
Yadi phir bhi aap ise remove ya hide karna chahte hai to aaiye jante hai ki powered by blogger remove kaise karte hai.
Blogger Template me Powered by Blogger kaise hataye ?
Aap apne blogger template me se ise 2 method ke dwara hata sakte hai –
- Attribution Widget Hide karke.
- Attribution Widget Remove karke.
To aaiye First method se ise kaise remove kar sakte hai iske bare me sikhne ke liye is guide ko aage padhte rahe.
Method – 1
Blogspot blog me powered by blogger hide kaise kare ?
Yadi aapko apne blogger template se Blogger attribution ko hide ( chhupana ) chahte hai to niche likhe steps ko follow kare –
- Blogger Dashboard login kijiye.
- Ab Template par click kijiye.
- Ab Edit HTML par click kare.
- Ab aapke samne aapke template ka code open ho jayega, To isme yadi aapko CSS code edit karna hai lekin aapko css code fold dikhai dega to use ufold karna pagega. CSS code unfold karne ke liye <b:skin>…</b:skin> par click kare ye aapko upar se thoda niche ki taraf scroll karne par 30-50 line no. par asani se mil jayega.
- Iske baad aap apne keyboard par Ctrl+F ya F3 dabaye fir aap ye code ]]></b:skin> search kare.
- Iske baad ]]></b:skin> ke upar niche diya gaya code paste kar de.
#Attribution1{display:none;}
- Ab save template par click kar de.
Ab aap Desktop/Laptop par apna blog check karenge to aapko ye attribution dikhai nahi dega, Lekin yadi aap mobile ya smartphone par open karenge to apko Powered by Blogger dikhai dega. Ab aap soch rahe honge ki attribution ko mobile view me se kaise hide kare to iske liye darne ki jarurat nahi hai. Niche ham aapko batayenge ki blogger mobile template me se attribution kaise hide kare.
How to Hide powered by blogger in mobile ?
Apne blog ke mobile view se is attribution ko hide karne ke liye niche diye gaye points ko follow kare –
- Niche diye gaye code ko apne template me find kare.
<b:widget id='Attribution1' locked='true' title='' type='Attribution'>
- Ab niche diye gaye code ko upar find kiye gaye code se replace kar dijiye.
<b:widget id='Attribution1' locked='true' mobile='no' title='' type='Attribution'>
- Iske baad Save template par click kar de.
Ab aapke blogger template ke mobile view se bhi powered by blogger attribution widget hide ho chuka hai. Aap ise check karne ke liye mobile me apna blog open kare apko ye attribution dikhai nahi dega.
Ise bhi padhiye: Blog ya website ke liye Feedburner ID kaise banaye
Yadi aapko powered by blogger hide nahi karna hai balki ise permanently apne template se remove karna chahte hai to aap hamari second method ko follow kare. Iske dwara bhi desktop aur mobile template se is attribution ko remove kar sakte hai.
Second method :-
Powered by blogger remove kaise kare ?
Niche diye gaye steps ko carefully follow kare.
Step – 1
- Iske liye sabse pahle aap Jump to widget par click kare.
- Ab Attribution 1 par click kare.
- Ab aap us widget code par pahunch jayenge jo is tarah ka dikhai dega –
- Ab widget code me True ki jagah False likh de. ab aapka code is prakar dikhai dega –
- Iske baad Save template par click kar dijiye.
Step – 2
- Layout par click kijiye.
- Iske baad us widget ko find kijiye aur Edit par click kijiye.
- Ab Remove par click kijiye.
- Ab aapke samne ek chhoti popup window open hogi jisme aapse puchha jayega ki aap is widget ko remove karna chahte hai. To remove karne ke liye OK par click kar de.
- Ab Save arrangement par click kar de.
Congratulation ! Ab aapke blogger template se powered by blogger attribution widget successfully remove ho chuka hai.
Ise bhi padhiye: Apne blog ke liye Blogger basic Settings kaise kare
Mujhe ummid hai ki aapko ab achhi tarah se maloom chal gaya hoga ki Blogger ya Blogspot Blog me Powered by Blogger Attribution sahi tarike se kaise Remove karte hai. Yadi is post se related koi problem ya suggestion ho to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapko apki comment ka jabab jaldi dene ki koshish karenge. Yadi ye post aapko helpful lage to social media network par apne freinds ke saath jaroor share kare.
vakil says
hello surendra sir meri, website yahoo me verified nahi ho rahi hai check karke bataiye suvas75.com
Surendra Singh says
vakil ji, Yahoo me nahi Bing me submit karo lekin aapki site online nahi hai isliye submit nahi hogi pahle use sahi se set karo fir submit karna.
Mukesh says
Aapne pahele Apne is blog ke header me Ek hosting company ads lagaya tha jo complete hindi me tha use us website ka url kya hai…
Surendra Singh says
Mukesh ji, Vo Hostgator ka Affliated banner tha, aap bhi use kar sakte hai hostgator ki affiliate join karke.
Mukesh says
Nahi Sir G Koi Naya Website Tha Jo Hindi me Tha Pura Website Hindi me Hi Tha….Sath me O WordPress migration ka Service deta tha. aur Application Design.
rohaan says
Bahut hi badhiya post hai dost
Ramit Agrawal says
kuch noii hua sare method apply kar liye lagta hai wo noii hatega
Surendra Singh says
Ramit ji, sab remove ho jata hai lekin aap nhi Kar pa Rahe hai, aap post ko follow kijiye.
iweb technologies says
it is a really good blog