• Home
  • Blogging
    • WordPress
    • Blogger
  • SEO
  • Paise Kamaye
  • Adsense
  • Affiliate Marketing
  • Social Media
  • Web Hosting
  • WordPress Settings

Hindi Me Online

HindiMeOnline | SEO | Make Money Online Ki Jankari Hindi Me

Yahoo/Bing Webmaster Tool Me WordPress Blog Kaise Submit Kare ?

24/07/2016 by Surendra Singh 8 Comments

Namaskar Dosto, Is post me Bloglon.com aapko batane ja raha hai ki Yahoo/Bing Webmaster Tool Me WordPress Blog Kaise Submit Karte hai, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Post me Keywords kaise use karte hai. Ham jante hai ki Yahoo aur Bing search engine Bing Webbmaster tool ko hi follow karte hai. Yadi aapne wordpress par new blog banaya hai to ab aapka next step hoga ki kuchh post publish kare uske baad aapko wordpress blog ke SEO ke liye Bing search engine me apne blog ya website ka URL submit karna hoga. Jisse search engine aur aapke blog ke beech behtar understanding ban sakte aur vo aapke content ko achhe se crawl aur index karke search result me show kar sake. Search engine submission every blog ya site ke liye most important part hota hai.

Bing Webmaster Tool Me Blog Kaise Submit Kare

Bing Webmaster Tool Me WordPress Blog Kyo Submit Kare ?

Yadi aapne koi new blog banay hai aur us par 2-10 post likh chuke hai tab aapko apne blog ko search engine me add karna bahut jaruri hota hai. kyonki yadi ham ise submit nahi karenge to hamari site index to hogi lekin utne achhe tarike se index nahi ho payegi. Jisse aapke blog ka traffic utna achha nahi hoga.

Yadi aap apne blog ko search engine me submit karte hai to use maloom rahta hai ki is site ko kis tarah aur kitna jaldi search result me show karna hai. Aur sabse achchi cheej hoti hai sitemap. Yadi google search console ki tarah Bing me bhi sitemap submit kar denge to Bing aur aapki site ke beech ki understanding bahut hi improve ho jati hai aur vo fast index karne lagta hai. Jiski vajah se blog ka traffic bhi per day increase hota rahta hai. Aur aapka blog Bing webmaster guideline ko follow karte huye bahut hi kam time me popular hone lagta hai. To chaliye aage ki taraf badhte hai aur jante hai ki how to add site to bing webmaster tool.

WordPress site ko Bing webmaster tool me kaise add kare ?

Yadi aapka koi new ya old blog hai jise aapne abhi tak Bing me submit nahi kiya hai to aap hamare dwara bataye gaye steps ko follow kijiye –

Step – 1

Sabse pahle Bing webmaster tool ke page ko open karne ke liye yaha click kijiye.

  1. Type the URL of your homepage wale field me Apna Blog URL dale.
  2. Captcha code fill kare.
  3. Submit button par click kar de.Submit your site to bing

Step – 2

Ab aapke samne new page open hoga jisme aapko Bing par sign me up ya Sign-in karne ke liye bolega. To Yadi aapke paas Microsoft account pahle se bana hua hai to email ID ya Mobile no. dalkar login kare. Yadi aapke paas Microsoft account nahi hai to aapko account create karna padega, Yadi aapko nahi maloom ki Microsoft Account Kaise Banaye to aage badhne se pahle ise jarur padh le aur apna account bana le.

  1. GREAT SIGN ME UP par click kijiye.Sign me up bing webmaster tool
  2. Ab aapke samne sign-in page open hoga to usme Microsoft account ki ID fill kijiye.
  3. Password wale field me apna Microsoft account ka password dale.
  4. Sign-in par click kar de.Microsoft account sign in

Step – 3

Ab aapke samne ek Bing webmaster ki ek new window open hogi jisme niche likhi huyi cheeje bharni hogi –

  1. URL field me apna blog address check kar le sahi fill hua hai ya nahi.
  2. Add a sitemap field me apne blog ki sitemap URL fill kare. Yadi aap Sitemap create karna nahi jante hai to ise padhiye How to create Sitemap for your blog or website? in Hindi
  3. Add button par click kar dijiye.add a sitemap in bing webmaster tool

Step – 4

Ab aapke samne ek verification karne ke liye meta tag wala page hoga jisme se diye gaye meta tag ko copy karke apne blog ke <header> ke niche paste karna hoga –

  1. <meta> tag ko copy kar le aur blog ke <header> ke theek niche paste kar de. Yadi aap SEO yoast plugin use karte hai to – SEO >>Dashboard me jaye aur Webmaster tools par click kar de fir Bing Webmaster wale field me copy kiya hua meta tag paste kar de aur save par click kare.
  2. Ab Bing webmaster tool me Verification wale page par aaye aur VERIFY button par click kar dijiye.Verify your blog in bing webmaster tool

Step- 5

Ab aap dekhenge ki aapki site verify ho chuki hai aur aap Bing webmaster tool ke dashboard me pahunch jayenge. Jaha par aap apni site ki submission information dekh sakte hai –

Bing webmaster tool Dashboard

Congratulation ! Ab aapka wordpress blog Bing webmaster tool me successfully submit ho chuka hai. Aur ab aapke blog ka content dhire – dhire kuchh dino me index hona start ho jayega.

Ise bhi padhiye : Apne Blog par Per day 500 Unique visitors kaise laye

Is tarah se ab mujhe lagta hai ki aapko achhe se maloom chal gaya hoga ki Yahoo/Bing Webmaster Tool Me WordPress Blog Kaise Submit Karte hai. Aur aapne yadi bataye gaye steps ko carefully follow kiya hoga to aapka blog bhi Bing webmaster tool me successfully add ho chuka hoga. Aapke blog ka content kitne time me index hone laga tha ye hame jarur bataye. Yadi free search engine submission se related koi problem ho to aap hamse comment ke madhyam se jarur puchhe, Ham aapko jaldi se jaldi jawab dene ki puri koshish karenge. Yadi ye tutorial aapko pasand aaya ho aur lagta ho ki kisi other person ki bhi help ho sakti hai to iske liye apne friends ke sath jarur share kijiye.

Share This Content :-
TwitterFacebookWhatsAppGoogle+Pin It

About Surendra Singh

Surendra Singh is Founder and Author of BlogLon. I am Full Time Blogger and having experience of 5 years in Blogging & SEO.

Comments

  1. Sumit Kumar Sharma says

    24/07/2016 at 2:23 pm

    hello sir maine apni wordpress site 3-4 din pahle google search console me submit ki hai but avi tak koi bhi post index nahi hui hai maine youst seo lpugin kiya hai.

    Reply
    • Surendra Singh says

      25/07/2016 at 1:00 am

      sumit aap thoda wait karo index hone lagegi.

      Reply
  2. rohaan says

    28/07/2016 at 2:54 pm

    hy surendra ji header me jo about us- privacy policy dock hai usko aapne kaise add kiya hai , code de sakte hai kya ?

    Reply
  3. Rishav Rai says

    29/07/2016 at 2:57 pm

    Hi Bro Meri bhi ek website hai aap ise Website ko Check kar ke btaiye kisa hai.

    Reply
  4. dr. solanki says

    11/10/2017 at 12:45 pm

    kya kisi prakar ka pesa dena padega, site add karane ke liya

    Reply
    • Surendra Singh says

      11/10/2017 at 3:35 pm

      Nahi, Ye sari cheeje free hai iska koi paisa nahi dena hota.

      Reply
  5. surya says

    06/07/2018 at 5:18 pm

    every thing is ok But i want yahoo and bing to crawl my web site evry day what to do for that? i am having WordPress website is there any plugin that i can use?

    Reply
    • Surendra Singh says

      06/07/2018 at 5:50 pm

      You can use yoast seo plugin for wordpress seo and submit your blog on search console and yahoo webmaster tools then your site start to crawling by Google and yahoo bots.

      Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Search Topic Here

Join Also 6,814 Bloggers

Facebook
Twitter
Instagram
Google+
YouTube
Subscriber

Hindi Me Online



Free Subscribe Here

HindiMeOnline

Free Subscribe Kare Aur Apne Email Par Internet Ki Latest Jankari Daily Paye

Copyright ©2019 · Hindi Me Online - All Rights Reserved ·
Contact US | About US | Sitemap | Disclaimer | Privacy Policy