Hello Friends, Bloglon.com aapko batane ja raha hai ki Blogger Blog Ka Content Copy Hone Se Kaise Bachaya ja sakta hai, Jabki maine pichhli post me aapko bataya tha ki Blogger Blog Me 404 Page Not Found Errors Kaise Fix Karte hai. Jaisa ki ham sabhi jante hai ki aaj ke samay me hindi blogs ki quantity day by day increase ho rahi hai. Lekin content ka chori hona bhi start ho gaya hai. Jo kisi achhe blogger ke liye bilkul hi achha nahi hota. Vaise me aaj aapko ek aisi trick dene wala hu jisse aap apne blog content ko copy hone se bacha sakte hai. Yadi aapka bhi post content kisi other Blogger dwara chori kiya ja raha hai to aapko apne blog ke posts ko thoda sa secure karna hoga. Lekin kaise ? koi baat nahi me aapko batane wala hu isliye bane rahiye BlogLon ke sath.
Blog Post content ko secure kyo kare ?
Kuchh blogger aise bhi hai jo aapke blog ki post ya content ko copy kar lete hai. Jo Bloggers bahut sari mehnat karke aur kafi time spend karke ek post likhte hai, lekin some newbies jinhe blogging bilkul hi nahi aati aur vo quick money earn karne ke liye original content ko copy karke apne blog par publish karte hai. Jo unke liye bilkul easy hota hai. Vo per day many post publish karte hai isi tarah copy kar karke. Is kaam me unhe bilkul hard working ki jarurat nahi padti.
Jinme se kuchh Blogger aapke content ko chori bhi karte hai. Jisme unhe bilkul mehnat nahi karni padti aur na hi post likhne me kafi time spend karna hota hai. Isse jo original content writer hota hai use aise chori karne wale Bloggers se bahut big loss yahi hota hai ki vo without hard work ke apna blog bana lete hai, Jisse original content wale blogs ki search result me priority less ho jati hai aur copy paste karne wale Bloggers ko kuchh had tak fayda ho jata hai.
Copy paste wala blog popular ho sakta hai kya ?
Yadi koi blogger content ko copy karta hai aur apne blog par use publish karta hai to vo blogger kabhi bhi blogging career me successful nahi ban ssakta hai. Ye baat 100% true hai. Ek baat me batana chahunga ki Google is mamle me bahut hi strict hai. Vo is tarah se chori kiye gaye content ko bilkul bhi like nahi karta hai. Yadi aisa koi blogger hai jiska blog Blogspot/Blogger platform par bana hai aur vo other blogs ke content ko copy karke apne blogger blog par publish karta hai to uska blog bahut hi jaldi delete ho jayega.
Ise bhi padhiye : Blogger Blog me Stylish Label Widget kaise lagaye
Aur yadi aisa Blogger hai jiska blog self hosted wordpress blog par bana hai aur vo content chori karke apne blog par publish karta hai to uska blog bahut hi jaldi search engine se remove ho jayega. Ye bilkul 100% sach hai. Chori kiye huye content ko publish karna ek bahut hi padaa apradh hai, Isse every Bloggers ko bachna chahiye. Isliye chori mat karo sirf mehnat karo fir dekhna ek din aap bhi popular ban chuke honge. Khair chhodiye ise aur main point par aate hai aur aapko batate hai ki Blog post ko copy hone se kaise bachaya ja sakta hai.
Website Ke Content Ko Copy Hone Se kaise bachaye ?
Yadi aapko lagta hai ki Koi Blog owner aapke blog post ko chori kar leta hai to aap use rokne ke liye niche diye gaye steps ko follow kijiye –
Step – 1
Sabse pahle apne Blogger Dashboard ko login kare.
- Layout par click kijiye.
- Add a Gadget par click kariye.
Step – 2
Ab aapke samne ek pop-up window open ho jayegi jisme aapko Html JavaScript feature ko select karna hoga –
- HTML/Java Script par click kare.
- Ab aapke samne blank Box open ho jayega jiske content wale field me niche diye gaya code copy karke paste kar de.
<!- start bloglon disable copy paste code --> <script type='text/javascript'> if (typeof document.onselectstart != "undefined") { document.onselectstart = new Function("return false"); } else { document.onmousedown = new Function("return false"); document.onmouseup = new Function("return false"); } </script> <!-- End BlogLon disable copy paste code --></!->
3. Save button par click karke save kar dijiye.
Step – 3
Ab aapko apne blog me jo new widget add kiya hai use permanent save karne ke liye right side me upar ki taraf diye gaye save arrangement yellow button par click karke save karna hoga.
Congratulation ! Ab aapka blog content copy hone se bach jayega. Yadi aap check karna chahe to apna blog open kare aur kisi bhi post ke content ko copy karne ki koshish kare to aap dekhenge ki copy nahi ho raha hai. To is tarah se aap apne blog ki posts ko copy hone se bacha sakte hai.
Note – Is post ke dwara batayi gayi tricks aapke content ko 100% chori hone se to nahi bacha sakti lekin 70% tak aap apne content ko safe rakh skate hai kuchh chor Bloggrs se.
Ise bhi padhiye : Blogger Blog me Google Analytics code kaise add kare Traffic check karne ke liye
To ab mujhe puri ummid hai ki aapko maloom chal gaya hoga ki Blogger Blog Par Post Chori Hone Se Kaise bachaya ja sakta hai. Yadi is post se related koi suggestion dena chate ho to hamare sath jarur share kare Ya fir koi problem face kar rahe ho to comment ke madhyam se puchh sakte hai ham aapko jaldi jawab dene ki puri koshish karenge. Yadi aapko ye pasand aaye aur lagta hai ki isse other person ki bhi help ho sakti hai to apne friends ke sath jarur share kare.
Md Nasrul says
Thanks Bloglon Aapne Ye पोस्ट करके मेरे ब्लोग के पोस्ट को बचने क उपाय दिया
थैंक्स सुरेंद्र सर
Rishikesh Mishra says
Hello sir maine blogger par ek site banayi hai sir mai ab wordpress ko join karna chahta hu mujhe kitne paise kharch karna hoga aur sabse better hosting company koun si hai plz bataye
Surendra Singh says
Dear Rishikesh, yadi aap wordpress par blog banana chahte hai to uske liye aap bluehost ka shared hosting purchase kijiye, yahi best hai. Iske liye aapko 8000 – 15000 rupay tak spend karne padenge.
sumit kumar gupta says
sir bhut hi achhha post tha kyoki mane bhut sare blog se ye post pdha lekin kam nhi kiya or apka code kam kr gya
Shaikh Muneer says
Nice post.
Wordpress blog ka content copy hone se kaise bache ye bataye Q ki maine wikihunt.in naam se new site banai hai.
Surendra Singh says
Yadi me aapko real bat bolu to koi bhi blog owner apne content ko copy hone se nahi bacha sakta aur na hi copy karne wala kuchh earn Kar sakta hai because Google sab samajhta hai. Fir bhi aap apne content ko protection dena chahte ho to iske liye bahut sari plugins available hai unme se koi achhi plugin ka use Kar sakte hai.
Dev Raj says
Sir mera blog mai already Add a Gadget hai laga hua fb ka page ka mujhe ek or lagana hai Add a Gadget kesa karu plz replay… Thank????
Surendra Singh says
Aap Layout me jakar add a gadget par click karke html JavaScript ko choose karke kar sakte hai
rakesh says
sir mujhe apne blog me apke blog ki tarah ” join also 1724 bloggers” social icons laganey hai iski coding bata dijiye
Surendra Singh says
Iske bare me bahut pahle post publish kar chuka hu aap ise padhiye Blog me Beautiful Social Media Follow Buttons Kaise Lagaye.
uday shankar says
Hello, Author
mane aapka article padha. mujhe isase jankari bhi mili apane content ko copy hone se bachane ke liye. lekin mai aapse ye puchana chahata hun ki content copy karne se aapka kya matalab hai. jaise ki koi aapke content ko mouse se right click karke copy karne se hai ya aapke topic ko apane language me likhane se hai. mai aap ke reply ka wait kar raha hun.
Thanks,
Surendra Singh says
Yaha Maine copy paste ki baat ki hai, Jo kuchh log kisi ke bhi article ko copy paste karte hai use rokne ke bare me bataya hai.
sudarsan panda says
Blog content ko copy hone se rokne ke liye apki ye method mast hai…par ek baat bataye kya wordpress user ke liye ye code kaam karega ya koi plugin use karna padega.