Namaskar dosto, Is post me Bloglon.com aapko batane ja raha hai ki Keyword stuffing kya hai aur isse kaise bache jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Long tail keywords kaise khoje, keyword research guide. Jaisa ki ham sab jante hai ki aaj ke samay me per day hajaro blogs bante hai aur hajaro khatm ho jate hai lekin kuchh aise bhi blog hai jo apni bulandi ko chhute huye blogging ki duniya me apna naam kamaa rahe hai. Ab aap sochiye in kamyab blogs ke pichhe kya stratgy hai, chaliye me aapko batata hu ki hajaro blog kyo khatm ho jate hai. Aapne sayad keyword stuffing ke bare me suna hoga yadi iske bare me jyada nahi jante hai to ham aapko batate hai ki ye kya hai. Ye vo process hoti hai jise ham spam keywords bhi kahte hai iski vajah se lagbhag 80% blogs ya website online world me kuchh door chalte hi apna dam tod dete hai ya khatm ho jate hai.Yahi ek bahut badaa reason hai jiski vajah se bhaari matraa me per day blog ya website ko internet world se alvida kahna padta hai. To chaliye aage badhte hai aur iske bare me thoda deeply jaane ki koshish karte hai.
Keyword Stuffing kya hai ?
Yah ek Black hat seo ki technic hai jiske madhyam se kuchh log kam samay me bahut jyada traffic pane ki koshish karte hai lekin unhe sayad ye nahi maloom hota ki isse unhe kitna badaa loss hone wala hai khair chhodiye iske bare me aage discuss karenge chalo point par aate hai.
Keyword stuffing us process ko kahte hai jisme ham apne blog ki post me bahut jyada aur unnatural tarike se keywords ka upyog karte hai. Ab aap soch rahe honge ki unnatural tarike ka kya matlab hota hai isliye Yaha me aapko batana chahunga ki jab ham koi bhi keyword without sentense matching ke ya sidhe sabdo me kahu to jabardasti (Forced) keywords upayog karte hai to use unnatural tarika ya Keyword stuffing kahte hai.
Ise bhi padhe: keywords research kaise kare
Mujhe lagta hai abhi bhi aapke dimag me kai questions aa rahe honge, Aap paresaan na ho me aapko iske baare me vistaar se bataunga bas aap hamare saath aage badhte rahiye. Aur ab me aapko keyword stuffing ke example ke roop me ek screen shot dikha raha hu jise dekhkar aap asani se samajh jayenge to aaiye is image ko dekhe –
Abhi upar aapne keyword stuffing example ki image dekhi hai jisse aap kuchh had tak samajh gaye honge ki keyword stuffing kis prakar dikhai deti hai.
Keyword Stuffing blog me kis-kis jagah ho sakti hai ?
Yaha par ham aapko kuchh points ke roop me batane ja rahe hai ki ye aapke blog me kis kis jagah present ho sakti hai. To aaiye niche likhe points ko dhyan se padhe –
- Post Title : Jab ham apne blog ya site ke liye koi post likhte hai to bahut se log post ke title me Unnatural way me ya 2 se jyada keywords use karte hai jo ki aapke blog ke liye bahut hi khatrnaak sabit hota hai.
- Post URL : Isi prakar post ke url me bhi 2 se jyada keywords use karte hai jo keyword stuffing kahlati hai.
- Post description : Maine bahut si aisi websites dekhi hai jo post ke description me keval keywords ko hi likhte hai usme post ka description to bilkul hi dikhai nahi deta balki keyword hi keyword dikhte hai jo ki Black hat seo technic hoti hai aur yah blog ke liye bahut harmfull hoti hai.
- Content : Yadi ham content me keyword stuffing ki baat kare to aapne khud dekha hoga jo log keywords ko post me kaise upyog karte hai ke baare me nahi jante hai vo log content me anjane me ise use karte rahte hai. Aksar maine dekha hai kuchh log apne content me keyword ke liye over optimization karte hai jisse unka blog kuchh hi dino ya months me search engine se black listed ho jata hai, matlab search engine se remove ho jata hai.
Yadi ham ise sidhe sabdo me kahe to content me yadi aapne jabardasti ya search engine ki guidline ke khilaf jakar jyada matra me keywords ka upyog kiya to samajh lo aapke blog ka THE END bahut jaldi hone wala hai.
Keyword stuffing se blog ko kaise bachaye ?
Isse bachne ke liye me aapko kuchh points me samjhane ki koshish karunga to aap in points par jarur dhyan de –
- Jab ham post likhte hai us samay hame dhyan dena bahut jaruri hai ki kahi ham apni post me 2 se adhik ya unnatural way me to keyword use nahi kar rahe hai, Isliye hame apni post ke title par bhi dhyan dena jaruri hai. Iske liye ham aapko niche kuchh example dena chahenge jisse aapko achhe se samajh me aa jaye –
- Post title me keyword stuffing se kaise bache : Yadi aapka blog blogger platform par bana hai to Man lo hame keyword research ke bare me post likhna hai to aapka post title is prakar hona chahiye –
“Keyword research kaise kare (SEO guide)“ ya “How to do keyword research [SEO tips]”
Ab aap is title par thoda dimaag lagayege to aapko keywords ka sahi tarike se optimization dikhai dega matlab is title me maine 2 keywords use kiye hai. Hidi wale title me ek keyword hai “keyword research” aur dusra “SEO guide” jo ki natural way me bhi use kiye gaye hai.
Yadi apne hindi wale post title ko “Killer SEO tips Keyword research kaise kare (SEO guide)” is tarah likha to ye keywords ka overoptimization kahlayega, Kyonki aap dekh pa rahe honge ki is title me 2 se jyada keywords ka use kiya hai aisa karna aapke blog ke liye harmfull hota hai. Aur ek baat batana chahunga ki koi bhi keyword repeat nahi hona chahiye. To is tarah se aap samajh gaye honge ki post ka title sahi tarike se kaise likhate hai.
- Post URL me keyword stuffing se kaise bache : Isi prakar yadi aapne apne post url me 2 se jyada keywords ka use na kare aur ye bhi dhyan rakhe ki koi bhi keyword repeat nahi hona chahiye aur ise achhe se SEO optimized banane ke liye URL me se stop words (is, are, am, the, se, me bhi to) jarur remove kar de.
- Post content me me keyword stuffing se kaise bache : Me aapko batana chahunga ki ye vo part hai jisme lagbhag 90% Bloggers keyword insert karne me fail hote hai kyonki vo log keywords ko sahi se kaise use karna hai iske bare me ya to jante nahi hai ya fir SEO follow nahi kar pate hai. Vaise yadi aapko nahi maloom ki content me keywords kaise use karte hai to aap is post ko jarur dhyan se padhe Post me Keywords kaise use kare. Is tarah aap samajh gaye honge ki content me keywords kaise dalte hai.
Yadi aap apni post ke keyword density ke bare me janna chahte hai ki kahi over optimization to nahi ho gaya to iske to iske liye keyword density calculator ya keyword density analyzer se aap apne post ki keyword density check kar sakte hai. Yaha click karke keyword density checker tool se post ke liye keyword analysis kar sakte ho ya fir ek aur awesome tool hai jisse aap use karne ke liye yaha click kare. Ab chaliye aage badhte hai aur jante hai ki post ke description me keyword stuffing se kaise bacha ja sakta hai.
- Description me keyword stuffing se kaise bache : Yadi post description me keywords ka upayog aapne galat tarike se kiya to aapka blog par keyword stuffing penalty search engine ke dwara laga di jati hai jisse aapka blog google se remove ho jata hai.
Yadi aapko is problem se dor rahna hai to in points ko dhyan se padhe aur apne blog ke liye hamesha follow kare –
- Kabhi bhi post ke description me 2 se jyada keywords ka use na kare.
- Kabhi bhi post ke description me unnatural way me keywords na dale.
- Jo keywords aap use kar rahe hai vo sare post content related hona bahut jaruri hai.
Description Likhne ka sahi tarike ko niche image me example dekhiye jisse aapko achhe se samajh aa jayega ki aapko post description likhte samay upar likhe rules kaise follow karna hai –
Abhi aapne upar image me dekha ki maine ek post ka description kis tarah se likha hai isme maine ek hi keyword use kiya hai aur aur kuchh words maine post ke bare me likhe hai jo ki SEO ke liye best tecnic hai.
Yadi aapka blog WordPress par bana hai to ham sab jante hai ki is platform ke liye bahut sari plugins available hai jinme ek sabse achhi SEO yoast plugin hai jiski madad se Title, URL, Content aur description ki quality ko batata hai ki aapki post kitni seo friendly hai aur kya kami hai use aap correct bhi kar sakte hai. Lekin phir bhi me aapko pratyek post ko manualy verfy karne ko kahunga jisse aap pure tarike se keyword stuffing se bache rahe.
Ise bhi padhiye: Daily 500 unique visitors apne blog par kaise laye
Comments me keyword sttuffing se kaise bache : Bahut bar maine dekha hai ki kuchh log aapke blog par comments karte samay name wale field me apna keyword likh dete hai, Yadi aapne is tarah ke keyword included comments ko apne blog par published kiya to aapka blog keyword stuffing ke dayre me aa jata hai. Isliye hamesha dhyan rakhe ki aapke blog par aisi comment settings ho, ki jo comments auto publish ho jati hai to aapke blog par keyword ka bhandar ho jayega jisse aapke blog par google panalty laga dega.
Yadi aap is tarah ki problem se bachna chahte hai aur yadi aapka blogger blog hai to aapko comments settings karna bahut jaruri hai jisme aap comment publish karne ke liye “comment must appproved by admin” wala option enable karna hoga.
Yadi aapka blog self hosted wordpress par bana hai to spamming ko rokne ke liye bahut sari plugins hai jo aapke blog ko comments spam se door rakhengi. jaise jetpack etc.
Final Words :
Yadi aapka blog blogspot par bana hai to aapko ye sab manualy karna hoga kyonki aaj ke samay me spam comments bahut jyada matraa me blog par post ki jati hai jo aapke blog ka THE END karwa sakti hai.
Yadi aapka blog WordPress par hai to comments spam ko rokne ke liye bahut sari plugins maujud hai jinme se koi ek achhi si plugin instal karo aur uski settings is prakar kijiye ki aapke blog par spam comments ko postm hone se roke, Isse aapka blog search engine ki najar me valuable bana rahega aur aap apne blog ko ek new hight tak le ja sakte hai.
Ise bhi padhe: Blogger Blog ko Alexa par submit & verify kaise kare
Mujhe ummid hai ki aapko ab achhi tarah se maloom chal gaya hoga ki Keyword stuffing kya hai aur isse Blog ko kaise bachaya ja sakta hai. Yadi is post se related koi problem ya suggestion hai to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapki problem ya suggestion ka welcome karte hai. Yadi ye post aapko helpful lage to please apne social media freinds ke saath jaroor share kare.
rohaan says
hy bro can u explain keyword stuffing ki prolem blog post me bhi hoti hai kya, kyuki mere blog me sirf , blogging keyword hi use hai, jaise blogging kya hai, blogging se paise kaise kamye, blogging kaise kare, blooging karne se kya fayde hai ? mere blog me blogging title me bahut hai par contant me kam hai title bhi keyword stuffing ki problem create karti hai kya ?
Surendra Singh says
Rohaan ji chahe vo blogspot ho ya wordpress ya fir other platform sabhi ke liye SEO ke sare rules same hote hai, Isliye keyword stuffing kisi bhi platform ke blog ya site par ho sakti hai.
keyword stuffing blog par kis kis jagah ho sakti hai maine post me detail me bataya hai aap use achhe se padhe aur follow kare.
ankit singh says
Thanks bhaiya hume ye jankari dene ke liye nahi to hum aisi galti bahut sare post me ki hai par ab sudharne ka kosis karunga…….☺
Mayaprakash Pant says
Yeh toh sabse achha thaa… iske barema mujhe aaj malum pada…. tum best ho yar
Vishnu Kant Maurya says
Sahi tarike se kaise keyword use kar ke stuffing se bach sakte aapne bakhubi samjhaya hai .
Dhanyawad
Ye bhi padhe :- Keyword research kaise kare ye wala post clickable nahi hai aap isame link add kar ke update kar de,visitors ko suvidha hogi link click kar ke post tak jane me
Surendra Singh says
Thanks brother me jald hi link recover Kar dunga.
Naeem says
Thanks yar, Ye galti mujhse hogyee ab me post edit kru ya delete please tell me
Surendra Singh says
aap post ko edit karke theek kar sakte hai.
RojgarBharat says
Thank you sir for great information share ……..