Namaskar Dosto, Is post me Bloglon aapko batane ja raha hai ki WordPress Blog Me Subscriber Widget Kaise Add Karte hai without wordpress newsletter plugin, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki File Store karne ke liye Dropbox account kaise banate hai. Dosto jaisa ki ham sab jante hai ki WordPress ya self hosted wordpress par ham apna blog ya website bahut hi asani se bana sakte hai, without technical knowledge. Lekin yadi aapka blog wordpress par bana hai aur aap chahte hai ki blog me ek stylish ya achha dikhne wala subscriber widget bhi ho jisse aapke visitors aapke blog ko asani se subscribe karke aapke subscriber ban sakte hai. Vaise aap apni website me wordpress subscription plugin ko use karke bhi ise add kar sakte hai Lekin jyada plugin use karne par hamari site ki loading speed bhi negative impact padta hai. Isliye ham aapko ise apne blog me lagane ke liye wordpress widgets ka use karenge, Matlab without plugin.
WordPress Blog me Subscriber Widget kyo add kare ?
Yadi aapka blog wordpress.com ya self hosted wordpress par bana hai to aapko apne site me ek subscriber widget jarur add karke rakhna chahiye. Kyonki yadi aapke website me ye widget nahi laga hoga to aapki site par jo visitors aate hai aur unhe aapka blog ya content pasand aata hai to vo aapki website ko reuse ke liye subscribe karna chahenge. Yadi ye widget aapke blog me add nahi hoga to vo log subscribe nahi kar payenge jisse aapke blog ke regular traffic par wrong impact padega. Matlab visitors aapke blog ke subscriber nahi ban payenge.
Yadi aap apne blog me achha stylish y subscription laga hua hoga to aapke visitors aasani se subscribe kar lenge jisse aapka return traffic bhi increase hoga aur aapka blog aur achhe se aur jaldi popular ho jayega. Vaise me aapko stylish subscription widget apni site me lagane ke liye recommend karunga. Kyonki ye aapke visitors ko jyada pasand aayega. To chaliye aage chalte hai aur aur jante hai ki WordPress blog me without plugin subscriber widget kaise add kar sakte hai.
Ise bhi padhiye : Blog ya Website me Facebook like box kaise add kare
Without Plugin Subscriber Widget kaise add kare ?
Yadi aap apne blog me ye widget lagana chahte hai aur ye bhi chahte hai ki koi plugin bhi install na karna pade to aap hamare dwara bataye gaye steps ko follow kare. Ise apne blog me add karna bahut hi simple hai –
Step – 1
Sabse pahle apne WordPress Dashboard ko login kijiye.
Step – 2
- Appearance par jaye.
- Edit CSS par click kijiye.
Step – 3
- Ab aapke samne ek CSS Stylesheet Editor open hoga usme niche diya gaya CSS code copy karke usme paste kar dijiye.
#bloglon { padding: 15px 25px 20px; line-height: 35px; text-align: center; background: #148aea; margin: -25px; border: none; } input.jdk { color: #333; padding: 15px; font-size: 14px; font-family: PT Sans, sans-serif; border: 1px solid #EEE; margin: 10px auto 0; border-radius: 3px; width: 89%; } #bloglon p { color: #fff; font-size: 16px; } #bloglon h5 { font-size: 23px; color: #fff; padding: 0; text-align: center; } #bloglon input[type="submit"] { background-color: #ea141f; border: #ea141f solid 2px; color: #FFF; cursor: pointer; padding: 10px 15px; font-size: 16px; width: 100%; margin: 15px auto 0; } #bloglon input[type="submit"]:hover { background: #18c90c; color: #333; border: #18c90c solid 2px; }
2. Save Stylesheet par click karke CSS code ko save kar de.
Step – 4
- Appearance par jaye.
- Widgets par click kijiye.
Step – 5
Ab aapke samne ek new page open ho jayega jisme aapke blog ke liye kuchh widgets diye gaye honge, Jisme se jo widget aapko apni site par use karna hai to use aap aasani se add kar sakte hai.
- Text Widget par click kariye.
- Add widget par click kijiye.
Step – 6
Ab aapke samne Widget sidebar me add ho jayega aur widget Box open ho jayega, jissme aapko niche diya gaya HTML code dalna hoga.
- Title wale field me Widget ka title name dale jaise “Subscribe Here” etc, Ya fir aap use blank bhi chhod sakte hai.
- Content wale field me niche diya gaya HTML code copy karke paste kar de.
<div id="bloglon"> <h5>BlogLon Free SignUp</h5><p>BlogLon par Sign up kare aur Apne email inbox me Latest Blogging Guide Daily Prapt kare</p> <form action="http://feedburner.google.com/fb/a/mailverify" method="post" onsubmit="window.open('http://feedburner.google.com/fb/a/mailverify?uri=Bloglon', 'popupwindow', 'scrollbars=yes,width=550,height=520');return true" target="popupwindow"> <input class="jdk" type="text" name="name" placeholder="Enter your name"> <input class="jdk" type="text" name="email" placeholder="Enter your email ID"> <input type="hidden" value="bloglon" name="uri"> <input type="hidden" name="loc" value="en_US"> <input class="submit" type="submit" value="SUBSCRIBE NOW"> </form> </div>
3. Save par click kar dijiye.
4. Close par click karke close kar de.
Important Note – HTML code ke Line no. 2 me mailverify?uri=Bloglon likha dikhai dega jisme Bloglon ki jagah apne blog ki Feedburner ID jarur dale. Yadi aapko nahi maloom ki FeedBurner ID kaise banate hai to aap ise jarur padhe – Blog ya website ke liye Feedburner ID kaise banaye
Congratulation ! Ab aapke WordPress site me stylish Subscriber widget successfully add ho chuka hai, Ab aap apna blog check kar sakte hai.
Ise bhi padhiye : Godaddy Managed WordPress Hosting par Blog kaise banaye
Ab me ummid kar sakta hu ki aapko ab achhi tarah se maloom chal gaya hoga ki without newsletter plugin WordPress Blog Me Subscriber Widget Kaise Add Karte hai. Aap bhi mujhe comment ke madhyam se jarur bataye ki aap apne blog me kis tarah ka subscriber widget use karte hai good looking ke liye. Yadi is post se related koi problem ho to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapko jaldi jawab dene ki koshish karenge. Yadi ye post aapko helpful lage to social media freinds ke saath jarur share kare.
rohaan says
IMG me jo widget dikh raha wahi hai na ??
Surendra Singh says
Ji rohaan ji ye wahi widget hai jo is site par use kar rha hu.
brij's bhalla says
hello surendra,
aapne coding se subscriber widget add karne ke bare me uttam post write ki he. me ek aur baat aapko batana chahta hu ki, jyadatar themes automatic subscriber widget provide karte he jo aap bina coding ke bhi sidebar me istemal kar sakte he.
anyway keep it up.
rohaan says
surendra ji maine aapke bataye sabhi steps ko follow kara lekin widget add karne me nakam raha , mujhse pata nahi galti kaha ho rahi ya aapne ise sahi tarike se bataya nahi ek baar dekh kar bataiye plz
Surendra Singh says
rohaan ji me jo code use kar raha hu usi code ko publish kiya hai, Aap post achhe se padhiye fir widget add karo.
rohaan says
bro aapne subscrtion widget ko scroll down karne par bhi nahi jata kaise kiya hai aapne
Surendra Singh says
Rohaan ji, Aap thoda wait kijiye iske bare me bahut jaldi post publish hogi. Keep visiting.
rohaan says
thankyou surendra ji agar ho sake to smart header bar ko bhi kaise add karte hai uske bare bhi post likh de
Surendra Singh says
Ok Rohan ji, I’ll try to published soon that you want. Keep visiting.
akhilesh kumar says
hello sir,
mujhe apne blog par header logo ke samne ads widget lagana hai kaise lagau kuchh idea dijiye please
Surendra Singh says
Akhlesh ji, ye aapki theme par depend karta hai, yadi aapki theme me header ads ke liye koi option nhi hai to aap plugin ka use Kar sakte hai, iske liye kuchh plugin hai jisse aap header ad laga sakte ho, vaise me iske liye post likh raha hu aap tab tak wait kijiye. Keep visiting.
rohaan says
Surendra ji aapne code box ke liye kaun sa code use kara hai ? bata sakte hai kya
Surendra Singh says
Rohaan ji, post me code show karne ke liye me Crayon Syntax Highlighter plugin use karta hu.
Surendra Singh says
Rohaan ji, ummid karunga ki agli baar is Tarah ki short comment nahi karoge.
Deepak Sahu says
sir hinglish blog me permalinks kaise likhe ? i means hindi , english or hinglish?
Surendra Singh says
Deepak Sahu ji, hinglish blog me permalink ko aap hinglish me bhi likh sakte ho aur English me bhi likh sakte ho.
Deepak Sahu says
post image me hindi me kaise likh sakte hai..?
Surendra Singh says
Dear Deepak ji, jis Tarah other languages me likhte hai vaise hi post image me bhi hindi me likh sakte hai.
Deepak Sahu says
1-mera matlab ye tha ki aap jo image lagate ho post me… usme photoshop se likhte hai hindi me?
2- sir maine gravatar pe pic laga di hai apni but comment karne pe meri image show nahi ho rahi.. aisa kyu sir?
Surendra Singh says
Deepak bhai,1. image par hindi me likhne ke liye me photoshop ka use karta hu.
2. Yadi aapne gravatar profile me image add Kar di hai ya save Kar di hai to comment me show hone lagegi thoda wait kijiye approx 48 hours, lekin me aapko suggest karunga ki ek bar fir aap check kar le ki profile picture theek se save huyi hai ya nahi.
Rishikesh Mishra says
Bro. Mujhe ribbon theme send karo mujhe techtohindi.com pr lagana hai
VIJENDRA SINGH says
Hello sir
1.sir aapne subscribe box add karne ke liye nice article publish kiya hai uske liye thanks and sir
plz. bata sakte hai ki aapka jo subscribe box scroll down up karne par uper kaise nahi jata hai
agar aapne iske bare me koi post likhi ho to uska link bataye.
2.aap konsa theme use kar rahe hai kya ye free hai ya paid hai
Surendra Singh says
1. Ye fixed widget hai iske liye aap “fixed widget” Wali post follow kijiye.
2. Me ribbon theme use Kar raha hu. Ye free theme hai.
VIJENDRA SINGH says
hello sir
Ribbon theme to me bhi use kar raha hu lekin sir aapke theme ki tarah nahi hai aapke theme
ka color full whaite hai and sidebar me colum hai mera theme ekdam simple hai kya mera aur aapka ek hi hai plz. sir ek bar meri site par visit kare mera theme chake kare ya fir aapne theme koi editing ki ho to plz.uske bare bataye
Surendra Singh says
Maine Ribbon theme ko customize karke look change Kiya hai.
Tech To Hindi says
Bahut ahi Badhiya Information About subscription button
Santlal says
nice bro ,mujhe ek help chahiye thi mujhe. Kya aap bta skte ho ki post me code box kaise lgaate hai. meri site wordpress pr hai.
Surendra Singh says
Iske liye bahut si plugins available hai jinhe aap use kar sakte hai Me iske liye Crayon plugin use karta hu.
Dev says
sir, wordpress me appearance par jaane par Edit CSS nahi hai. Kya ye editer me milegaa. mai newspaper theam use karta hu. please bataye…
Surendra Singh says
Yadi aapne jatpack plugin install ki hogi tabhi EDIT CSS ka option milega.
Yadi aap chahe to theme file me jakar css file ko edit Kar sakte hai.
Suraj Barai says
ye post aapne likha hai ki wordpress me email subscriber kaise lagaye toh email subscriber ka ek pic de dete toh aur help ho jata ……
Surendra Singh says
Post me jo image use ki gayi hai usme Maine subscriber box ki image bhi di hai.
Suraj Barai says
comment karne ke baad jo thank you page open ho raha hai. isse kaise kiya aapne please bataiye me bhi apna blog par karna chahta hu..
Dabhijay says
post read krte hai uske niche subscri.ption button kaise lagate hai?
Dharmendra vishwakarma says
Agar me plugin ka use karu to
Aap kiska use karte hai feedburner ya or kuch
Rushikesh Sonawane says
hello, sir maine is code ka istemaal kiya. par mujhe 2 problem aa rahe hai.
1) subscribe now ka button kafi chota aur adhoora hi dikh raha hai.
2) uri=”jankaribook” aisa change kiya. par subscribe now par click karne ke baad, feedburner neeche wala massage show kar raha hai.
Surendra Singh says
Aap use customize kijiye kyonki aapki theme ki coding overlap ho rahi hogi, isliye aap mujhe link dijiye jisse me sahi suggestion de saku.
Vipul lambariya says
sir please mera google sitemap submit nahi ho raha he mera blog blogger pe he aur submit karte hi error aata he
Surendra Singh says
Aap sitemap wali post padhiye aur usme jis Tarike to bataya gaya hai use follow kijiye, aapki problem solve ho jayegi.
Sunilbhai Patel says
Surendrabhai feedburner me account banakar wp subscribe install karke email subscribe karna complete ho gaya hai. par mene mere dusre email se meri website ko subscribe karne ki koshish ki to capcha bharne ko aa raha hai. capcha ko remove karna hai. please help karenge Surendrabhai..
Surendra Singh says
डिअर Captcha को remove नहीं कर सकते ये default होता है जिसे feed burner के द्वारा manage किया जाता है
ankit says
apke jaise sidebar me categiroy hai vaise hi chahiye bilkul vo kaise kare
sumit kumar gupta says
sir maine is post ke dwara apne blog par email subscription box lgaya par jab hum dusre email se subscribe kar rhe hai to hmare mail par naya post ka information nahi aa rha hai aisa kyo ho rha hai sir
Surendra Singh says
New post ki information tab milti hai jab aap subscription link ko verify Karte hai. Sayad aapne verification nahi Kiya hoga.
sumit kumar gupta says
verify bhi kiya hai sir
Surendra Singh says
Yad verify Kar diya hai to apni feedburner id check kijiye sayad aapne id wrong dali hai ya fir feedburner account me email delivery active nahi ki hai.
sandeep says
surendra sir ji,
aa[ne kaafi achchi jankaari paraddaan ki hai. yah jaankaari sabhi blogger ke liye kaafi laabhkaari hai.