Aaj is post me aapko bahut hi simple tarike se Blogger Blog ko Alexa par submit & verify kaise karte hai iske bare me sikhayenge jabki Bloglon.com par pichhli baar aapne Blogger Blog me Google Analytics code kaise add kare iske bare me padha tha. Blog ya website banana aaj ke time me bahut hi simple ho gaya hai kyoki isme aapko jyada coding knowledge hone ki jaroorat nahi hoti, Lekin apne blog ko manage karna thoda kathin ho jata hai kyoki iske liye aapko seo ka achha knowledge hona bahut jaroori hota hai. chalo isko chhodo aur is post me keval alexa ki baat karte hai. Alexa ek aisi website hai jis par aap apne blog ya website ko free me submit kar sakte hai.
Isko sidhe se samajhne ki koshish karte hai yah popular free blog submission sites me se ek hai. jiske dwara aap apni website ya blog ki alexa ranking check kar sakte hai, lekin iske liye aapko apna blog ya website Alexa me submit & verify karna jaroori hai. vaise blog ko alexa par submit karna itna jaroori bhi nhi hai lekin yadi aap is par submit karege to aapko apne blog ki rank jyada sahi dekh payege.
Alexa kya hai aur isse kya fayda hota hai ?
Alexa ek aisi site hai jiske dwara aap kisi bhi website ya blog ki rank check kar sakte hai. jab hame apne blog ya website ka traffic check karna hota hai to uske liye ham Google Analytics Tool ki madad se check kar lete hai lekin yadi aap kisi other site ya blog ka traffic jaanne ki koshish karenge to aapko iski madad leni hogi kyoki other site ka traffic aap is tool ke alawa kisi se bhi check nhi kar sakte.
Read Also: How to Submit Blog to google, Hindi Guide
Yadi aapko kisi other blog ya website ke traffic ke bare me janna chahte hai to aapko Alexa ke dwara uski popularity ke bare me uski rank check karke traffic ka anumaan laga sakte hai, ki uske paas kitna visitors ho sakte hai. Alexa rank sabhi blogs aur websites ko unki popularity ke anusaar rank provide karti hai. To aaiye ab aage badhte hai aur iske bare me thoda aur jaan lete hai.
Alexa me Website ya blog kyo submit karte hai ?
Jab ham kisi bhi siteya blog ki rank check karte hai yadi vo alexa me submit nhi ki gayi hai to uski rank bilkul sahi nahi maloom chalti, Yadi vo site ya blog isme submit hogi to aap uski rank bilkul sahi prapt kar sakte hai. isliye hame apne blog ya website ko isme submit karna bahut jaruri hota hai. Ab aaiye aage badhte hai aur janne ki koshish karenge ki apne blog ya site ko Alexa me kaise add karte hai.
Blog ya Website ko Alexa me kaise Submit karte hai ?
Yadi aap apne blog ya website ko alexa me submit karna chahte hai to iske liye me aapko ek method batane ja rahaa hu jise follow karke aap aasani se apne blog ko isme submit kar sakte hai.
- sabse pahle aap Alexa website ke siteowners/claim page par jaiye aur apne blog ya website ka URL bhare uske baad Continue par click kariye.
- Uske baad ek new window khulegi jisme aapko niche di gayi cheeje bharni hogi –
- What is your Email Address – isme aap apni Email ID bhare.
- Do you have an Alexa.com password? – Isme aapko No, I am a new user ke samne wale button par click karna hai.
3. Iske baad Continue par click kariye. (Password field me kuchh nhi bharna hai).
4. Ab ek new window khulegi jisme aapko email ID ko verify karne ko bol rahaa hoga.
5. Ab aapko apni email ID login karni hogi aur alexa ka email open karke Verification link par click karna hoga.
6. Iske baad aapko Password Set karne ke liye Window open hogi, Iske liye Password bhare aur Submit Password par click kar de.
7. Ab aapke samne ek new page open hoga jisme “Welcome” aur “Your account successfully created” likha hoga uske niche Countinue button par click kare.
8. Iske baad apke samne Blog ko verify karne ke liye 3 methods milegi unme se aap Method 2 par click kare, achhe se samjhne ke liye niche image dekhe.
9. Method 2 par click karne ke baad niche ki taraf ek HML code milega uce copy kar le.
Yadi aapka Blog Blogger/Blogspot par bana hai to aap alexa par verify karte hai iske baare me step by step jaan lete hai.
Blogger ya Blogspot blog ko Alexa par kaise Verify kare ?
- Ab Aap apne Blogger Account me jaye aur Template >> Edit HTML par click kare.
- Iske baad CTRL+F button press kare aur <head> tag search kare, Vaise ye template me upar ki side asasni se mil jayega.
- Ab <head> tag ke theek niche Alexa se copy kiya gaya code paste karke Save Template par click kar de.
- Iske baad Verify my ID par click kare.
- Ab aapko Your site is successfully claimed likha hua dikhai dega.
Congratulation! Ab aapka Blogger blog Alexa me submit aur verify ho chuka hai. Iske baad blog me widget kaise lagate hai iske bare me sikhte hai.
Read Also: Daily 500 unique visitors blog के लिए कैसे प्राप्त करें ?
Blogger Blog me alexa widget kaise lagate hai ?
Jyadatar ham other site ya blog ko dekhte hai hai to kisi blog me sidebar me ya footer field me Alexa widget laga hota hai jisse us blog ya website ki Globle rank, Country rank aur site links show karti hai jisse hmae us blog ki popularity maloom rahti hai.
Vaise me aapko bata du is widget ko apne blog par lagana bahut hi achha mana jata hai, isse hamare blog ki rank me bhi improvement hota hai, matlab you can increase alexa rank of your blog. To aaiye aage badhte hai aur is widget ko lagana sikhte hai.
- Sabse pahle Blogger blog me jaye aur Layout >> Add a Gadget par click kare.
- Ab HTML/Javascript par click kare.
- Iske baad HTML/Javascript box me niche diye gaye Widgets ka Code paste kar de aur save kar de.
<a href="http://www.alexa.com/siteinfo/bloglon.com"> <script type="text/javascript" src="http://xslt.alexa.com/site_stats/js/s/a?url=bloglon.com"> </script></a>
Important Note – Is Code me Line no. 1 aur 2 me diye gaye blog address bloglon.com ko apne blog adress se replace karna na bhule.
Read Also: Long tail keywords कैसे खोजें ? keyword research guide in Hindi
Mujhe ummid hai ki aapko Blogger Blog ko Alexa par submit & verify kaise karte hai samajh me aa gaya hoga fir bhi yadi aapko hamare dwara bataye gaye Tutorial ko samajhne me problem aaye to aap comments ke madhyam se mujhse poochh sakte hai, Me aapka jawab jaldi dene ki poori koshish karunga. Yadi aapko yah google analytics tutorial pasand aaye to apne social media friends ke sath jaroor share kare aur is website ki latest post apne email ke inbox me prapt karne ke liye subscribe kare.
Thanks.
Indrasinh SOLANKI says
Hello mere blog ka domain Maine abhi nakhi buy kiya Kay main alexna pe blogspot.com se register karu ya for domain kareed kar buy karu..konsa batter rahenga
Ramesh Singh says
very nice & impressive post, but jab maine last time submit kiya tha to yeh purchasing ke baare me bata raha tha kya yeh bilkul free hai ji
Surendra Singh says
Thanks Ramesh shingh ji, Alexa free aur paid bhi hai, Lekin jis tarah maine article me bataya hai vo sab free hai.
abdul aleem says
Sir my bahot pareshan ho mene alexa code ko apna blog add kiya par show nahi horaha he help me
Surendra Singh says
Dear abdul aleem ji aap alexa widget code ko sahi copy paste kijiye Rank widget jarur show karega.
Vishnu Kant Maurya says
Jo blogger apne blog me Alexa ko submit nahi kiye hote hai unka bhi to show hota hai Alexa rank ?
Aur agar veryfy kar diye to kya mujhe Alexa rank alag dikhega aur logo ko alag dikhega Alexa rank ?
Mera blog WordPress par hai to Alexa veryfy kaise karte hai hai ?
Surendra Singh says
Ha bilkul show hota hai, lekin verify karoge to alexa more accurate information deta hai.
Ab alexa par blog free submit nahi Kar sakte ye option paid ho gaya hai.