Namaskar dosto, Aaj ki post pratyek internet users ke liye bahut hi upyogi hai kyonki is post me ham aapko batane ja rahe hai ki BidVertiser se 10,000 Rupay per month kaise kamaye ?, jabki maine apni pichhli post me aapko Online money earn karne ke kuchh important fayede ke baare me bataya tha. Kuchh logo ne social media par mujhse bahut baar poochhha ki internet se paise kaise kamaye isliye meri ye post unhi logo ke liye hai jo internet ke madhyam se kuchh montly earn karna chahte hai.
Bidvertiser se paise kaise earn kare ?
Dosto jaisa ki ham sab jante hai ki yadi aap google search engine par ye words ( net se paise kaise kamaye ) likhkar search karenge to aapko bahut sari website result page me show ho jati hai lekin sabse badi problem ye hai ki aaj ke samay me internet par bahut sari website fake hoti hai jo aapse kaam to karwa leti hai lekin jaise hi payment ki baari aati hai to aapko kuchh nahi milta, Lekin kuchh website aisi hai jo aapko apke work ka pura money time to time pay karti hai isme se ek website hai bidvertiser. Iske dwara aap bahut jyada paisa to nahi kamaa sakte starting me lekin achhi mehnat karne par ye aapko valuable payment pay karti rahti hai. Ab aap sochenge ki aap aisa kaise bol sakte hai ki ye time par payment pay karti hai to me iska proof aage isi post me bataunga. To aaiye aage badhte hai aur jaanne ki koshish karte hai ki ye Bidvertiser kya hai.
Read Also: Internet se paise kaise kamaye in hindi
Bidvertiser kya hai ?
Is Website ki baat karu to ye ek pay per click ( PPC ) Network hai jo lagbhag 1997 se apni service provide kar rahi hai lekin is company ne 2003 me ek aur service add ki thi jiske dwara ham ek passive income earn kar sakte hai.
Ab aap samajh hi gaye honge ki ye kitni purani company hai jo logo ko service provide karaa rahi hai aur isse ye bhi proof hota hai ki ye fake website nahi hai yadi fir bhi aapko believe nahi hai to thoda aage chaliye me iska proof bhi dunga jisse aapko pura bharosa ho jayega. Vaise mujhe iske bare me jyada batane ki jarurat nahi hai isse aapko samajh aa gaya hoga ki Bidvertiser kya hai. Aaiye aage badhte hai aur thoda aur iske bare me janne ki koshish karte hai.
Bidvertiser hame paise kyo deta hai ?
Ye ham sab ke liye janna bahut jaruri hai ki akhir ye mujhe paise kyo deta hai iske liye hame kya karna hota hai. Sabse pahle me batana chahunga ki ye aapko money isliye deta hai kyonki iske badle aapko apni website ya blog par bidvertiser ads place karne hote hai. Matlab aagar ham ise sidhe shabdo me kahe to iske dwara income karne ke liye hamare pas website ya blog hona jaruri hai jis par aap iske dwara provide kiye gaye ads code ko lagakar paisa kamaa sakte hai. Yadi aapke pas koi blog nahi hai aur aap banana nahi jante to aap ise padhiye Blogger blog ya website kaise banaye ?.
Bidvertiser ke paas ads kahaa se aate hai aur ise kya fayeda hota hai ?
Jaisa ki ham sab jante hai ki free me to koi bhi service provide nahi ki jati service provider ko kuch na kuchh fayeda to jaroor hota hai jisse vo apna office aur other managements par kharch karta hai aur saath hi proffit bhi leta hai. To iske liye hota kya hai ki jab kisi company ko ad karwani hoti hai to vo aise hi ppc network se contact karti hai jiska use kafi paisa dena hota hai.
Isi tarah bidvertiser par bahut sari companies add hai jo ads karwati hai uske badle vo bidvertiser ko bahut paisa deti hai. Aur yahi ads ye blog ya website owner ko supply karti hai jise apni website par lagakar ham log paisa earn karte hai lekin jitna money bidvertiser ko milta hai usme se ye hame bahut hi kam money deta hai, Matlab Bidvertiser apni service dene ke liye lagbhag advertiser company dwara diye gaye money me se muskil se 10% hi blog owner ko deti hai ye bidvertiser ki policy hai aur yahi uska bussiness hai.
Bidvertiser ke ads se kitna earn kar sakte hai ?
Iske liye me aapko batana chahunga ki ye bahut hi kam paisa pay karne wali company hai lekin jitna bhi aap earn karte hai use ye month ki last date ko jarur pay kar deta hai. Ab baat karte hai maximum kitna earn kar sakte hai ?. Dekhiye ye aapke blog ya website ke traffic par depend karta hai jitna jyada traffic hoga utna jyada aap bidvertiser se earn kar lenge, vaise iski koi limit nahi hai yadi me aasan tarike se bolu to aap aaram se 10,000 rupay par month earn kar sakte hai.
Jaisa ki me upar bata chuka hu ki ye ek pay per click ads Network company hai isliye earning bhi tabhi achhi hoti hai jab hamara website visitors kisi ads par click karta hai, Aur ads impression ke dwara bahut kam earn kar pate hai. Isliye achhi income ke liye ek achhe traffic wala blog ka hona bahut jaruri hota hai. To aaiye aapka jyada samay na lete huye iske payment proof ke bare me baat kar lete hai.
Bidvertiser Payment proof :
Ye payment proof aapko dene ja raha hu jisse aapko bharosa ho jaye ki ye company ya ads network fake nahi hai balki payment karti hai. Proof dekhne ke liye is image ko dekhe jisme meri earnig aur paid payment show kar rahi hai.
Aaiye aage badhte hai aur payment recieve kaise karte hai iske bare me bhi thoda sa samajhne ki koshish karte hai.
Bidvertiser se payment kaise recieve kare ?
Jab ham apni website ya blog par ads lagate hai to hamari earning start ho jati hai lekin is kamaye huye paise ko bidvertiser se apne account me kaise aur kab recieve kar sakte hai iske liye niche likhe point jarur padhe –
- Payment recieve karne ke liye aapke paas apna paypal account hona chahiye, Paypal account ke bina indian user bidvertiser se earning recieve nahi kar sakta.
- Bidvertiser account me minimum 10$ earning hona bahut hi jaroori hai isse kam hone par payment nahi nikal sakte.
Important note :- Indian user check ke dwara payment recieve nahi kar sakta.
To ab aap bidvertiser ke bare me bahut kuchh jan chuke hai. Ab aage badhte huye janenge ki Bidvertiser par account banane ke liye kin kin cheejo ki jarurat padti hai.
Bidvertiser par earning ke liye konsa account banana chahiye?
Me aapko batana chahunga ki bidvertiser par 2 tarah ke account banaye jate hai jo niche likhe hai –
- Advertiser.
- Publisher.
Aage badhne se pahle thoda thoda inke bare me jankari lete hai ki ye kis prakar ke account hote hai aur inme se aapko konsa account banana hai.
- Advertiser
Is account ko keval vo log use karte hai jinhe apni company ya website ya business ka advertisement karwana hota hai, Ise aap bhi banakar apne website ka advertisement bidvertiser ke mahm se kar sakte hai. Lekin dhyan rahe ise money earn karne ke liye nahi banay jata.
2. Publisher
Is prakar ke account ko keval vo log use karte hai jinke paas khud ke blogy website hote hai aur vo usse money earn karna chahte hai, Matlab aap samajh gaye honge ki Publisher account paise kamane ke liye banaya jata hai.
Important Note :- Bidvertiser se money earn karne ke liye keval Publisher account banana hota hai.
Ab aaiye thoda sa ye bhi jaan lete hai ki Publisher account banane ke liye hame kin kin cheejo ki jarurat padhti hai.
Read Also: Google se paise kaise kamaye
Bidvertiser par Publisher account banane ke liye kya kya chahiye ?
Publisher account banane ke liye jo chahiye use maine niche points ke saath likhai –
- Ek email ID hona jaruri hai jiske dwara hi aap bidvertiser par account bana payenge.
- Ek website ya blog hona bahut important hai jisse Bidvertiser dwara diye gaye ads code ko blog par lagakar earnig kar sake.
- Ek Paypal account ka hona bahut hi jaruri hai kyonki jab aap payment recieve karenge to ye Indian users ke liye sirf Paypal account hi mangta hai.
Bidvertiser par Publisher Account kaise banaye ?
Bidvertiser par Account banane ke liye aap is Complete hindi Video Tutorial ko dekhe –
Note – Video ko achhi Quality me dekhne ke liye – Video play kare >> Left me niche ki side Gear icon settings par click kare >> Quality par click kare >> Ab 480p ya 360p kisi ek par click kar de fir aapko video bilkul clear dikhai dega.
Yadi aap Video tutorial nahi dekhna chahte hai to aap niche diye gaye with images tutorial ko follow kare aur bidvertiser par apne blog ke liye account banaye –
- Sabse pahle Bidvertiser ki site par jane ke liye yaha click kare
- Join Now – Its Free par click kare.
- Ab aapke samne ek new page khulega jisme form dikhai dega is form me apni saari information bhariye –
1 – First name wale field me apna naam likhe.
2 – Last name wale field me apna last name bhare.
3 – Phone wale field me apna mobile no. bhare.
4 – Email Address wale field me apna real email id likhe.
5 – Choose your user name wale field me apne bidvertiser account ke liye user name bhare.
6 – Choose your password wale field me apne account ke liye password bhare.
7 – Confirm password wale field me dubara se password dale.
8 – Ab Get activation code par click kare.
9 – Iske baad aapko aapki email id par Bidvertiser ek code send karega, isliye apna email check kare aur us code ko copy karke form me paste kar de.
10 – Ab aapko Bidvertiser ke Terms of servise ke aur other policy box dikhenge, in sab box par click karke check mark kare.
11 – Ab Continue par click kariye.
- Iske baad aapke samne ek new page khulega jisme aapko apni website ya blog ke bare me information bharni hogi –
1 – Bidvertiser Title wale field me apni site ya blog ka naam likhe.
2 – URL of your site wale field me apne blog ya website ka with http ke URL bhariye.
3 – Choose language wale option se apne blog ya site ki language select kariye.
4 – Select main category wale field me apne blog ki cateoy select kare.
5 – Select sub category wale field me apne blog ki subcategory select kar le.
6- Ab iske baad Finish par click kariye.
- Ab aapke samne fir ek new page khulega jisme aapko Country, mobile no. vagairah bharna hoga –
1 – Select country wale option se apni country select kare.
2 – apna real Mobile no. dale.
3 – Ab aap Verification code bhare jo upar capatcha ki tarah dikhai de rha hai.
4 – Iske baad Submit par click kariye.
Note – Aapko aapke mobile no. par bidvertiser text massage ke dwara ek code bhejega.
- Ab aapke samne ek new page khulega jisme aapko mobile no. par bheje gaye code ko bharna hai aur Submit par click karni hai.
Ab aapka account ban chuka hai lekin abhi aapka account aapke blog ke liye Not Verified hai isliye aage badhe aur ise verify karte hai.
- Ab aap Get Ad Code par click kare.
- Ab aapke samne ek new popup window khulegi jisme ek ad code milega use copy kar le aur Close par click karke us window ko close kar de.
- Ab aapko is copy kiye gaye bidvertiser ad code ko apne blog me paste karna hai to aaiye jante hai ki ise sahi tarike se kaise karte hai –
Yadi aapka blog Blogger ya Blogspot par bana hai to –
Sabse pahle apne Blogger account ko login kare aur iske baad Layout par click kare fir add a gadget par click kare iske baad HTML/JavaScript par click kare fir usme ye copy kiya hua bidvertiser ad code paste kar de aur fir save par click kare Save arrengement par click kar de.
Yadi aapka blog Self Hosted WordPress par bana hai to –
Iske liye sabse pahle apna Cpanel login kare aur Appearance >> Widgets par click kare.
Iske baad Text/JavaScript widget par click kare aur usme copy kiya hua bidvertiser ad code paste karke save kar de.
- Ab aap Bidvertiser me jaye aur Verify par click kare, Iske baad ek new popup window khulegi jisme aapko ek capatcha code dikhayi dega use us box me type karke Verify par click kar de. Jyada samajhne ke liye image dekhiye –
Ab aapko ek popup window me massage dikhai dega ki ” Website Vrified successfully, ads are now enabled ” Matlab aapka blog ya website verify ho chuki hai ab aapke blog par ads show hone ke liye ready hai.
Bidvertiser se income recieve karne ke liye Payment Method set kare :
Iske liye aap Select Payment Method par click kariye.
Ab aapke samne ek Payment advice page khulega jisme aapko 4 payment method dikhai dengi ( PayPal, Payza, Check aur Wire ). lekin dhyan rahe indian user ke liye sirf 2 hi payment method allow hai ( PayPal aur Payza ). To chaliye aage badhte hai aur Paypal payment method set karte hai –
1 – Iske liye PayPal wale radio button par click kare.
2 – Ab Paypal account wala email bhare.
3 – Your Current password wale field me apna bidvertiser account ka password dale aur Update par click kar de.
Congratulation, Ab aapka Bidvertiser Account aapke blog ke liye pure tarike se bankar ready ho chuka hai. Yadi aap apne blog par bidvertiser ads lagana chahte hai to aap laga sakte hai, Yadi aapko apne blog par ads code lagana nahi aata to me aapko Bidvertiser ads code Blogger blog par kaise lagate hai iske baare me next tutorial me bataunga.
Read Also: Online money Earn karne ke Fayde
Mujhe ummid hai ki aapko ab achhi tarah se maloom chal gaya hoga ki BidVertiser se 10,000 Rupay per month kaise kamaye ja sakte hai. Yadi is post se related koi problem ya suggestion hai to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapki problem ya suggestion ka welcome karte hai. Yadi ye post aapko helpful lage to please apne social media freinds ke saath jaroor share kare.
Thanks.
Ravinder says
Bidvertiser kafi acchha ad network hai. Or mujhe iske sabse acchhi baat yahi lagi ki yeh hame direct approval deta hai. or kuch hi samay me ads hamari website pr live ho jati hai.
Post ke liye Thanks.
Surendra Singh says
Thanks Ravinder ji aapne aapne bidvertiser ke bare me kuchh nice words share kiye.
Waheed Hussain says
Dear ap meri youtube ki video ko apne blog me use kar sakte hien. Agar munasib lage to backlinks de dena warna embed kar sakte ho.
Surendra Singh says
Thanks Waheed Hussain to comment, Mene bhi video channel start kar diya hai isliye me apni post me sirf apne youtube videos hi dalta hu.
vijay panara says
Bahot acha artical likha hai bhai is ke help se maine Bidvertiser account banaya hai par
1) last step mai site verify nahi ho rahi hai kaise thik karu
2) maine ek site mai padha hai ke pahle Bidvertiser ke code ko blog mai lagana hai fir site verify hoti hai ye baat such hai
3) or ek baat or ke account mai 10$ hone ke baad paypal account ko Bidvertiser mai add kare to chalega ke ya new account banate time he add karna hai
Surendra Singh says
Vijay panara ji aap is post ko theek se padhiye aapke sare answer isi post me include hai.
Govind says
Hello Surender,
Superb article, hatts off to you ki aapne ek topic ko samjhane ke liye itna detail mein likha aur sath mein video bhi banaya..such a good peace of hard work .
Mera ek question hai ki kya bidvertiser ki ads adsense ke compatible hai, matlab iski ads se adsense ko koi nuksan to nahi hoga.
Surendra Singh says
Thanks Govind ji, Adsense ke sath kisi other ad network ko use nahi kiya ja sakta hai, lekin kuchh aise ad network hai jinke sath adsense ads use kar sakte ho lekin me aapko yahi suggest karunga ki apne blog par adsense ads ke sath dusre company ke ads na use kare.
Badan Singh says
Sir aap mera blog ko chake kar ke Bata sakte ho isme kya kami hai or sir me post edit nahi Kr pa rahu Hu post editing me heading colour or link nahi jod rahi hai kya karu people help me…..
Surendra Singh says
Dear Badan Singh ji, Aapki site open nahi ho rahi hai, pahle ise theek kare.
Akash says
how to write colorful font on post content
Surendra Singh says
Akash ji, Dashboard me Font color change karne ke liye option hota hai aap use use kijiye.
parvez khatri says
Bahut hy achhy jankary di he aapne bahut khub.
Suraj yadav says
Hello agar future me AdSense approved hota hai to bidvertiser ke ads lagana bnd kr dena chahiye.
Surendra Singh says
Suraj yadav ji, Ha, Yadi adsense apply kar rahe ho to apni site par other ads ko remove kar dena chahiye. aur adsense approved hone ke baad bhi keval adsense ads hi use karna chahiye. Keep visiting on bloglon.
ramesh kumar sharma says
namskar mr. surendra ji,
bidvertiser ka a/c bana liya aur yah janana chahta hu ki ek bidvertiser a/c se ek blog par kitne ads laga sakte hai. aur ek se adhik ads code kase banaye.
Surendra Singh says
Ramesh kumar ji, aap apne blog men jitne chaho utne bidvertiser ads laga sakte hain. lekin jyada ads use karne se visitors ko problem ho sakti hai. aur ek se jyada code banane ke liye size ke hisab se aapko usme option mil jayega, yadi fir bhi problem aati hai to aap thoda wait karo me jald hi post publish karne wala hu. keep visiting.
ramesh kumar sharma says
namskar mr. surendra ji,
agar google kisi blog ko kisi karn se band kar deta hai to usko fir se kaise chalu karwaye.
next sabaal hai bidvertiser a/c me referal programe par click karne se 2 opction aate hai refer advertisers & refer publishers kya hote hai .
Surendra Singh says
Dear ramesh kumar sharma ji, Yadi koi blog Blogger platform par bana hai aur use google ya Blogger team delete kar deti hai to use recover nahi kar sakte hai. kyonki blogger tabhi kisi blog ko suspend karta hai jab us blog par Blogger policy violation huya ho. And next Bidvertiser men 2 tarah ke referral program hote hai First is Advertiser referral program, jisse yadi koi user Advertiser referral link ko follow karte huye apne product ya services ka Bidvertiser se advertisement karwata hai to aapko commission milta hai. and Second is publishers referral program, jisse koi publishers referral link ko follow karte huye apna account banata hai (Blogger) to jisne aapki link se account banaya hai aur vo apne blog par ads lagakar jitna monthly earn karega uska commission aapko milega. Yadi aapko samajh na aaya ho to koi tension lene ki jarurat nahi hai me agli baar is topic par jald hi post dalne wala hun. So Keep visiting on bloglon.
Naresh detruja says
Bhot hi important information diya hai bro nice a article
Chandan Saini says
Hello Surender Ji,
Superb Article, bahut mehnat ki hai aapne bidvertiser ko detail me samjhane ke liye…. such a good peace of hard work .
Mujhe apse ye janna hai ki Maine abhi Adsense ke liye Apply kiya huaa hai. 1 month ho gya but abhi approve nahi huaa hai…..to mujhe wait karna chahiye ya Adsense ke jagah dusre Ads laga lu. Please visit once.
Thanks in Advance.
Surendra Singh says
Chandan ji, thanks for this and vaise me aapko yahi suggest karunga ki aap adsense ke code ko lagaye rakhe aur approval ke liye wait kare. Yadi aap chahe to adnow ke ads laga sakte hai adsense ke sath iske liye is post ko padhiye http://www.bloglon.com/adnow-se-paise-kaise-kamaye/ lekin me jaldi paisa kamane ke bare me sochna theek nahi samajhta.
prince chaudhary says
sir mne apne blog pr bidvertiser acunt lgaya h ab mujhe kese pta chlega ki mre blog pr add sho huye ya nhi blog layout m preview krke dekhta hu to koi add sho nhi ho rha y add kese sho hoga mre blog pr………
Surendra Singh says
Dear Prince, aap apne blog me ads lagakar save Kar de fir apna blog check kare bidvertser ads jarur show karne lagege.
prince chaudhary says
sir add cod mne 1k hi baar copy kr ke dala h to kiya uska 1k hi add milega……
kiya 1k cod 1k hi add k liye hota hai.
sir kitne add lga skte h 1k blog pr..
Surendra Singh says
Aap bidvertser ads apne blog par chahe jitne laga sakte ho lekin me aapko every page par 3 ads hi recommend karunga.
Aap ek hi size ka ad code kitni bhi baar lagao no problem.
prince chaudhary says
sir 1k or qustion h mra kiya isme bhi adsens ki trha invalid click s disabled hota h…..
Surendra Singh says
Prince ji, bilkul invalid click se aapko payment nahi Kiya jayega ye bidvertiser publisher policy me diya gaya hai
shahid khan says
bidvertser account ko Delate kese karte hain ser mujhe new bidvertser banana hai plz aap mujhe bataye
Surendra Singh says
Bhai, Bidvertiser Account easily delete nahi hota, iske liye unhe email send karna hota hai.
Niraj says
Sir aapka article bahut useful hai
sultan says
sir mera account verify nhi ho rha wo kis karan se ho rha hia. agar mera domain blog wala hai to us karna se verify nhi ho rha hai kya… please tell me
sany says
sir esko sub domain ke sath nhi use kar skte hai
Surendra Singh says
Bidvertiser use mat kijiye kyonki ye problem deta hai isliye chitika ya revenuehit use Kar lijiye.