Namaskar dosto, Is post me Bloglon aapko batane ja raha hai ki Blogger Menu bar me links kaise add karte hai, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Blogger Posts and comments settings kaise karte hai. Aaj ke samay me kaun blogger nahi chahta ki uska blog sahi se set ho matlab visitors friendly ho, Visitor ko jis topic ki jankari chahiye ho use vo aapke blog par sirf ek click me mile. Lekin ek newbie ke liye is tarah se apne blog ko set kar pana thoda muskil sa lagta hai. Me aisa is liye bol raha hu kyonki mujhse social media par mere kuchh blogger friends ne bahut baar puchha ki ham apne blog ke menu bar ko kaise edit kare, kaise menu bar me label ya kisi page ki link lagaye ? isliye maine socha kyo na navigation menu ke bare me ek post share karu jisse sab logo ki ek saath help ho jayegi.
Dekhiye yadi aap apne Blogspot ya Blogger blog me menu edit karna chahte hai to uske liye aapko thodi coding knowledge ki jarurat padti hai lekin yadi aap hamare is tutorial ko achhe se follow karenge to aap apne blog ke navigation ko bahut hi aasani se edit kar lenge. Chaliye tutorial start karne se pahle ham aapko menu se judi kuchh achhi baato ko batane ja rahe hai. To aap bane rahiye hamare sath aur jante hai ki what is menu bar.
Menu bar kya hai ?
Ise ham kai naam se jante hai jaise navigation menu, navigation bar, Menu options, Page menu etc. In sabka matlab ek hi hota hai. Ye hamare template ke header area (Upar ki side) me hota hai, Jisme hame kuchh topic ke option ya horizontal menu bar dikhai deta hai, lekin kuchh templates me nahi bhi hote hai to fir apne hisab se add kiya jata hai.
Ise bhi padhiye: Facebook like box kaise add kare
Menu ki help se koi bhi reader blog ke jaruri content ko asani se read kar sakta hai, use aapke pure blog ki posts me bhatkana nahi padta hai. Ab aap soch rahe honge ki ye kaam to labels widget ke dwara bhi ho jata hai to phir iski kya jarurat, lekin jarurat hai kyonki labels aapke sidebar me lage hote hai to ho sakta hai ki readers ka dhyan un par na jaye, Isliye Menu bar me yadi unhi labels ki link set kar di jaye to isse aapka blog aur jyada user friendly ban jata hai. Chalo chhodo ise aur aage chalte hai aur jante hai ki Menu bar ko ham apne blog me kitne prakar se set kar sakte hai.
Blog me Menu bar kaise set kar sakte hai ?
Navigation (menu) ko ham apne blog me 2 prakar se set kar sakte hai –
- Page menu
- Labels menu
Page menu ke bare me yadi me aapko batau to ye apne blog me jo page banye jate hai jaise About, Contact us, Privacy policy etc. is tarah ke page ko apne blog ke menu bar me set kiya jata hai. Inko kaise set kiye jate hai ye janne ke liye aap hamare sath bane rahiye.
Ise bhi padhiye: Blogger ya Blogspot Blog me Labels kaise banaye ?
Labels menu ki baat kare to is tarah ke menu hamari post ko alag alag label ke hisab se sort karte hai, Jisse maan lo yadi koi visitor aapke blog par Blogging se related post padhna chahta hai to vo blogging wale label menu par click karke sari post one by one aasani se read kar sakta hai.
Ab aapko thodi confusion na ho isliye me aapko bata du ki hame apne blog me dono tarah ke menu set karne hote hai. To chaliye aage badhte hai aur jante hai ki ham apne blogger template me menu kaise edit kar sakte hai.
Blogger blog me Menu bar kaise edit kare ?
Yadi aap bina kisi pareshani ke apne blog ka menu edit karna sikhna chahte hai to aap hamare dwara bataye gaye steps ko carefully follow kare –
Step – 1
Is step me ham sabse pahle apne template ka backup lena sikhenge.
- Apna Blogger Dashboard login kariye.
- Template par click kar dijiye.
- Template me coding se chhed chhad karne se pahle template ka backup jarur apne PC/Laptop me save kar le. Backup lene ke liye upar ki side right corner me Backup/Restore par click kare.
- Ab Download full template par click kar de. Ab aapka template download ho jayega use desktop par rakh de, Jisse yadi aapse koi mistake hoti hai to aap download kiya hua backup upload kar sakte ho. Ab use close kar de.
Step – 2
Is step me aapko template code ke andar enter karke editing sikhni hai.
- Edit HTML par click kare.
- Ab Jump to widget me jaye aur Html 1 par click kar de.
- Ab aapko vo menu dikhai denge jinhe aapko set karna hai, Yadi is tarh se menu code na mile to aap manually bhi khoj sakte hai. jab aapko menu code mil jayega to kuchh is tarah ka dikhai dega –
- Ab aap apne blog ke hisab se menu ka naam change kar de aur “#“ki jagah page ki link paste kar de.
Yadi aapko Labels bhi menu me set karna hai to aap “#” ki jagah Label ki link paste kar de. label ki link kuchh is tarah ki hoti hai http://Aapkablog.blogspot.com/search/label/YOUR LABEL NAME
Lekin dhyan rahe yadi aapka label ka naam 2 ya 3 words se milkar bana hai to aap pratyek word ke beech me space ki jagah %20 add karenge, For Example –
jaise mera ek lebel “make money online” naam se hai ab ise link me is prakar likhenge make%20money%20online
Ab hamare is label ki link kuchh is tarah banegi – http://Aapkablog.blogspot.com/search/label/YOUR %20LABEL %20NAME
Ab aap samajh gaye honge ki label ki link sahi se kaise edit karni hai, Ab aap is link ko apne menu vale code me “#” ki jagah paste kar de aur uska name vahi rakhe jis naam se labels widget bana hua tha aapke blog me, yadi aap labels widget kaise add karte hai ke baare me nahi jante hai to pahle use jarur padh le.
5. Ab save template par click kar de.
To Friends Mujhe ummid hai ki aapko ab achhi tarah se maloom chal gaya hoga ki Blogger Menu bar me Links kaise add karte hai. Yadi is post se related koi problem ya suggestion ho to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapko apki comment ka jabab jaldi dene ki koshish karenge. Yadi ye post aapko helpful lage to social media freinds ke saath jaroor share kare.
Sunil kumar says
Sir mujhe apna blog desine krwana h pls help me
Mob no
Whatsapp no
8059795763
Rohit Khankal says
Bahut badiya sir.. Apne post bahut hi achha likha hai. Mai blogging ke bare me Sikh raha hu muze apka what’s app number milega kya ?
Muje is topic par aur info chahiye is liye plz contact de dijiye…ya mujhe what’s app kije 8087737185..plz sir request hai apse
Surendra Singh says
Thanks dude. Brother me Whatsapp use nahi karta, isi tarah ki jankari pane ke liye blog ko subscribe kar sakte hai ya Facebook page ko like kar sakte hai.
desai prakash says
mere blog ke edit html me ye wala code he hi nahi plz help me
Surendra Singh says
Nahi hai to aap apna solution Google par search kar lijiye bahut sari post mil jayegi unhe follow kijiye.
KantZone says
AAPANE BHAHOT BADIYA POST LIKHA HE PAR YETO BATAYE KI YE PAGE KI LINK KESE MILEGI
Surendra Singh says
Page ko browser me open kijiye fir uska URL copy kar lijiye.
hema patel says
sir mere blog menu bar par link kaise dalna hain please bataye mere ko
thank yo so mach sir ji
Shashikant says
Mujhe aap ki tarah niche Gadget me home,About,Contact us,privacy policy etc page horizontal me add karna hai
Iske liye mai Kya kru
Agar aapke pass koi code ho to please bataye
Ya aap ek exampl code bana kr de dijiye
jaise ki mujhe home page ko niche horizontal me add karna hai to kis code is use kre
Please help me
Surendra Singh says
Theek hai iske bare me jankari de denge post banakar kyonki process thodi si badi hai.
Shashikant says
Ok
Thanks
Thora jaldi hi post share kijiyega
Kyun ki mai avi new blogger hu aur mujhe aapki help ki jarurat hai…
Mandar Patil says
Sir main ollywood par blogs likhta hu..agar menubar me bollywood option set kar du Aur usme blogs link kaise add kare..kyonki ek link ko add kaise katna haiye to pata chala lekin hum to kahi sare blogs likhte hai ek topic par to wo kaise add karte rahe..
Surendra Singh says
Me aapki baat jaha tak samajh raha hu sayad aap ye kahna chahte hai ki sabhi post ki links ko menu option me kaise add Kiya Jaye to iske liye aapko labels banane padenge aur uski link menubar me add Karni hogi vaise iske bare me post likh chuka hu aap blogger label wali post read Kar lijiye aapki problem solve ho jayegi.
gagandeep says
namaskar sir ,
sir maine abhi blogging start ki h , kripya kar mera blog dekhe aur mujhe kuchh suggest kare kya meri theme sahi h aur mujhe kya karna chahiye, kya free ke domain par google adsense approval mil jata h ya nahi