Dosto, Aaj ki is post me aap Yoast SEO Plugin 3.2.4 Vulnerability ke bare me janenge. Ham jante hai hai ki aaj ke samay me bahut sare hindi blog self hosted wordpress platform par chal rahe hai, Isi liye yah post un logo ke liye bahut jaruri hai jo yoast seo plugin apne wordpress blog me use karte hai. Vaise aaj ke samay me 98% wordpress blog isi plugin ko use karte hai kyonki yah ek aisi seo plugin hai jo all in one hai Features provide karti hai. Lekin kya aap jante hai ki is plugin ke dwara aapka blog ya website hack ho sakta hai, Ji ha friends Yoast SEO 3.2.4 version me kuch vulnerability (Najukta, Kamiya) payi gayi hai jiske dwara hackers aapki wordpress site ko attack kar sakte hai aur ek baar yadi aapki site hackers ke hatho me chali gayi to vo kuchh bhi kar sakte hai jaise aapki site ke database ko delete kar sakte hai jisse aapki aapki site ya blog hamesha – hamesha ke liye khatm ho sakta hai.
Yoast SEO se WordPress site kyo Hack ho sakti hai ?
Jaisa ki ham sab jante hai ki aaj ke samay me per day hajaro website hackers ke dwara hack ki ja rahi hai, kyonki un website me kuchh na kuchh Vulnerability ka hona nischit hai. Yoast SEO ek bahut hi popular wordpress plugin hai jise bahut sare wordpress user use karte hai Lekin ye bhi 100% sach hai ki yadi aapne apne blog ya website me Yoast SEO 3.2.4 version upload kar rakha hai to yakin maniye aap ki site hackers ke hatho me jane ke liye ready hai. Vase kuchh log is baat ko maane ko taiyar nahi honge lekin me aage is post me aapko kuchh aisa batane wala hu jiski vajah se aap khud hi is baat ko manege.
Read Also: WordPress SEO ke liye Yoast plugin ki settings kaise kare
To aaiye aage badhte hai aur jante hai ki itni achhi plugin hote huye bhi isme vulnerability kya kya hai.
Yoast SEO 3.2.4 Vulnerability kya hai :
Plugin ke is version me jo Vulnerability (kamjoriya) trace ki gayi hai vo is prakar hai –
- wpseo_export
- get_focus_keyword_usage
- get_term_keyword_usage
Me aapko batana chahunga ki ye Vulnerability aapki wordpress site ko is tarah tak damage karwa sakti hai ki aapki site ka naam tak nahi bachega site ka bachna to bahut door ki baat hai.
Hota kya hai jaisa ki me upar bata chuka hu ki kya kya Vulnerabilitiea hai ab aap unhe achhe se dekhiye to pata chalega ki ki ye plugin kuchh jaruri information public kar rahi hai ya export kar rahi hai jaise Focus keyword ka usage aur term keyword usage. Jabki hota ye hai ki jo user is plugin ko apne blog ya website me use karta hai sirf vahi person is tarah ki information ke bare me jaan sakta hai other person ya non-user bilkul nahi.
Vaise me batana chahunga ki in Vulnerability ka advantage keval registerd person hi le sakte hai lekin hame ye nahi bhulna chahiye ki Hackers ke liye ye koi bahut bada kaam nahi hota hai. Yadi aap Yoast SEO 3.2.4 Vulnerability ke bare me jyada jaanna chahte hai to Wordfence par padhe kyonki iske bare me information Wordfence team ne hi Yoast SEO team ko uski plugin version 3.2.4 ke bare me report di thi jiske baad Yoast plugin team ne kuchh improvement karke in Vulnerabilities ko pure tarike se khatm kar diya hai
Read Also: Per day 500 new visitors kaise prapt kare ?
Wordfence ek security plugin developer team hai jisne Yoast SEO 3.2.4 ke version me 3 may 2016m ko in Vulnerability ko trace kiya tha jiske baad yoast developer team ko is baare me batane ke baad 6 May 2016 ko in Vulnerabilities ko pure tarike se remove kar diya aur Yoast SEO plugin ko pahle ki tarah successfully secured bana diya, Isliye ham sabko Wordfence aur Yoast Team ko dil se thanks karna chahiye jinhone lakho website ko hack hone se bacha liya hai.
Ab jaisa ki maine upar bataya hai ki problem to khatm ho gayi hai lekin Yoast team ne uske plugin users ko apni site se in Vulnerability ko remove karne ya wordpress site ko secure rakhne ke liye ek bahut hi important instruction diya hai jiske bare me aage jante hai.
How to secure wordpress site from Yoast SEO 3.2.4 Vulnerability ?
Yadi aap apni wordpress website ko secure wordpress site banana chahte hai hai to aap apne wordpress site ke cpannel ko login kijiye aur Yoast SEO Plugin ke 3.2.4 version ko 3.2.5 version se update kar dijiye jitni bhi jaldi ho sake.
Yadi ham sidhe words me kahe to aapko Yoast SEO Plugin 3.2.4 version ko update kar dena hai kyonki jo new version 3.2.5 hai isme se yoast team ne vo sari Vulnerability ko khatm kar diya hai. Isliye apne plugin ko latest version ke sath jarur update rakhe. Yadi aap abhi tak Yoast SEO Plugin use nahi karte hai hai aur ab is plugin ko use karne ka mood bana rahe hai to iska latest version hi upyog kare.
How to update Yoast SEO Plugin 3.2.4 to 3.2.5 version ?
- Iske liye sabse pahle apne blog ya site ka admin pannel login kare.
- Uske baad Plugins >> Installed plugins par click kare.
- Ab aap Scroll karke us plugin ko dekhe aur vaha par aapkoplugin version 3.2.4 ke liye update available dikhai dega to Update par click kar de, Jiske kuchh seconds me hi aapki plugin update ho jayegi aur new version 3.2.5 dikhai dene lagega.
Congrotulation, Ab aapki WordPress site ya blog Yoast SEO 3.2.4 Vulnerability se bilkul mukt ho chuki hai. Matlab ab aapki site is plugin ke dwara hack nahi hogi.
To is prakar aap samajh gaye honge ki Yoast SEO Plugin 3.2.4 Vulnerability kya hai aur inhe apni wordpress site me use ki gayi Yoast SEO plugin se kaise remove kar sakte hai jisse aapki website hacked hone se bachi rahe. Yadi aapko is post se related koi problem ya suggestion hai to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapki problem ya suggestion ka welcome karte hai. Yadi ye post aapko helpful lage to please apne social media freinds ke saath jaroor share kare.
Ashish Sahu says
Surendra sir, bahut important jankari diya hai, WordPress ki security bahut jaruri hai, maine bhi upadate kar liya hai, thanks
Rohtash Nimi says
Apne bhut achi jankari di dost eske liye apka thanks
aap mujhe ek bat or btaye ki kya ham google adsence or amzone affliant marketing dono ki ad ek sath lga skte hai kya
Surendra Singh says
Mr. Rohtash Nimi ji yadi aapka blog Blogspot par bana hua hai to aap adsense aur affliated marketing ek saath dono nahi use kar sakte, yadi aapka blog self hosted wordpress par bana hai to aap dono ek sath use kar sakte hai lekin dhyan rahe adsense ke sirf 3 ads per page lagaye aur affiliated ki post me link use kare banners use n kare.
Suresh Kumar says
bahut hi accha post hai muje aapka ye post bahut hi badiya laga. thanku so much iss post ko share karne ke liye..
Rajni kant says
Sir,Mujhe ye bataye ki ab ye kamiya door ho gayi hai ya nhi ?
Surendra Singh says
Ha, update hone ke baad sari kamiya remove ho gayi hai.