Namaskar Dosto, Is post me Bloglon aapko batane ja raha hai ki WordPress Site Me SEO Ke Liye Sahi Robots.txt File Kaise Add Kare, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Microsoft Account Kaise Banate hai. Me kuchh dino se lagatar Social media par dekh raha tha ki jo newbies hai vo apne wordpress blog me SEO ki ek bahut badi problem se gujar rahe hai. Jiski vajah se kuchh logo ne ya to apne blog sell karne ka mood bana liya ya fir blogging ko chhodne par majboor ho gaye hai. Kyonki unhone sayad kisi newbie ke blog ko follow kiya aur usi ki post ke hisab se apne blog ke liye Robots.txt file create karke add kar di ya fir unhone robots txt generator tool ko use karke galat robots.txt file bana li hai. jo unke blog ke SEO ke liye negative impact dal rahi hai. Kuchh logo ke blog to search engine me hi index hona band ho gaye hai.
Isliye mujhe laga ki ham aise logo ke blogging career ko bacha sakte hai jinhone apne wordpress site ke SEO ke liye itni badi galti kar li hai. Isliye aaj ki yah post aise hi logo ke liye hai, To chaliye start karte hai aur sabse pahle aapko batane ki koshish karte hai ki what is robots txt file.
Robots.txt File kya hai ?
Yadi me iske bare me batana chahunga ki yah ek aisi file hoti hai jisme kuchh code likha jata hai jise search engine (Google, Yahoo, Bing, Yandex aur Ask.com etc) strictly follow karte hai. Matlab aap iske dwara apne blog ke content ko search engine me kis tarah index karwana chahte hai isme yahi decide kiya jata hai.
Ise bhi padhiye : Keyword stuffing kya hai aur isse Blog ko kaise bachaye
Robots.txt file me jo bhi command aap insert karenge use google ya other search engine ko follow karne ke liye majboor hona padta hai. Isme yadi aap chahe to apne blog ke kisi bhi post ko search engine me index hone se rok sakte hai. Chaliye thoda ise example ke through samajhne ki koshish karte hai ki akhir is file ke andar kis tarah ki coding dikhai deti hai.
WordPress website robots.txt file example –
User-agent: *
Disallow: /wp-admin/
Allow: /wp-admin/admin-ajax.php
Sitemap:
Ye keval example hai jo sabhi wordpress blog me pre-install hoti hai. Ise edit karke ham apne blog ko aur jyada SEO friendly bana sakte hai. To chalo ise edit karne se pahle ye bhi jan lete hai ki ise edit karna kyo jaruri hota hai.
Robots.txt File Edit karna kyo jaruri hai ?
Yadi aap default robots.txt file apne wordpress site ya blog me use karenge to search engine aapke blog ke every type ke content ko index karta hai. Jaisa ki ham sab jante hai ki wordpress me hamari bahut sari aisi bhi files hoti hai jinhe hame index nahi karwana chahiye jinme se kuchh files aapke blog ki security bhi kamjor banati hai.
Yadi aapke blog me koi aisa page ya post hai jise aap use search engine se chhupana chahte hai aur chahte hai ki vo specific page ya post search engine index na kare to aapko is file ko edit karke us post ko index hone se block karni hoti hai, Vaise jyadatar bloggers Yoast SEO plugin apne wordpress site me seo ke liye use karte hai, to isse bhi kisi post ya page ko aap index hone se block kar sakte hai.
Iska sabse achha aur mainly use ye hota hai ki apne wordpress blog ki kisi bhi directory folder ya file ko aap asani se blog kar sakte hai, Jo aapke visitors ke liye kisi bhi kaam ki nahi hoti hai balki unhe kuchh black hat hacker aapki site ko hack karne me use karte hai.
Ise bhi padhiye : Long tail keywords kaise khoje keyword research guide
Vaise me aage batane wala hu ki vo kaun kaun si directory folder hai jinhe aapko apne wordpress blog ke liye search engine me index hone se kaise rok sakte hai.
Yadi aap apne blog me custom robots.txt file sahi tarike se use karte hai to aapka blog aur adhik SEO optimized ho jata hai kyonki search engine vahi content ko scan karta hai jise aapne is file ki help se allow kar rakha hai. Aur yadi jab koi user content search karta hai tab search engine aapke blog ko jaldi scan kar lega kyonki aapne faltu cheeje Disallow kar rakhi hai. Isse aapke blog ka traffic bahut achha ho jata hai. Yahi iska sabse bada profit hota hai ki aapke blog ka SEO optimization aur jyada strong ho jata hai.
To chaliye ab jante hai ki SEO ke liye itni important file ko sahi tarike se kaise edit kar sakte hai matlab how to create robots txt file for website.
WordPress blog me sahi Robots.txt File kaise banaye ?
Yadi aap apne blog me SEO Yoast plugin use kar rahe hai to is file ko create karna bahut hi simple ho jata hai. to chaliye aap hamare dwara bataye gaye steps ko carefully follow kare –
Step – 1
Apne WordPress Dashboard ko login kariye.
Step – 2
SEO par jaye aur Tools par click kijiye.
Step – 3
Ab File editor par click kijiye.
Step – 4
1. Edit the content of your robots.txt wale field Yadi aapke blog me default Robots.txt available hai to use niche diye gaye code se replace kar de.
User-agent: * Disallow: /wp-admin/ Disallow: /cgi-bin/ Disallow: /comments/feed/ Disallow: /trackback/ Disallow: /xmlrpc.php Allow: /wp-admin/admin-ajax.php User-agent: Mediapartners-Google* Allow: / User-agent: Googlebot-Image Allow: /wp-content/uploads/ User-agent: Adsbot-Google Allow: / User-agent: Googlebot-Mobile Allow: / Sitemap: https://hindimeonline.com/post-sitemap.xml Sitemap: https://hindimeonline.com/page-sitemap.xml Sitemap: https://hindimeonline.com/category-sitemap.xml Sitemap:
Note – Sitemap {https://hindimeonline.com/sitemap.xml} ki jagah apne blog ki sitemap dale.
2. Ab save changes to Robots.txt par click karke save kar de.
Ab aapki robots.txt file successfully aapke wordpress blog ke database me add ho chuki hai Lekin abhi aapko aage bhi bahut kuchh karna hai. Isliye aap hame follow karte rahiye.
Ab aap soch rahe honge pata nahi aapne hamare blog ke liye kya kya search engine me allow kiya hai aur kya kya disallow kiya hai, Aise sawal kisi bhi nebie ke mind me aa sakte hai kyonki me dekh raha hu ki is samay hindi me bhut sare blog bane huye hai aur unke achhe followers bhi hai lekin mene khud kai sare aise blog ki post read ki hai to pata chala ki inhone wrong information share kar rakhi hai jisse unke follower unhe follow karne par apne blog ka RAM NAAM SATYA kar lete hai. Ab aisa vo kyo karte hai, ho sakta hai unhe us topic ke bare me deep knowledge na ho ya fir other koi reaon ho sakta hai ye to unhe hi maloom hoga ya fir God ko. Lekin Bloglon aisa kabhi nahi karta kyonki yaha aapko vahi milega jiska iske author ko deep knowledge hai.
Ise bhi padhiye : Apne blog par daily 500 unique visitors kaise prapt kare
To chaliye ham aapko technically batate hai ki hamne is robots.txt file me kya kiya hai aur kyo kiya hai uske baad aapko ham aapko batayenge ki Robots.txt file ko Search console me kaise submit karte hai.
Robots.txt file ka great SEO ke liye technical description :
User-agent: * – Isme jo User-agent hai iske dwara ham search engine ko rules follow karne ke bare me bolte hai. Aur asterisk (*) ko ham isliye likhte hai kyonki ye all search engine ko follow karne ke liye bolta hai jaise Google, Yahoo, Bing, Yandex etc.
Disallow: / – Isko ham kisi content ya folder ko search engine ko no-index karne ke liye bolte hai ya search engine is content ko index na kare isliye likhte hai. Jabki forward slash (/) ye isliye likhte hai jisse search engine ko maloom rahe ki use perticular folder ya file ko index karne se roka gaya hai.
Allow: Ise ham isliye likhte hai jisse search engine samajh sake ki use kya kya index karna hai.
Robots.txt file me kya Disallow kare ?
Jaise ki maine upar code me diya hua hai jisme blog ki kuchh database files ko disallow kiya hai jaise /wp-admin/, /cgi-bin/, /comments/feed/, /trackback/, /xmlrpc.php. In sabko maine search engine ko index nahi karne ko bola hai. Kyonki ye files ya folders kisi visitors ke liye upyogi nahi hote aur inhe disallow karna ek best SEO ka rule hai.
Ab aap soch rahe honge ki ye to every Blogger batata hai to me aapko batana chahunga ki yadi aap upar diye gaye us code ko achhe se dekhenge to aapko bahut kuchh difference najar aayega jo aksar bahut sare blogger bahut badi galti kar dete hai. Ab me aage batane ja raha hu ki Robotos.txt file me kya kya Disallow nahi karna chahiye.
Robots.txt file me kya Disallow na kare ?
Kuchh blogger aise hai jinhe abhi tak yahi nahi maloom ki Google ne jo gujre huye years me kuchh bade badlaw kiye hai, uski vajah se hame kuchh bato ko bhi jarur dhyan dena hoga otherwise aapka blog ke traffic ka pata bhi nahi chalega ki kaha gaya sara traffic.
Jo Files aur folders hame Disallow nahi karne chahiye vo ye hai –
- /wp-includes/ – Is directory ko hame apne wordpress blog ke robots.txt file me Disallow rule set karke search engine ke liye block nahi karna chahiye kyonki ye bahut old SEO me ise Disallow kiya jata tha aur ab latest SEO ke liye ise block nahi kiya jata. Iska reason ye hai ki aaj ke samay me lagbhag sabhi blog theme me asynchronous JavaScript jise AJAX bhi kahte hai. Ise use kiya jata hai to yadi aap ise hi block kar denge to aapki site ka adhura part hi Crawl nahi hoga. Aur isse hamare blog ke SEO par negative impact padega, Matlab blog ka traffic khatm ho jayega.
- /wp-content/plugins/ – Is directory ko bhi hame block nahi karna chahiye kyonki yadi aap ise block kar denge to search engine, JavaScript aur CSS ko scan nahi kar payega jisse aapke blog content ko render karne me use problem hogi. Kyonki Latest SEO me google aapke blog ko with JavaScript aur CSS ke crawl karta hai. Yadi aap is directory ko block kar denge to aapka blog search engine render nahi kar payega. Aur iski vajah se aapke blog ka traffic khatm ho jayega.
- /wp-admin/ – Is directory ko bhi aap block nahi kar sakte kyonki yadi aap ise block karenge to is directory me ek admin-ajax.php naam ki link hoti hai. Yadi ise search engine me block karenge to bhi hamare blog ko index karne me problem hogi. Lekin ab aapke dimaag me ek question jarur aaya hoga ki upar diye gaye robots.txt code me to /wp-admin/ block kar diya hai aur ab bol rahe hai ki block nahi karna chahiye, to iske liye me aapko bata du ki aapko bilkul darne ki jarurat nahi hai. Yadi aap achhe se code ko dekhenge to aapko maloom chal jayega ki maine /wp-admin/ ko to block kiya hai lekin /wp-admin/admin-ajax.php ko allow kar rakha hai. jisse search engine ko blog ko render karne me koi problem nahi hogi.
Yadi aapko lagta hai ki ye information incomplete hai to aap Great SEO ke liye Yoast wordpress robots.txt post ko jarur padh sakte hai jisme aapko aur jyada technical knowledge mil sakta hai. to chaliye thoda aage badhte hai aur jante hai ki robots.txt file me apne wordpress blog ke liye kya kya allow karna chahiye.
Robots.txt file me kya Allow kare ?
Jaisa ki maine upar code me search engine ke liye allow kiya hai jaise :-
Allow: /wp-admin/admin-ajax.php – Iske baare me to aapko upar bata hi chuka hu ki yadi aap ise block kar denge to aapki site google me crawl nahi hogi.
User-agent: Mediapartners-Google*
Allow: / – Yadi aap adsense user hai to aap ise allow karke jarur rakhe nahi to aapki site par adsense ads serve nahi kiye jayenge. Isliye ise Disallow na kare. Aur yadi aap adsense use nahi karte hai to aap ise Disallow kar sakte hai. Iske bare me jyada technically jaane ke liye Robots.txt Google support page par visit kar sakte hai.
User-agent: Googlebot-Image
Allow: /wp-content/uploads/ – Ye directory isliye allow karna chahiye jisse blog ki images search engine me render ho sake. Yadi aap ise Disallow kar denge to google aapke blog ki images ko crawl nahi karega.
User-agent: Adsbot-Google
Allow: / – Ye basically adwords ke liye use hota hai jisse advertiser ke liye search engine ko render karne ke liye rule set kiya jata hai.
User-agent: Googlebot-Mobile
Allow: / – Isko isliye use kiya jata hai because jab koi mobile user content ko search karta hai to aapki site ko mobile version me crawl kiya ja sake. Yadi aapke mobile visitors hai to aapke liye ye bahut hi important hoga aur ham jante hai ki sabhi site par mobile se traffic lagbhag 50% to aata hi hai. Isliye ise allow karna bahut jaruri hota hai.
Sitemap: – Iska use to sabhi ko maloom hota hai yadi nahi maloom to me aapko batana chahunga ki sitemap me blog ka all content hota hai jaise post, page etc. To ise to hame apne blog ki robots.txt file me rakhna hi padega.
Important Note – Dhyan rahe yadi aapki sitemap ek se jyada hai to un sabhi ko bhi robots.txt file me add karna hoga. jaise post ki sitemap alag ho sakti hai aur page, category, tag etc sabhi sitemap ko usi tarah add karna hoga jis tarah maine upar diye gaye code me ek sitemap add ki hai.
Ise bhi padhiye : How to create Sitemap for your blog or website?
Ab aapne robots.txt file ki technical information ke bare me jaan liya hai, aur ab jante hai ki Robots.txt file ko search console me kaise submit karte hai.
Robots.txt file ko Google Search Console me kaise submit kare ?
Yadi aapne apne blog ke liye robots.txt file bana li hai jise me upar bata chuka hu to ab use search console me submit karne ke liye niche diye gaye steps ko follow kijiye –
Step – 1
- Sabse pahle apne Google search console Dashboard ko login kijiye.
- Ab apne us blog par click kijiye jiske liye ise submit karna hai.
Step – 2
- Crawl par click kariye jo left side me menu me asani se mil jayega.
- Robots.txt Tester par click kariye, Kyonki ise submit karne se pahle test karna hoga ki sahi bani hai ya kuchh error hai.
- Ab box me upar diye gaye robots.txt code ko paste kar dijiye.
- Ab Test button par click kijiye.
Yadi sitemap me koi error nahi aata hai test me sab kuchh ok bata raha ho to ab ham apne blog ki robots.txt file submit kar sakte hai. Kaise karna hai iske liye next step follow kijiye –
Step – 3
Ab aapke samne ek new popup window open hogi usme Submit button par click kar dijiye.
Congratulation ! ab aapke wordpress site ki robots.txt file google search console me successfully submit ho gayi hai. Ab aapka blog great SEO friendly ban chuka hai, aur ab aapka blog search engines achhe se aur kam samay me aapke content ko achhe se crawl kar payenge.
Ise bhi padhiye : WordPress Blog me Comment Policy Message add kare
Mujhe ummid hai ki aapko ab achhi tarah se maloom chal gaya hoga ki what is robots txt in seo aur WordPress Site Me SEO Ke Liye Sahi Robots.txt File Kaise Add Karte hai. Aap bhi mujhe comment ke madhyam se jarur bataye ki aap apne blog me kis tarah ki robots.txt file use karte hai good SEO ke liye. Yadi is post se related koi problem ho to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapko jaldi jawab dene ki koshish karenge. Yadi ye post aapko helpful lage to social media freinds ke saath jarur share kare.
surendra rsdp says
Waise iss Code me Aapne 1 Jagha Galti Ki Hai Umeed Karta Hu ki Aap Unko Seo Ke Liye Update karenge
1. jo Aapne Comment/feed Ko Disallow Kiya Hai Ise Allow Kare Kyu Ki Jab Comment Hi Index Nahi Honge toh Blog Par Comment Badhane Ka Koi Fayda Nahi Hona . Isliye SEO ke Liye Better ye Hi Hoga Ki Aap Comment Ko Allow Kare Kyu Ki Search Result Me Commemt Ka Bhi Utna Hi yogdaan H Jitna Ki Content Ka .
Waise Mai Manta Hu Ki Shoutmeloud Par Bhi Issi Code Ke Baare Me Bataya Hai Lekin Hindi Blog Par Comment Ka Index Hona Bhut Jaruri Hai .
Surendra Singh says
Dear surendra rsdp ji, Ye code blog aur google search console ko dhyan me rakhte huye hi banaya gaya hai, Me ummed karta hu ki aap is baare me deep knowledge prapt kare aapko sab samajh me aa jayega. me apne reader se yahi kahunga ki ise DisAllow hi karke rakhe.
Suraj yadav says
Sir last me submit kr rha hu to.. it didn’t go through. Try again later. Likh rha h
Surendra Singh says
Dear Suraj yadav ji, Aapke blog me robots.txt galat tha isliye aapke blog ko search engine ne crawl karna band kar diya hai, Ab aap mare dwara batayi gayi robots.txt file ko blog me add kare SEO yoast plugin se fir isi plugin se sitemap create kare fir use search console me submit kare. Iske baad aapko kuchh din wait karna padega jab google aapki site ko crawl karne lagega tab aapko ye robots.txt file ko search console me submit karni hogi.
rohaan says
bahut hi vistaar se samjhaya hai aapne mai ise jarur follow karuga – sir ji aap mere blog aur content ko check kar dekhiye mujhse kisi tarah ki galti to nahi hui? agar hui hai to mujhe guide kariye
Surendra Singh says
rohaan ji aapne keywords ko sahi tarike se use nahi kiya hai to is problem ko jarur solve kare uske liye ise padhe – Post me Keywords kaise use kare ? Secret seo tips
Ashish Sahu says
Thanks dear surendra sir, apki post ke through maine apne blog me implement kar liya hai. sir sitemap maine yoast ke through banaya hai. isme koi problem to nahi, ya koi aur plugin use karna padega, like google xml sitemaps
Surendra Singh says
Dear Ashish Sahu ji aap sitemap banane ke liye koi bhi plugin use kare jaise yoast seo ya google xml, lekin robots.txt file me sitemap sahi se add karni hogi.
rohaan says
thankyou surendra ji
Suraj yadav says
Thankss sir you are good person…
mohd aquib says
sir ji maine wordpress ki site p kam nhi kiya isliye site ki error shi nhi kr paa rha hu isse related koi post ho to link kr de jisse mai usme title ,desciption alt tag jaisy error ko samajh k thk kr sku
Ramanand MEhta says
Achhi jankari hai sir but thoda sa problem hai… jab mai robot.txt ko google webmaster tool me test kar rha hu to 4 sitesmap error aa rha hai. jabki maine charo sitemap youst seo se likha hai.
Surendra Singh says
Aap post ko achhe se padhiye aur carefully follow kijiye.
Ramanand MEhta says
Sir agar mai sitemap ko remove karke google webmaster tool me submit karunga to problem hai?
Surendra Singh says
Sitemap remove nahi karna hai
ABDUL RAZIQUE says
Yadi aapke blog me koi aisa page ya post hai jise aap use search engine se chhupana chahte ?
hm chhupana chahte h kaha se chupaenge
Surendra Singh says
Kisi bhi post ya page ko search engine se hide karne ke liye aap Yoast SEO plugin se Noindex kar sakte hai aur aap robots.txt file edit karke bhi kisi bhi specific page ko search engine se ignore karwa sakte hai. jyada jankari ke liye ise padhiye WordPress Site Me SEO Ke Liye Sahi Robots.txt File Kaise Add Kare
Abhishek kumar says
1. sir mai search consol me submit kiya hun aue ye massage show kar rha hai .
Success! Reload the Tester page in a minute to confirm the timestamp.
kya sahi se submit ho gya hai .
2. robots. txt set karne se pahle mere youst plugins me 3 notification aaya hai . kya krun
Surendra Singh says
Maine is post me sari bate batayi hai, behtar hoga aap post ko achhe se samajhye.
Santlal says
apke btaye anusar hi maine setting kr li hai bro.Bahut acche se smjhate ho aap
gautam daria says
aapne likha ki edit the content of your robot.txt option ko edit krna h jbki meri SEO>tools>file editor setting me Edit the content of your .htaccess option show ho ra h.
Surendra Singh says
htaccess file edit Karni hai.
deependra singh says
hi surendra, kya aap bata sakte hai ki wordpress site me wp-include file ko index hone se kaise roke. wp-inclues or wp-includes/js. googlebot access kare but index nahi kare. please explain
Surendra Singh says
Robots.txt file se disallow Kar dijiye
Raza says
Nice post thanks
Aap kon sa plugin use kaete he subcribers k liye pls answer soon
Surendra Singh says
Me subscriber Form ke liye koi plugin nahi use karta, ye coding se banaya hai.
Raza says
Sir kya isse nai post aap dalte he to autaumatic sab subacribers ko email notification pahuch jate he.
Surendra Singh says
Bilkul feedburner settings Karni padti hai.
gautam says
aapse ek question hai
sir maine 31 july ki google me sitemap submit kiya tha but 2 url hi index hue
please btao itna time kyo lag rha hai
and please ek baar aap meri site ka review karke acha suggestion de
Surendra Singh says
Unique post publish kijiye jo pahle se kisi bhi hindi blog par na ho tabhi Google new blog ko index karega.
gautam says
mujhe robot.txt file bhi update karni hogi kya
and robot.txt file me sitemap ka link bhi daalna jaruri hai kya and kyo
Surendra Singh says
Post me aapko all questions ke answer Mil jayege, read carefully.
gautam says
meri problem aap smjh nhi paa rhe jab main site:gyaaniguruji.com search kakre image par jata hu toh double double image show ho rhi hai why?
Surendra Singh says
Ho sakta hai aapne non www aur with www wali dono properties me sitemap submit ki ho, yadi aisa hai to keval original property me hi apne blog ki sitemap submit kijiye.
Yadi aisa nahi hai to aapki theme me coding problem bhi ho sakti hai.
gautam says
shayad coding problem hai mein ribbon theme use karta hu aap btao m sahi kaise karu
Surendra Singh says
Mujhe nahi pata aapne theme ko kis tarah customize kiya hai, Ye aapko khud theek karna hoga.
gautam says
Plz koi asi free theme btai jis se image Ki problem ek Dum solve Ho jaaye plz
Surendra Singh says
Free theme ke liye aap Google par search kar lijiye, vaise Maine Ribbon use Kiya tha pahle.
gautam says
maine koi bhi customize nhi kiya and ek aur plz meri seo plugi ki setting kra do
RAJAT VAISHNAV says
sir bhut hi useful information share ki hai aapne.
thanks
plz aap ek bar meri site ko dekh kar muje apna importent feedback jarur de taki me apni galtiyo ko improve kar saku.
Surendra Singh says
Aapki website badhiya hai lekin aap header menu ko theek kijiye.
AMAN SINGH says
Mere khyaal mein comment/feed apne glti se add kar diya hai…kyuki comment to backlinks banane me ahm bhumika nibhate hai
Pravin Kharade says
Hello Sir, Aapki yeh post bahot hi useful hai.
Lekin mujhe ise setup karne me kuch problems aa rahi hai….
Jaise ki aapne Yoast SEO ke Bad Tools Option me jane ko kaha hai wo option hi nhi mil raha shayd Yoast ne plugin update kiya hai aur kuch changes bhi.
Please aap bataye ki ab mai Robot.txt file kaha par Add karu Yoast me ?
Surendra Singh says
Aisa koi update nahi aaya, aapne sayad advance option enable nahi kiye hai yoast seo plugin me isliye is plugin ki settings wali post padh lijiye ek baar.
Ramsinh Zala says
Thanks Sir,
Aapne real me bahut hi achhe se bataya hai, jise mene follow kiya to mera problem solve ho gaya, thanks again.
Pritam says
Ek se jyada Sitemap kaise banaye..?
Mai Offer Sitemap & deal Sitemap banana Chahata hu
Surendra Singh says
Iske liye online tools ka use Kar sakte hai.
Astrologer in agra says
thanks for publish this post main bahut dino se loi aasi useful post dudh raga tha
Sarabjeet kaur says
hello…hmne yha se robot.txt file copy kiya aur edit kr k apne website ka naam diya…isse kuch gadbad to nhi hga na…
Surendra Singh says
नहीं कोई प्रॉब्लम नहीं होगी ये जानकारी आप लोगों के लिए ही शेयर की गयी है.
cg rojgar samachar says
wow nice sir i like it your website and post good tips
Vijendra singh says
Hello sir
Robots.txt file ko mene Yo.plugin me carefully add kar diya hai or mene sitmap kuch mahine pahle mene yoast ke dwara hi banaya tha lekin jab me robots txt file ko search console me test kar raha hu to aapke jo code me last tag sitemap add hai us par 1error aaraha hai ab mujhe kya karna chahiye plz help me
Surendra Singh says
Tag sitemap ko noindex Kiya hai aapne isliye tag me error aayega, iske liye aap tag ki sitemap submit mat kijiye search console me fir ho jayega.
Vijendra singh says
Hello Sir
1.Sitemap tag kaha noindex kiya hai me kuch samajh nahi pa raha hu
2. jab mene code me last tag sitemap remove karke test kiya to koi error nahi aaya or mene code ko submit kar diya
3. Code submit karne baad post ko open kiya to- File not found (404 error) aaraha hai aap meri site ki post open karke dekh sakte hai.
4. Search console Robots.txt tester me jo pahle se file thi usko mene remove karke aapka code add kiya ab wo file mere pass nahi hai jo ki me usko firse submit kar deta sir ab me kya karu aap hi kuch bataye
Vijendra singh says
Hii Sir
Appne jawab nahi diya plz. reply.
Vijendra singh says
Hello sir
Sir mene aapke dwara diya code wp and search console me add kiya or search console me last tag sitemap par error aaraha tha to mene last tag sitemap word ko remove karke test kiya to koi error nahi aaraha tha to robot.txt file ko submit kar diya ab mene apni site ki post ko open kiya to error aaraha hai 3 din ho gaye meri site me error aate mujhe jo bhi jankari thi mene use kar dekh liya and ab mere pass wo old file bhi nahi hai jo ki me dubara se upload kar deta or aap koi jawab nahi de rahe hai plz sir koi solution bataye aapke dwara create ki gayi file success ho jaye.plz help me.
Surendra Singh says
आपकी साइट पर कोई error show नहीं हो रहा सब कुछ ठीक है।
Vijendra singh says
Hii sir
Me bahut problem me hu aapke dwara di robots.txt file ko upload karte time maloom nahi mujhse kaha mistek ho gayi jis se ye robots txt file meri site par work nahi kar rahi hai meri site par 5 day se error aarha hai ise sahi karne ke mene sare tarike apna liye lekin mujhse sahi nahi ho rahi hai
Mene dusre owner se bhi baat ki lekin kisi ne mujhe sahi solution nahi diya sir aap hi jo last me meri help kar sakte hai me aapko aapke contact form me apne blog and search consol ka login id and password send kar raha hu plz sir post open karne par jo error aaraha hai usko solve kar dijiye.
Is time mene dusri robotstxt file upload kar rakhi hai aap usko remove kar sakte hai.
Surendra Singh says
आपकी सारी पोस्ट सही से खुल रही हैं, किसी तरह का कोई भी error नही आ रहा है।
Vipin says
Hii sir
1. aapke dwara create kiya gaya robot txt code mene wp and serch console robots.txt tester me add kiya to aapke code me jo last word only sitemap hai us par error aaraha tha to mane usko remove karke submit kar diya isse koi problem to nahi hai.
2. Lekin sir jabse robot txt file ko submit kiya hai tab se mere blog ka traffic 10% rah gaya hai baki 90% remove ho gaya aisa kaise or meri bahut sari post search engine se hide ho gayi saerch karne par bhi show nahi ho rahi hai sir ye to badi problem ho gayi ise kaise sahi kare.
Surendra Singh says
Aapne sab kuchh sahi kiya hai. Traffic Kam hone ki vajah Google update hai. Isliye koi tension ki bat nahi hai regular posting kijiye.
Dharmendra Yadav says
Hi Sir अभी कुछ दिन पहले मैंने अपने एक वेबसाइट का seo किया और गूगल वेबमास्टर में submit भी किया पता नही क्यों मेरा वेबसाइट गूगल पर अपने डोमेन नाम और यूआरएल टाइप करके search करने पर भी वेबसाइट का यूआरएल भी गूगल पर दिख नही रहा है .
कुछ robots.txt करके error दिखा रहा है गूगल वेबमास्टर में मै इस प्रॉब्लम को कैसे solve करू sir प्लीज हेल्प me…
Surendra Singh says
Aap apni problem ko mere sath Facebook par screenshot ke sath share kijiye fir me aapko behtar solution de paunga.
Anoop negi says
mene aapke dwara bataye gye sabhi steps ko follow kar ke apna robot.txt file ko update kar liya hai.
Mahendra says
बहुत अच्छा पोस्ट है! यहाँ पढ़ के बहुत खुशी हुई। आपने अच्छे तरीके से विषय पर चर्चा की है और अच्छी जानकारी साझा की है।