Namaskar Dosto, Is post me Bloglon.com aapko batane ja raha hai ki Yahoo/Bing Webmaster Tool Me WordPress Blog Kaise Submit Karte hai, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Post me Keywords kaise use karte hai. Ham jante hai ki Yahoo aur Bing search engine Bing Webbmaster tool ko hi follow karte hai. Yadi aapne wordpress par new blog banaya hai to ab aapka next step hoga ki kuchh post publish kare uske baad aapko wordpress blog ke SEO ke liye Bing search engine me apne blog ya website ka URL submit karna hoga. Jisse search engine aur aapke blog ke beech behtar understanding ban sakte aur vo aapke content ko achhe se crawl aur index karke search result me show kar sake. Search engine submission every blog ya site ke liye most important part hota hai.
Bing Webmaster Tool Me WordPress Blog Kyo Submit Kare ?
Yadi aapne koi new blog banay hai aur us par 2-10 post likh chuke hai tab aapko apne blog ko search engine me add karna bahut jaruri hota hai. kyonki yadi ham ise submit nahi karenge to hamari site index to hogi lekin utne achhe tarike se index nahi ho payegi. Jisse aapke blog ka traffic utna achha nahi hoga.
Yadi aap apne blog ko search engine me submit karte hai to use maloom rahta hai ki is site ko kis tarah aur kitna jaldi search result me show karna hai. Aur sabse achchi cheej hoti hai sitemap. Yadi google search console ki tarah Bing me bhi sitemap submit kar denge to Bing aur aapki site ke beech ki understanding bahut hi improve ho jati hai aur vo fast index karne lagta hai. Jiski vajah se blog ka traffic bhi per day increase hota rahta hai. Aur aapka blog Bing webmaster guideline ko follow karte huye bahut hi kam time me popular hone lagta hai. To chaliye aage ki taraf badhte hai aur jante hai ki how to add site to bing webmaster tool.
WordPress site ko Bing webmaster tool me kaise add kare ?
Yadi aapka koi new ya old blog hai jise aapne abhi tak Bing me submit nahi kiya hai to aap hamare dwara bataye gaye steps ko follow kijiye –
Step – 1
Sabse pahle Bing webmaster tool ke page ko open karne ke liye yaha click kijiye.
- Type the URL of your homepage wale field me Apna Blog URL dale.
- Captcha code fill kare.
- Submit button par click kar de.
Step – 2
Ab aapke samne new page open hoga jisme aapko Bing par sign me up ya Sign-in karne ke liye bolega. To Yadi aapke paas Microsoft account pahle se bana hua hai to email ID ya Mobile no. dalkar login kare. Yadi aapke paas Microsoft account nahi hai to aapko account create karna padega, Yadi aapko nahi maloom ki Microsoft Account Kaise Banaye to aage badhne se pahle ise jarur padh le aur apna account bana le.
- GREAT SIGN ME UP par click kijiye.
- Ab aapke samne sign-in page open hoga to usme Microsoft account ki ID fill kijiye.
- Password wale field me apna Microsoft account ka password dale.
- Sign-in par click kar de.
Step – 3
Ab aapke samne ek Bing webmaster ki ek new window open hogi jisme niche likhi huyi cheeje bharni hogi –
- URL field me apna blog address check kar le sahi fill hua hai ya nahi.
- Add a sitemap field me apne blog ki sitemap URL fill kare. Yadi aap Sitemap create karna nahi jante hai to ise padhiye How to create Sitemap for your blog or website? in Hindi
- Add button par click kar dijiye.
Step – 4
Ab aapke samne ek verification karne ke liye meta tag wala page hoga jisme se diye gaye meta tag ko copy karke apne blog ke <header> ke niche paste karna hoga –
- <meta> tag ko copy kar le aur blog ke <header> ke theek niche paste kar de. Yadi aap SEO yoast plugin use karte hai to – SEO >>Dashboard me jaye aur Webmaster tools par click kar de fir Bing Webmaster wale field me copy kiya hua meta tag paste kar de aur save par click kare.
- Ab Bing webmaster tool me Verification wale page par aaye aur VERIFY button par click kar dijiye.
Step- 5
Ab aap dekhenge ki aapki site verify ho chuki hai aur aap Bing webmaster tool ke dashboard me pahunch jayenge. Jaha par aap apni site ki submission information dekh sakte hai –
Congratulation ! Ab aapka wordpress blog Bing webmaster tool me successfully submit ho chuka hai. Aur ab aapke blog ka content dhire – dhire kuchh dino me index hona start ho jayega.
Ise bhi padhiye : Apne Blog par Per day 500 Unique visitors kaise laye
Is tarah se ab mujhe lagta hai ki aapko achhe se maloom chal gaya hoga ki Yahoo/Bing Webmaster Tool Me WordPress Blog Kaise Submit Karte hai. Aur aapne yadi bataye gaye steps ko carefully follow kiya hoga to aapka blog bhi Bing webmaster tool me successfully add ho chuka hoga. Aapke blog ka content kitne time me index hone laga tha ye hame jarur bataye. Yadi free search engine submission se related koi problem ho to aap hamse comment ke madhyam se jarur puchhe, Ham aapko jaldi se jaldi jawab dene ki puri koshish karenge. Yadi ye tutorial aapko pasand aaya ho aur lagta ho ki kisi other person ki bhi help ho sakti hai to iske liye apne friends ke sath jarur share kijiye.
Sumit Kumar Sharma says
hello sir maine apni wordpress site 3-4 din pahle google search console me submit ki hai but avi tak koi bhi post index nahi hui hai maine youst seo lpugin kiya hai.
Surendra Singh says
sumit aap thoda wait karo index hone lagegi.
rohaan says
hy surendra ji header me jo about us- privacy policy dock hai usko aapne kaise add kiya hai , code de sakte hai kya ?
Rishav Rai says
Hi Bro Meri bhi ek website hai aap ise Website ko Check kar ke btaiye kisa hai.
dr. solanki says
kya kisi prakar ka pesa dena padega, site add karane ke liya
Surendra Singh says
Nahi, Ye sari cheeje free hai iska koi paisa nahi dena hota.
surya says
every thing is ok But i want yahoo and bing to crawl my web site evry day what to do for that? i am having WordPress website is there any plugin that i can use?
Surendra Singh says
You can use yoast seo plugin for wordpress seo and submit your blog on search console and yahoo webmaster tools then your site start to crawling by Google and yahoo bots.