Namaskar Dosto, Is post me Bloglon.com aapko batane ja raha hai ki Blogger/Blogspot Blog Me CommentLuv plugin Kaise Add Karte hai, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Blogger/Blogspot Blog me Comment Policy Message Kaise add karte hai. Kuchh log thoda surprise jarur feel kar rahe honge ki plugin to wordpress blog me install kar sakte hai, Lekin Is post me Blogspot blog me commentluv plugin install karne ki baat kar rahe hai. To aap tension mat lo real me blogger latform par plugin install nahi kar sakte lekin kuchh aisi service hai jinke madhyam se ham apne blogspot blog me bhi is plugin feature ko active kar sakte hai. Aur yadi aap bhi ise use karne ke bare me jaanna chahte hai to aap is post ko carefully read kijiye.
CommentLuv Plugin kya hai ?
Vaise yadi aap newbie hai to sayad aap iske bare me jyada bahi jante honge isliye me aapko batana chahunga ki Ye ek aisi plugin hai jise apne blog par activate karne par aapka blog comments ke liye dofollow ban jata hai. I mean yadi koi visitors aapke blog par comment karega to use wordpress jaisa comment system milta hai. Jisme Name, Blog address, Email ID aur commentluv features milte hai. Jise vo asani se use karke doffolow backlink prapt kar sakta hai, aur sath hi sath letest post ko bhi comment field me post karne ka profit mil jata hai jisse uske blog par traffic badhne ke chances badh jate hai.
Read Also: Blogspot Blog me Custom Domain (.com, .net, .in, .pk etc) kaise Set kare
Is plugin ka sidha matlab dofollow backlink se hota hai. jisse commentluv plugin enabled blog ka traffic jaldi increase ho jata hai.
Blog me commentluv plugin enable karne ke kya profits hai ?
Yadi aapke blog par ye service active nahi hai to me aapse yahi kahunga ki yadi aapko jaldi traffic badhana hai to ise use karna aapke leye bahut hi achha rahega. Kyonki aaj ke time me Commentluv enabled blogs ko search engine me comments karne aur backlink banane ke liye sabse jyada search kiya jata hai. Jisse aapke blog ka traffic boost ho jata hai aur alexa rank bhi bahut hi short time me reduce ho jati hai.
Vaise ise sabse jyada wordpress blogs par use kiya jata hai lekin ab ham apne blogger platform par bane huye blogs par bhi use kar sakte hai. To chaliye jante hai ki How to enable commentluv for blogger blogs.
Blogger blog par Commentluv plugin kaise install kare ?
Yadi aapka koi blogspot blog hai aur aap bhi is plugin ko install karna chahte hai to aap hamare ise Tutorial video ko dekhiye –
Yadi aapko tutorial video dekhne me koi problem hai to aap hamare dwara bataye gaye steps ko carefully follow kijiye –
Step – 1
Sabse pahle Intesedebate website par jaye aur Signup par click kijiye.
- Username wale field me apna user name dale jaise ravi123 ya savita198 etc.
- Email wale field me apni email ID fill kijiye.
- Password field me apna password fill kijiye.
- Confirm password wale field me again password fill kijiye.
- “I want to install IntenseDebate on my blog or website” ke samne radio button par click karke check mark kijiye.
- Ab Signup button par click kar dijiye.
Step – 2
Ab aapke samne successfully signup ka message show hoga aur Email ID ko verify karne ke liye kahega. Isliye apne email inbox me jaye aur IntenseDebate wale email ko open karke verification link par click kar dijiye. Ab ek new page open hoga jisme verification successful hone ka message show karega. Ab aapka account bankar ready ho gaya hai.
Step – 3
- Ab apne IntenseDebate Account ko login karne ke baad Sites me jaye.
- Add Blog/Site par click kar de.
Step – 3
- Blog or Website URL wale field me apna Blog address fill kar de.
- Ab Next Step par click kar dijiye.
Step – 4
- Isplay IntenseDebate Comments on me All new posts ( Recommended) option ko check mark kar dijiye.
Ab aapko apne blogspot ya blogger blog ka template download karne ke baad Intensedebate par upload karna hoga. Iske liye chaliye agli step me
Step – 5
- Apna Blogger Dashboard login kake Template par click kijiye aur Backup/restore button par click kar de.
- Download Full template par click karke template download kar lijiye.
Step – 6
- Ab IntenceDebate page par jaye aur Browse button par click karke Download kiya hua blogger template select kar lijiye.
- Ab Upload file and continue par click kar dijiye.
Ab aapke samne ek new page open hoga jisme code provide kiya gaya hoga us code ko copy kar lijiye.
Step – 7
- Ab Blogger blog me Edit HTML par click kar dijiye.
- Ab aapke samne template code open ho jayega us all code ko remove karke IntanseDebate wale code ko paste kar dijiye.
- Ab Save template par click karke code save kar de.
Step – 8
- Ab aapko fir IntanseDebate wale page par jaye aur Configure this IntenseDebate account par click kar de.
- Ab Plugins par click kare.
- Ab scroll down karke niche ki taraf aaye aur Commentluv plugin ko Active kar dijiye.
Congratulation ! Ab aapke sare steps complete ho gaye hai aur aapke blogger blog par commentluv plugin bhi enable ho chuki hai. Check karne ke liye apne blog ki koi post open kijiye aur scroll down karke comments form ko dekhiye, aapke blog me wordpress style me commentform show kar raha hoga aur commentluv feature bhi enable dikh raha hoga.
Read Also: Blogspot Blog Ka Content Copy Hone Se Kaise Bachaye
Ab aapka blog dofollow comments ke liye bilkul ready hai. Jo bhi visitors aapke blog par comments karega aur use aap publish kar denge to uske blog ya website ko dofollow backlink mil jayegi. Aur Jaise hi aapke blog ke baare me Bloggers ko maloom chalega ki aapke blog par dofollow comments backlink milti hai to vo jarur visit karenge aur comments bhi karenge. Is tarah se aapke blog ka traffic badhega aur bloggers ko usefull backlinks milengi.
To friends, Mujhe ummid hai ki aapko achhi tarah se samajh aa gaya hoga ki Blogger Blog me commentluv plugin kaise activate kiya jata hai. Yadi commentluv dofollow se related koi suggestion ho to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapko jaldi jabab dene ki puri koshish karenge. Yadi Ye post aapke liye helpful rahi ho, aur aapko lagta hai ki isse kisi aur Blogger ki help ho sakti hai to ise social media par jaroor share kare.
Prasad Surase says
bahoot hi achhi post ki hai aapane.. me bahoot dino se isaki talash me tha.. me chahata tha ki apane visitors ki website dalane ke liye bhi field ho comment box me.. par muze mil hi nahi raha tha. thanks for sharing..
please mera blog check kare. Aur comment box sahi se work kar raha hai ya nahi bataye.. Aur baaki koi kami ho toh voh bhi bataye taaki me use sudhar saku..
Surendra Singh says
Prasad Surase ji, Aapki site me menu set nahi hai to use jaldi set kar le aur comment box aapka sahi work kar raha hai koi problem nahi hai. Keep visiting on bloglon.
Rupa Kumari says
thanks for your detailed information
Aryan says
Surendar bhai wakai me kamal kar diya apne ye bhut hi achi jankari di apne amai ise hi dhubdh raha tha aur kya mai jan sakta hu jo apne subscribe ka option niche footer me lagaya hai baise subscribe box muje kaha milega jisse mai abhi apne blog par laga saku
Surendra Singh says
Thanks Aryan ji, Maine apne blog ke Footer me koi bhi subscribe box nahi lagaya hai sirf sidebar me laga hua hai. Yadi aapko bhi mere jaisa subscription box lagana hai to iske liye me post likhne wala hu aap thoda wait kare, and keep visiting on bloglon.
Vijay panara says
Bahut achi janakri hai is ko mai bhi apne blog mai add karunga .. Thank you for sharing this article ..
Jessica Willis says
Bhai Upload jab kar rha hun kuch gad ad ho rha hi. not showing saved. plugin active dikha nehi rha hai site pe.
Surendra Singh says
Aap video watch kijiye. Sab aasan ho jayega. Keep visiting on bloglon.
Vijay says
Hi,
Surendra ji aap Off page SEO me kya strategies apnate he? i mean kya aap bhi social bookmarking or directory submission use krte he?
agar aap inhe use krte ho to please inko proper kese use krte he? aapka blog commenting wala blog bahut accha he.
Thank you.
Surendra Singh says
Vijay ji, me Off page SEO me sirf social media sharing aur dofollow blog par commenting karta hu iske alawa kuchh nahi.
Naresh saharan says
Comment luv laga diya lekin sahi work nahi kar raha kya kare.ek bar dekh ke bataye sir
Surendra Singh says
Naresh saharan ji, aapka comment box, aur commentluv plugin dono hi sahi work kar rahi hai, keep blogging.
sarfraz says
sir iska to side effect bhi hai.
Surendra Singh says
Dear sarfraz ji, sabse pahle me aapko batana chahunga ki aage se short comment mat karna please, aur rahi baat Commentluv ke side effect ki to yadi aap ise samjhne ke baad use karenge to koi problem nahi hai, otherwise side effect to har ek cheej se ho jata hai. visit soon again.
Anna says
Very rapidly this web site will be famous among all blog viewers, due to it’s pleasant articles
PREMMIRAL says
BEST INFORMATION
Anivesh says
Bhai tempalte ki puri code ko delete karna hoga ..isme to adsense ki bhi code hoti uska kya hoga. plz detail me samjhaiye
Surendra Singh says
Iske liye aap chahe to adsense code remove karke upload kar sakte hai ya fir aise hi koi problem nahi hai.
Manish says
Hello Sir Mai bhi apne blog pe wordpress jaisa Comment box add kar liya hai but Usme Luv ka Option Nhi aaya
matlab ki active luv ka option aaya hi.nhi aap Ek Baar mere Blog Ko Check karke Bataye k
Surendra Singh says
Aapne commentluv option ko enable nahi kiya hoga isliye show nahi ho raha hai.
Manish says
Sir lekin Intensedebete Me hi Luv ka option Nhi dikha mujhe
Surendra Singh says
Ho sakta ho ye option ab remove kar diya ho me jald hi check karke dekhunga.
Manish says
Sir Keya template ka menubar Change kiya ja Sakta hai
kyuki Mai jo Theme use karta hu uska menu bar acha nhi hai
agar ha to kaise
Surendra Singh says
Ha Kar sakte hai lekin iske liye aapko html aur css coding ki Jankari honi chahiye.
Manish says
Surnendra Sir Aapne Apne website ka Naam Change kiya hai to Koi problem bhi hui keya
Kyuki mai bhi Apne Blog ka Naam change karna Chahata hu
kykui jab Maine Blog banaya tha us Samaye Bs you Hi name daal diya tha but ab mai change Karna Chahata hu
keya Change kar sakta hu
koi problem to nhi hogi
Sir Please Reply jarur Karna
Surendra Singh says
Dear, Name chenge karne me koi jyada problem nahi hai lekin yadi aap domain change karte hai aur thodi si bhi mistake karte hai to aapka traffic ja sakta hai.
Manish says
Abhi Name Change kr du or baad Me domin Add karunga to thik rahega
kyuki abhi mera blog blogger pr hai or abhi maine Custom domin buy nhi kiya hai matlab ki mera domin blogspot.com hai
Surendra Singh says
Ha tab koi problem nahi hai aap name change kar sakte hai.
Afreen says
Waooo!! great article thank you
Mr Manish says
Hello, Surendra Sir maine blog me Intensedebate Se Comment box add kiya huya hai visitor jo Comment Karte hai Use comment Edit kaise kare
simon le says
thanks for sharing!!!