Hi Friends, Ham aapko batane ja rahe hai ki WordPress Blog me 404 Not Found Error ko kaise Fix kiya jata hai, Jabki maine pichhli post me aapko bataya tha ki Blog aur website me Push Notification service kaise enable karte hai. Yadi aapka Blog ya website WordPress par bani huyi hai to ye post aapke blog ke SEO ko aur jyada achha karne ke liye upyogi hogi. Lagbhag sabhi blogs par is tarah ke errors ka hona ek common problem hai. Kuchh tarah ke erros aapke blog ke SEO ko loss pahunchate hai aur kuchh errors ke aane se hamare blog ko koi problem nahi hoti hai. Lekin fir bhi According to google webmaster tool sabhi 404 Not Found Errors ko fix karna jaruri hota hai. Mostly Pages ya posts me aaye huye errors ko jaldi fix kar dena chahiye.
What is 404 not found error ?
Jaisa ki mene upar bataya ki is tarah ke erros ka aana ek common baat hai, Ye problem saare blogs par hoti hai. Jab ham kisi post ya page ko apne blog se delete kar dete hai aur vo pahle se google me index hota hai, aur jab koi search result ke through aapki post ya page tak jane ke liye click karta hai tab use ek message show hota hai jisme likha hota hai 404 page not found.
Ya fir kabhi kabhi google bot hamare blog ki theme ya plugins ki files ko blog ka URL samajh lene se vo use index kar leti hai jisse is tarah ke errors create hote hai.
404 not found error Blog ke SEO par kya impact dalte hai ?
Me aapko batana chahunga ki sabhi prakar ke 404 error not found aapke blog ke liye harmful nahi hote hai. Yadi aapne koi post edit ki hai aur uska URL change kar diya hai, To is tarah ke not found errors aapke blog ke liye bahut hi SEO loss generate karte hai. Yadi aapke blog par is tarah ke errors ki quantity jyada hai aur aap unhe redirect karke fix nahi karenge to ho sakta hai ki aapke blog par penalty laga jaye aur aapki site ko search engine se remove kar di jaye.
Ise bhi padhiye : Top 3 Free WordPress Hosting Provider Companies
Yadi aapke blog me post ya page se related error 404 not found nahi hai lekin plugin aur theme ki files ke errors search console ke crawl errors me show ho rahe hai, To is situation me yadi aap inhe fix nahi karte hai to isse aapke blog ke SEO par koi negative impact nahi padega. Fir bhi me aapko suggest karunga ki is tarah se generate huye errors ko redirect na kare balki mark as fix kar de.
To chaliye aage ki taraf badhte hai aur jante hai ki how to remove 404 error from google index.
404 not found error kaise remove kare video tutorial :
Yadi aapke blog me is tarah ke error show ho rahe hai to is video ko watch kijiye aur apni wordpress site se crawl errors ko fix kijiye –
Ise jarur padhe : Slow intenet par Achhi Quality me Youtube Video kaise dekhe
Yadi aap is video tutorial ko nahi dekhna chahte hai to aap aage read karte rahe.
How to remove 404 not found error from WordPress blog ?
Yadi aapki wordpress website me is tarah ke errors show ho rahe hai to unhe fix karne ke liye aage diye gaye steps ko carefully follow kare –
- Sabse pahle apne WordPress Dashboard ko login kijiye.
- Yadi aapke blog me Redirection plugin install nahi hai to aap yaha se download karke install kar le. Kyonki is plugin se hame apni post ya page URL ke not found errors ko 302 redirect karna hota hai, uske baad mark as fix karte hai. Yadi aap WordPress me new hai aur aapko plugin install karna nahi aata hai to aap aage badhne se pahle is post ko padhiye – How to install wordpress plugins,in Hindi
Steps – 1
- Yoast SEO plugin me SEO par jaye.
- Search console par click kijiye.
Ab aapke samne search console wala page open hoga SEO yoast plugin me. Jisme aapke blog me jitne bhi errors honge unki list show hogi. Is page ko open hi rahne de close na kare kyonki abhi iski jarurat padegi.
Steps – 2
- Tools par jaye.
- Redirection par click kijiye.
Steps – 3
Ab aapke samne Redirection plugin wala page open hoga jise aapne install kiya hai. Isme niche ki taraf scroll down kare aur Add new redirection option par pahunch jaye.
- Source URL wale field me post ya page ka error wala URL fill kare, jiska error 404 search console me show ho raha hai.
- Target URL wale field me New post ya page ka URL fill kar de jis par aapko visitors pahunchana ho.
- Group wale option me Redirection select kare.
- Add Redirection par clck kar dijiye.
Ab aapka post ya page URl redirect ho gaya hai. Ab hame search console wale page par dubara jakar jis url ko redirect kar diya hai use mark as fix par click karke error ko remove kar de.
Yadi aapke search console me post ya page se related bahut sare errors show ho rahe hai to unhe one by one sabhi ke liye redirect set karne ke baad mark as fix kar de.
Is tarah se aap apne wordpress blog me aane wale 404 not found error ko asani se redirect karke fix kar sakte hai. isse aapke blog ka SEO hamesha achha bana rahega.
Ise bhi padhiye : WordPress blog Me Best SEO Ke Liye Robots.txt File Kaise Add Kare
Ab Mujhe ummid hai ki aapko achhi tarah se samajh me aa gaya hoga ki WordPress site me 404 Not Found Error kaise remove karte hai. Yadi error 404 page not found se related koi problem ya suggestion ho to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapko jaldi jabab dene ki koshish karenge. Yadi ye post aapke liye helpful rahi ho aur aapko lagta hai ki isse kisi aur person ki help ho sakti hai to ise social media freinds ke saath jaroor share kare.
rajkumar meena says
bhai jab me blog ko open karta hu to 404 ki erorr aa rhi hai jab me isse trike se karta hu to
ye sho hota hai
The source and destination values cannot be empty or more than 256 characters and must start with /.
please help
Surendra Singh says
Rajkumar bhai, kya aap Bata sakte hai ki aapka blog kis platform par bana hai blogspot ya wordpress, jisse me aapko sahi suggestion de saku.
INDERJEET SINGH says
mera blog wordpress par hai bro meri all post google se open karne pe 404 error aata hai mai kya karu kya aap bata sakte hai jaise theek hoga
Surendra Singh says
Aapne sayad Blogger se wordpress par blog migrate kiya hoga jo sahi nahi huya isliye 404 errors aa Rahe hai. Aapko batana hoga ki aapne kitne din pahle migrate Kiya tha?
Shahid Afridee says
Bro Aapke blog ka template mujhe bahut pasand hai. So kya ye template blogger par kaam kar sakta hai. Agar kar sakta hai to kya aap mujhe ye template de sakte hai. Dusri baat mai aaj Hi aapke blog ko dekha aur aapko blog ka aashiq ho gaya. So mai ab aapke blog ko bahut Hi like karta hu Aur ab hum aapke blog ke regular visit karne wala visitor ban gaya hu.
Surendra Singh says
Brother ye wordpress theme hai blogger par kaam nahi karti, and thanks to your motivational words keep visiting.
Akshat Jain says
बहुत ही अच्छी जानकारी दी आपने ये मेरे लिए बहुत ही useful है आपने अच्छे तरीके से समजाया हैं.इ readers से request करूँगा की इस Blog को जरूर Suscribe करे और हिंदी को support करे ताकि hindi आगे बढे इंटरनेट पर..
मेरा भी एक Hindi Supporter Blog हे एक बार जरूर देखे..
Hussam Ansari says
bro maine blogger se wordpress par blog migrate kiya lekin problem ye aarahi hai ki maine blog me rss feed winget lagaya hai maine usme feed address me dala hai lekin jab mai rss feed winget ko click karta hu to error 404 not found show hota hai. jab blogger me tha jab work karta tha.
Surendra Singh says
Aap apna feedburner account open karke Feed ID check kijiye, kyonki aapki Feedburner id work nahi kar rahi hai.
Santlal says
bro mera ye redirct nhi ho raha
/google-map-par-apne-ghar-ka-address-kaise-show-kre/?m=1
Maine iski jagah original redirect kr diya phir bhi nhi ho raha hai.
Jiske url ke piche ?m=1 likha hota hai wo redirect nhi ho rahe
Surendra Singh says
Jo aapke url ke last me ?m=1 laga hota hai use google ke dwara index kiya ja raha hai ise aapko search console me jakar URL Parameters se google ko batana hoga ki ye Post permalink nahi hai aur ise index nahi karna hai. ye thodi advance cheej hai isliye iske liye post me share karunga. Jin URL me ?m=1 laga hota hai vo redirect nahi hote.
Rajdeep Raghuwanshi says
नमस्ते सुरेन्द्र ,
मेरी वेबसाइट मे कुछ दिनों से sitemap generate नहीं हो रहा है जब मैं yoast में जाकर check sitemap करता हूँ ओपन window में मुझे इस तरह का error शो होता है.
error on line 2 at column 6: XML declaration allowed only at the start of the document
Surendra Singh says
Bhai aapka blog bahut ho slow open hota hai isliye theme change karke dekhiye, uske bad yoast sitemap option use karke dekhiye.
smar says
WordPress login is not available from C panel, but first page error is displayed.
VISHAL says
THANKS 404 Eror ko redirect karne ke liye bahut acchi jankari di hai aapne.
Mujhe ek bat aur janana tha ki jab hum kisi post ko delete kar dene hai vo bhi 404 error me show hoti hai to use parmanently apne blog se aur search console se hatane ke liye kya karna chahiye
Surendra Singh says
Uske liye aapko iske liye aap search console me “remove urls” feature ka use kijiye aur htaccess file se us post permalink ko nofollow, noindex Kar dijiye, kuchh Din me vo post url search engine se remove ho jayega.
ashish says
सर मैंने redirection plugin install किया है। इसमें 404 ऑप्शन में बहुत सारे url है लेकिन उसमे कुछ और add है। जैसे ओरिजनल url – example.com/example है लेकिन इसमें example.com/example/apple-touch-icon.png है और 404 आ रहा है। क्या इसे हम मैंने url में redirect कर सकते है ?? इसे कैसे fix करें प्लीज बताइये। thanks
Surendra Singh says
Ye aapka image url hai, ise mark as fixed Kar dijiye aur kuchh nahi karna hai.
Ashish says
सर मैन पोस्ट एक भी इमेज apple touch icon नाम से पोस्ट नही किया है। और लगभग 90 यूआरएल इसी तरह का है।
इसलिए confusion हो रहा है ।
Surendra Singh says
Koi problem nahi, aap unhe normally fix kar dijiye.
Mahatab singh says
Bhai Mera blog hai
isme hacker ne kuch spammy link daal diye the jis inhe solve kar liya gaya but ab ismein kareeb 1 lakh se above 404 page not found aa gaye hai inhe kaise solve kare. pls help me
Surendra Singh says
Aapke pas sirf ek hi option hai 404 errors ko theek karne ka jise maine post me bataya hai ki mark as fix karna hai.
Surendra Kumar says
Hello Sir ,
Mere wordpress dashboard Or Websites Dono Ko Open Karne Par 404 not found Error Aa aha hain . Usko kaise fix kare . Matlb wordpress ka dashboard hi open nahi ho raha hain waha par 404 not found nginx/1.13.5 error Aa Raha Hain .
Surendra Singh says
Aap apne Hosting Provider se Contact kijiye.
neelesh says
nmaskar sir ji, sir maine apne blog blogger ko 1month phle wordpress par migrate kiya tha. mere blog me 108 post hai par google search console me 340 url not found show rha hai. to kya mujhe isi trh jaise aapne is post me btaya hai fix krna hoga.
sir ek aur question. kya main inko redirect knre ke phle inke url ko change kar skta hu kyoki sbhi url jo blogger par hinglish me the wo sab hindi me ho gye hai.
aur sir mujhe kuch din phle ek mail bhi aaya tha jisme Increase in “404” pages on http:/domain.com likha tha.
Surendra Singh says
Aap unhe edit karke jaldi se redirect kar dijiye, nahi to ranking kharab ho jayegi.
neelesh says
Sir kripya mujhe ek baat aur bataye.
crowl error, url error me two option hote hai 1. Desktop 2. Smartphone
sir in dono me alag alag url error aa rhe hai. Kya mujhe in dono ke url ko redirect krna pdega.
Aur kuch url error ke peeche (?m=0) likha rhta hai kya inhe bhi isi trh se redirect karna pdega.
aur kuch ke baad me /feed/ likha hai inhe bhi usi trh se redirect karna pdeha.
Surendra Singh says
Jin URLs me extra word show ho unhe redirect nahi karna hota hai kyonki jo extra words hote hai vo URl parameters hote hai inhe fix karne ka tarika alag hota hai isliye aap is jankari ko read kar lijiye https://hindimeonline.com/search-console-url-parameters-kaise-use-kare/
SUMIT KUMAR GUPTA says
sir search console me is tarah ke error aa rhe hai jabki yah link mere blog par available nahi hai.
1. ye link generate kaha se hota hai.
2. ise kaise fix kare
Surendra Singh says
Is Tarah ki links ko mark as fix Kar diya kijiye aur is Tarah ke errors se bechne ke URL Parameters use kijiye iske bare me post dali hai use padh lijiye.
sandeep says
Nice and informative blog. very good article.
BS.Gusain says
Perfect post !
I try this method for 404 error .
thanks again !
Neelesh says
Sir mene wordpress blog hostgator ki shared hosting se vps par migrate kiya hai.
Pr migration ke baad me Post publish karta hu to vah post kuch samy baad wordpress dashboard aur website ke hide ho jati aur jaha bhi iska link jaise social media par iska link available hota hai vaha se Page not found error show hone lagti hai. Par kuch samy baad yah post wordpress dashboard aur website dono par hi show hone lagti hai.
Aur new post publish karne par pahle ki post (after migration post) hide ho jaati hai.
Is problem par hostgator team customer se baat ki par koi bhi solution nhi mila please aap iska solution bataye.
Surendra Singh says
is tarah ki problem plugins ki vajah se bhi hoti hai isliye aap sabse pahle plugins ko deactivate kar dijiye fir check kijiye one by one activate kar lena.
Virendra says
Maine apna blog blogger se wordpress par transfer kiya hai ab mujhe ye problem aa rahi ki jab bhi koi google search se mere blog ki post par jata hai 404 error dikha rha hai .
Ise thik karne ke liye mujhe kya karna hoga.
Aur blogger se jo backup liya tha usse post to sab wordpress me aa gaye hai lekin page nhi aaye hai . Page kaise transfer honge.
Pls reply jaroor kare…