Namaskar dosto, Aaj ki is post me aap sikhenge ki Youtube video ko good quality me kaise dekhe ? Ye post un logo ke liye bahut hi important hai jo online video tutorials ke dwara kuchh sikhna chahte hai. Ab aap sochenge ke video tutorials dekhne ki kya jarurat hai, Lekin me aapko batana chahunga ki koi bhi cheej aap padhkar sikhenge to aapko utne achhe se samajh nahi aayegi aur yadi usi cheej ko padhne ke sath – sath uska video dekh kar kuchh sikhenge to aapko vo tutorial 100% samajh me aa jata hai. Ab aap samajh gaye honge ki video dekhna kitna important hota hai.
Youtube video Quality kya hoti hai ?
Vaise jo log professional hai vo video quality ke baare me jaante hai lekin jo newbies hai ya new internet user hai unhe video quality ke baare me knoledge nahi hota. Well come to the point, youtube video quality vo hoti hai jisko dekhne par graphics ki clearty jis prakar dikhai deti hai use video quality kahte hai, Matlab yadi kisi image ki baat kare to aapne dekha hoga ki yadi kisi image ka size ham reduce kar de to uski graphics quality kharab ho jati hai aur yadi kisi image ka orginal size rakhte hai to uska graphics bahut hi clear dikhai deta hai aur vo image dekhne me bhi sundar lagti hai.
Read Also: Bidvertiser se 10,000 Rupay per month kaise kamaye ?
To yahi cheej video me hoti hai yadi ham kisi video ka size kam kar denge to uski video quality kharab ho jati hai jise dekhne par achha mahsus nahi hota. Yahi process youtube video ke liye follow hoti hai.
Youtube video Quality kon – kon si hoti hai ?
Youtube par bahut achhi – achhi quality ke videos uplabdh hote hai jinme se kuch quality niche aapki jankari ke liye bata rha hu –
- 1080p
- 720p
- 480p
- 360p
- 240p
- 144p
1080p Video : Is video quality ko youtube ke liye kafi achhi quality hoti hai kyonki yadi aap kisi video tutorial ko 1080p ke saath dekhte hai to aapko video ka graphics bahut hi clear dikhai deta hai lekin ek cheej hamesha yad rakhe ki jitni achhi video quality ke saath aap youtube video dekhenge utna hi jyada aapka internet data consume hoga. Is quality ke video dekhne ke liye aapke paas High speed net (3G) hona bahut hi important hai.
720p Video : Ye 1080p video quality wale video se thoda kam data consume karta hai aur graphics bhi clear dikhai deta hai. Yadi aapka net speed 2G ( Slow net speed) hai to aap is quality ka use na kare kyonki isme youtube par buffring hoti hai kafi time lagta hai. Ise aap 3G (high speed net) par asani se dekh sakte hai.
480p Video : Ye 720p video quality wale se kam data consume hota hai iska bhi graphics clear dikhai deta hai. Yadi me apni baat karu to me jyadatar tutorial videos 480p par hi dekhta hu, Isme sabse achhi baat ye hai ki 480p video ko youtube par aasani se dekh sakte hai.
360p Video : Ye quality bhi clear graphics provide karati hai isliye tutorial ko achhe se dekhne me koi problem nahi hoti. Ye bhi slow speed net ke liye achhi hai, Isme aapka data bhi 480p se kam consume hota hai. Me bhi ise use karta hu.
240p Video : Ye Quality thoda achha graphics provide nahi karti, Matlab aap jab youtube video dekhenge to usme aapko thoda clear dikhai nahi dega. Isliye ise use karna jyada achha nahi kah sakte.
144p Video : Is quality ke liye me yahi kahunga ki ise use karna bahut hi bekaar hai kyonki isme graphics bilkul kharab dikhai deta hai.
Youtube video ko achhe graphics ke sath kaise dekhe ?
Dosto me aapko batana chahunga ki aapko Youtube video tutorial dekhna hai to 360p ya 480p ke saath 2G internet par dekhe, Yadi aap 3G net use karte hai to aap 720p ya 480p ke saath dekh sakte hai. Ek baat hamesha dhyan de ki jab bhi koi myoutube video ko aap play karte hai to ye aapki net speed ke anusar play ho jata hai, Yadi aapke internet ki speed slow (2G) hai to ye 144p ke saath autoplay ho jata hai, Ise aapko video 2 second play karne ke turant baad change kar sakte hai matlab usko 360p ya 480p ke sath dekh sakte hai jisse aapko video ka graphics clear dikhai dega. To aaiye aage badhte hai aur jante hai ki slow net speed par achhi quality me video kaise dekhte hai.
Read Also: Keywords research kaise kare ?
Youtube video ki video quality kaise change kare (144p se 360p ya 480p) :
- Iske liye sabse pahle aapko jis video ko dekhna hai use play kar de. Image dekhe –
- Ab left side me Gear icon par click kare >> Auto par click kare >> 360p ya 480p par click kar de. Achhe se samajhne ke liye niche image dekhiye –
Iske baad aap dekhenge ki aapke video ki clearity bahut achhi ho gayi hai jisme aap sahi se dekh pa rahe hai. Ab aap achhe se samajh gaye honge ki Youtube video ki quality settings kaise change karte hai ya Youtube video ko good quality me kaise dekhte hai. Yadi is post se related koi problem ya suggestion hai to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapki problem ya suggestion ka welcome karte hai. Yadi ye post aapko helpful lage to please apne social media freinds ke saath jaroor share kare.
Leave a Reply