Namaskar Dosto, Is post me Bloglon aapko batane ja raha hai ki Fetch as Google kaise use karte hai aur isme hone wali URL Redirected Problem ke Solution ke bare me bhi baat karenge, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki WordPress Blog me 404 Not Found Error kaise remove karte hai. Yadi aap google me iske bare me search karenge to aapko ise behalf me bahut sare blogs par article mil jayenge. Lekin kuchh Blogger iske bare me wrong information share kar rahe hai jaise “1 minut me apni post search engine me first page par laye” ya “Blog Post Ko Search Engine Me Jaldi Index Kaise Kare” is tarah ke post title aapko bahut sare blogs par mil jayenge. Ye bilkul funny sa lagta hai ya fir is tarah kahu ki vo apna traffic badhane ke liye visitors ko fool bana rahe hai. Fetch as google tool only testing purpose ke liye hai.
What is fetch as google ?
Ye Search console me ek aisa tool diya gaya hai jisko use karke ham jaan sakte hai ki google hamari post ko kis tarah se crawl aur render karke search result me show karta hai. Yadi aapne apne blog me koi page ya post ko search engine no index kiya hai to Is tool ki help se aap aasani se maloom kar sakte hai ki aapka block kiya hua URL real me noindex hai ya index ho raha hai.
Ek din jab me google me search kar raha tha ki Fatch as google ko kis tarah se use kare jisse redirect ki problem na ho. Tabhi maine dekha jitne bhi high tarffic wale hindi blogs the unke title ko padhkar me real me shocked ho gaya. Koi blogger kuchh secconds me new published post ko google search me lane ki baat kar raha hai to koi first page me frist no. par post show karne ka commitment kar raha hai.
Ise bhi padhiye : Long tail keywords kaise khoje, keyword research guide in Hindi
Vaise ye thinking english blogger me bhi dekhne ko mili lekin kuchh hi blogger the jinhone iske bare me wrong info publish ki huyi hai. Lekin yadi hindi bloggers ki baat ki jaye to Jisne bhi fatch as google ke bare me apna thought share kiya vo real me bilkul hi pagalpan wala knowledge share kiya. Sab traffic ke liye itna niche gir sakte hai me soch bhi nahi sakta. Chalo ise yahi chhodte hai aur pooint par aate hai, aur jante hai ki webmaster tools fetch as google se post jaldi index hoti hai ya nahi.
Kya Fetch as google se search engine me post jaldi index hoti hai ?
Jaisa ki iske bare me aapko upar bhi thoda sa bata chuka hu ki is tool ki madad se aap sirf ye maloom kar sakte hai ki aapki post google crawl ya render karne ke baad search result me kis tarah show hogi. Isko yadi simple words me kahu to Fetch as google se search engine me post jaldi index nahi hoti hai. Ye aapko keval dummy ya demo ki tarah show hoti hai iska fast index hone se koi relation nahi hai. Aur na hi fatch as google use karne se aapke traffic par koi effect padta hai.
Fatch as google me post kaise fatch kare Video tutorial :
Ise Jarur padhe : Slow net speed par Achhi Quality me Youtube Video kaise dekhe
Yadi aap is video guide ko nahi dekhna chahte hai to aap niche diye gaye step by step guide ko follow kar sakte hai.
Fetch as google me Post kaise Fatch kare?
Yadi aap newbie hai to aapko sayad maloom nahi hoga ki search console me fetch as google tool kaise use kiya jata hai. Isliye me niche step by step batane ja raha hu jinhe aap follow karke ise use karna aasani se sikh sakte hai –
Step – 1
- Sabse pahle Apne search console Dashboard ko login kijiye
- Uske baad search console me apne blog par click kijiye.
Step – 2
- Crawl par click kijiye.
- Fatch as google par click kijiye.
- Blog address ke baad ka URL paste kar de.
- Desktop select kare.
- FETCH par click kar de.
Step – 3
Ab Submit to Index par click kar dijiye.
Ab aapki post Desktop view ke liye crawl test complete ho chuka hai. Yadi aap check karna chahe ki aapki post search result me kis tarah show hogi to iske liye Google me apni post search kare, aapki post search result me jarur show hogi.
Isi prakar aap Smartphone ke liye bhi apni post ki rendering test kar sakte hai bas aapko desktop ki jagah smartphone select karna ho aur baki sari vahi process rahegi.
Fatch as google me Redirected Problem ko kaise solve kare?
Ye problem bahut se blogger ko face karni pad rahi hai ki jab bhi vo apni blog ki post ko fatch as google me fatch karte hai to redirected show karta hai matlab index nahi hota hai. To iske liye niche diye gaye steps ko follow kijiye –
Step – 1
- Redirected par click kariye.
- Ab aapke samne 2 URL show honge. Jinme se upar wale me thoda kahi na kahi difference hoga. Jabki original wala niche show hoga. Follow button par click kare.
Step – 2
Jaise hi aap follow par click karte hai to aap fatch as google wale option par pahunch jate hai aur automatically sahi post URL auto fill ho jata hai. Keval aap FATCH button par click kar de Uske baad Submit to index par click kar de.
Ise bhi padhiye : Apne Blog par Daily 500 unique visitors kaise laye
To friends ab mujhe puri ummid hai ki aapko maloom chal gaya hoga ki Fetch as Google kaise use karte hai aur Redirected Problem Solve kiya jata hai. Yadi aapko fetch as google status redirected se related koi suggestion ho to hamare sath jarur share kare Ya fir koi problem face kar rahe ho to mujhse comment ke madhyam se puchh sakte hai ham aapko jaldi jawab dene ki puri koshish karenge. Yadi aapke liye ye tutorial helpful raha ho aur lagta hai ki isse other person ki bhi help ho sakti hai to apne friends ke sath jarur share kare.
rohaan says
Hello bro aapne pushcrew ka code wordpress me kaha paste kiye hai
Surendra Singh says
Rohaan ji, Is tarah se useless comment na kare. Blog me Push Notification Service kaise Start kare is post me maine sab bataya hai with video.
Rupa Kumari says
thanks sir, nice post. aap template edit karne me meri madad karenge ??
Dilip says
nice information lekin ek question h ki agar fetch as Google me koi URL block ho ya to use unblock ya remove kaise kare
Surendra Singh says
Dilip ji, Url ka block hona kuchh situation par depend karta hai jaise robots.txt etc. Pahle find out kare ki pertucular problem kay hai uske baad hi solution mil sakta hai. Keep visiting on bloglon.
vivek bairagi says
Mujhe ye to samajh agya lekin kya Bing me esa koi option has jese catch as Bing agar hai to batade thank you surendra bhai
Surendra Singh says
Vivek ji Thanks for commenting on bloglon. Jis tarah google me fatch as google ho ta hai vaise hi Bing webmaster me bhi Fetch as Bingbot hota hai, Lekin ye code show karta hai ki aapki post ki coding ko kis tarah Bing search engine fetch or render karega. Google ki tarah search resealt me fatch kiya gaya url show nahi karta.
Lekin Fatch as google ki tarah aap bing ko bhi use kar sakte hai latest post ko fast index karne ke liye option ka naam hai Submit URLs.
suraj yadav says
Mere sitemap ne URL index nhi kr rha h. Problem bta skte hai kya dikkt hai
Surendra Singh says
Suraj yadav ji, Aapki post quality aur On page SEO bahut hi kharab hai, Aur theme bhi achhe se manage kijiye.
ARIF says
Follow button nahi aa rha http file aa rhi he
Surendra Singh says
ARIF ji, Aap kya puchhna chahte hai, clear comment kijiye.
Sivam says
Sir, Mere Search account me Ridirected ka problems hai. job se domen add kiya tab se. aap ke post ke tarike se step by step proccess kiya. redirected pe click karne ke 2 url jarur aate hai lekin niche wale url me follow ka option hi nahi aa raha hai.
Muze lagta hai blogger me ye tarika kam nahi karta hoga. sayad wordpress ke liye likha hai aapne.
Surendra Singh says
Sivam ji, Ye sirf wordpress ya blogger ke liye nahi hai balki sabhi tarah ke blogs aur websites ke liye hai. aap post URL sahi se copy paste kijiye. Vaise maine video tutorial bhi diya hai use watch kijiye.
Prashant says
hello sir meri site google search console me fetch me url submit karta hu tu redicted problem show hoti hai. kiya aap meri help kar sakte hai. meri site hai.
Surendra Singh says
Dear Prashant ji ye post isi bare me hai, aap achhe se padhiye.
Jandail says
surendra bhaiya ek problem ho gayi hai mere kuch post index nahi ho rahe hai 5 , 6 din ho gaye publish kiye huye. or mene unko fetch as google bhi kiya tha but google me show hi nahi ho rahe hai plz kuch help kare aap 🙁
Surendra Singh says
Jandail ji, post index na hone ke bahut se reason ho sakte hai jaise keyword stuffing, copyright image ya content, custom robots.txt, low quality content, sitemap etc. In cheejo ko aap ek baar check kar le, yadi inme koi problem na ho to sitemap ko resubmit Kar dijiye. Keep visiting.
Jandail says
bhaiya aisa kuch nahi hai pic me khud banata hu or content bhi unique hai. aap ek baar check karke bata diziye kya pata kuch kami ho. humari site hai http://www.techindiaz.com
Jandail says
or sitemap bhi perfect hai or me robotb txt file ka use nahi karta pata ni kya problem hai aap ek baar site dekhkar bataye !
Surendra Singh says
Dearest jandail, aapke kuchh articles Maine check Kiye hai jisse Pata chala hai ki aap short article likhte ha ye bhi bahut badi vajah hoti hai content index na hone ki, isliye minimum 750-1000 words me post ko describe karke likha kare, fir aapke article jarur index hone lagenge.
Jandail says
ok bhaiya thank you but ab in articles ka kya hoga ?? ye kabi nahi honge index ?? i am so sad ! 🙁
Surendra Singh says
Dear jandail, yadi aap Un contents ko index karwana hai to unhe update Karte huye long post Kariye fir fatch as Google kijiye.
Sekh Jasimuddin says
Mera blog ka sitemap Google search console par submit kiya 2 din ho gaya. 160 submit aur 156 page indexed ho gaya. iske bad jo post publish kar rahu wo post search engine par nehi araha hai. kya kare ?
Surendra Singh says
Brother 2 din me koi bhi blog ki posts search engine me nahi show karti, kuchh days wait karo aur off page seo par dhyan dijiye.
VIJENDRA SINGH says
hello sir
mai aapka new visiter hu sir mujhe aapse kuch jankari chahiye -sir mera blog lag bhag 6month old hai kisi karan bas suruat me mene 3,4 month blog per work nahi kar paya ab mai me blog
ko full time de raha hu lekin mujhe acha result nahi mil raha hai jab meri 5,6,post thi tab 400,500
view thi ab 24,post hai to view 50,60,hai site ko mene gwt & sitemap me bhi add kiya hai and com domain bhi hai sir traffic kyo nahi aaraha hai plz,kuch solution bataye aur meri site ko ek bar
chek jarur kare ki kya kami hai.mai aapke reply ka intjar karunga.
Surendra Singh says
Aapne jo beech me post share karna band kar diya tha us vajah se google ne aapki site ki search priority down kar di hai isliye traffic low ho gaya hai. Yadi aap future me daily posting karenge to jaldi traffic improve ho jayega.
Aapki website achhi hai lekin on page seo aur off page seo ko achhe se karenge to aap jaldi success ho jayenge. Keep visiting.
VIJENDRA SINGH says
Hello ser
aapne meri site me visit kiya uske liye thanks.
sir mai on and off page seo iska matlab nahi samjha ki kya karna hoga.aur sir meri post zadatar
google plas se search me aati hai aapki tarah nahi show hoti hai and sir mene targeting
country india select kiya hai aapne kis country ko target kiya hai
Surendra Singh says
Aap Bloglon par SEO category ki sari post padhiye aur follow kijiye, kyonki search engine optimization ke bina blog popular nahi ho sakta.
dharm says
Ridirect par click karne ke bad Follow butun nhi aa rhi he
Surendra Singh says
Bhai yadi Follow button nahi show ho raha hai to koi problem wali baat nahi hai, Aap dubara us post ko fatch as google kar do. Isse koi problem generate nahi hoti.
shahid afridee says
Hello Bhai mai ek blogger hu. Pahle mai jab bhi apne blog post ko fetch as google me sumbit karta tha to jaldi index ho jata tha.Fetch as google me post fetch karne se lagbhag 2 minute me index ho jata tha.Lekin ab karte hai phir bhi 4 , 4 days tak index nahi hota hai. Is problem ko kaise solve kare plz… help me
Surendra Singh says
Sabse pahle aap apne template ko change kar dijiye kyonki ye bilkul seo friendly nahi hai. uske baad quality post likhiye index hone lagegi.
shahid afridee says
Kya baat karte ho bhai. Ye template seo friendly nahi hai. Kya aapko pata nahi hai ki ye template khud rohit sir ne banaya hai.Aur is template ka name bhi hindimehelp hai.Aisa ho hi nahi sakta ki rohit mewada ka template galat ho.TYe fully seo friendly hai.Agar aapko mere problem ka solution hai to bataye warna koi baat nahi.Lekin aap is template ke bare me kuchh bhi nahi kah sakte hai. Kyu ki sabka guru tha rohit sir.Meri mane to hindi blog ka starting rohit sir ne hi kiya hai.
Surendra Singh says
Dost Mera Kaam tha aapka sahi suggestion dena manna ya na manna ye aapke upar depend karta hai. Aap Rohit ke follower ho sakte hai aur hame isse koi problem bhi nahi hai. Ye template rohit aur aapke hisab se fully seo friendly ho sakta hai mere hisab se nahi. Aur rahi baat is template ke bare me mere opinion ki to yadi koi iske bare me puchhta hai to mera farj banta hai use sahi jankari dena.
Mujhe badi hasi aati hai ki jab koi bolta hai ki vo sabke Guru the, Vo aapke guru ho sakte hai sabke nahi brother thoda aage badho aur apne mind ka use karo. aur ha aapko bata du ki jab rohit ko blogging ki abcd bhi nahi maloom rahi hogi tab se blogging ke field me hu.
Ha ek question hai aapse aapne likha ki Rohit sabke gure the. To kya ab vo guru nahi hai please clear that point. And in the last Thanks for being here.
Harshit Raikwar says
Sir post bohot achhi h.. hum bloggers k liye kaafi helpful bhi h.. Thnxx for sharing this..
Raja says
Sir meri website m blank ads show Ho rhe hain kya aap bta skte hain kya problem aa rhi h
Surendra Singh says
Aapki site open nahi ho rahi hai.
rajkumar giri says
thank sir very good knowledge sharing by you i read everyday your article and improving my blog this is very good knowledge for beginner if beginner follow all point which is mention in this blog article the beginner can improve thanks a lot sir 🙂
विनोद says
सर,off page Seo क्या होता है और off page seo कैसे करे,उसके क्या फायदे है
Surendra Singh says
Me off page seo ke bare me already Bata chuka hu aap iski post read Kar lijiye.
Anil kumar says
Sir mane aapke bataye anusar step follow kiye lekin abhi bhi redirect problem aa rhi h follow Par click karne ke baad fetch karne ke baad bhi redirect problem aa rhi h mai mobile se fetch kar rha hu please meri problem ka solution kre