• Home
  • Blogging
    • WordPress
    • Blogger
  • SEO
  • Paise Kamaye
  • Adsense
  • Affiliate Marketing
  • Social Media
  • Web Hosting
  • WordPress Settings

Hindi Me Online

HindiMeOnline | SEO | Make Money Online Ki Jankari Hindi Me

Apne Blog ke liye Facebook Page kaise banaye ?

05/07/2016 by Surendra Singh 8 Comments

Hello Dosto, Is post me Bloglon aapko batane ja raha hai ki Apne Blog ke liye Facebook Page kaise banate hai, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Youtube video ko good quality me kaise dekhte hai. Yadi aap ek website ya blog owner hai to ye post aapke liye bahut hi important sabit hogi, Kyonki is post me ham aapko batane wale hai ki how to create facebook page. Kya aapko maloom hai ki Fb page aapke blog ke liye kitna important hota hai to me aapko is bare me bhi is post me batane wala hu. Kuchh log mujhse lagatar puchh rahe the ki how to create a facebook page matlab Facebook page kaise banate hai. Isiliye maine socha kyo na is topic par ek post likhi jaye jisse sabhi logo ki help ho jayegi.

Apne Blog ke liye Facebook Page kaise banaye

Blog ke liye Facebook page kyo banaye ?

Jaisa ki ham sab jante hai ki Facebook world ka top most social media networking site hai jis par per day kai million users online rahte hai. Isliye yadi hame apne blog ke content ko share karne ke liye isse baghiya social media site ho hi nahi sakti.

Yadi aapko apne blog ko achhe se promote karna hai to aapko is site par apni site ko promote karna bahut hi fayedemand rahega. Aur jab aapko maloom chal hi gaya hai ki facebook par aap apne blog ka free promotion kar sakte hai to me aapko batana chahunga ki FB par account banane ke baad aap apne blog ya website ke liye page bhi bana sakte hai, aur apne blog ko ek achhe Brand ke roop me promote kar sakte hai.

Ise bhi padhiye : Blogger Blog me Stylish Label Widget kaise add kare

FB page banane se aap apne blog ko professional brand ke roop me show kar sakte hai jisse aapke readers bhi bahut achha effect padega aur vo aapke dwara provide kiye gaye contents par believe bhi karege. Isme sabse achhi baat ye hai ki is tarah se aap apne blog ya website ke social media visitors bhi increase kar sakte hai. To chaliye aage chalte hai aur jante hai ki how to create a page on facebook account.

Blog ya Website ke liye Facebook Page kaise banaye ?

Yadi aapko apne blog ke liye FB page create karna hai to aapko hamare dwara bataye gaye steps ko follow karna hoga –

Step – 1

  1. Apne Facebook account ko login kijiye aur upar ki taraf right side me ek Down arrow ke nisaan par click kare.
  2. Ab Create page par click kar de.create facebook page

Step – 2

Ab aapke samne ek new page open hoga jisme aapko page banane ke liye kuchh category show hongi –

Choose category to your page

Isme aap Brand or Product par click kijiye.

Step – 3

  1. Choose a category wale option me Website select kare.
  2. Brand or Product name wale field me apne FB page ka naam bhariye, jis naam se aapko page banana hai.
  3. Ab Get started par click kar dijiye.

Cetegory select kare

Step – 4

Ab aapke samne ek new page open hoga jisme niche likhi cheeje bharni hogi –

  1. Isme Facebook page ka description likhiye ki aapka page kis cheej ke bare me hai.
  2. Isme apne blog ya website ka link dal de.
  3. Isme aap apne page ke liye Custom URL set kare.
  4. Ab save info par click kar de.

FB page setup kare

Step – 5

Ab aapke samne fir se new page open hoga jisme apne fage ke liye profile picture add karni hogi –

  1. Upload from computer par click kariye.Upload from computer
  2. Ab apne computer me se us image ko select kare jise FB page ki profile pic banani hai.
  3. Ab open par click kijiye.Computer me se image select kare
  4. Ab Next par click kijiye.Profile picture save kare

Step – 6

Ab aapke samne fir new page open hoga-

  1. Isme aap Add to Favorites par click kar de.Add to favorites
  2. Ab Next par click kar de.Save add to fevorites

Step – 7

Ab aapko is step me kuchh jaruri settings karni hogi jaise kaun aapke page ko dekh aur like kare –

  1. Age me 13 select kar le.
  2. ab Save par click kar de.Preferred page audience

Congratulation ! Ab aapka Facebook Page banakar ready ho chuka hai jo is prakar dikhai dega –

FB page

Ise bhi padhiye : Blogger Blog me Feedburner Email Subscription Box kaise add kare

Ab aap achhe se samajh gaye honge ki Apne Blog ke liye Facebook Page kaise banate hai. Yadi how to make a facebook page post se related koi problem ya suggestion hai to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapko jaldi hi apna jawab dene ki koshish karenge. Yadi ye post aapko helpful lage to apne social media freinds ke saath jarur share kare.

Share This Content :-
TwitterFacebookWhatsAppGoogle+Pin It

About Surendra Singh

Surendra Singh is Founder and Author of BlogLon. I am Full Time Blogger and having experience of 5 years in Blogging & SEO.

Comments

  1. धीरेन्द्र राठौड़ says

    15/05/2017 at 7:18 am

    सुरेन्द्र भाई: ब्लॉगर ब्लॉग के लिए फेसबुक पेज बनाने पर पहले या बाद में कुछ पैसे लगतें हैं या फ्री है ? कृपया जानकारी दें।

    Reply
    • Surendra Singh says

      16/05/2017 at 12:00 pm

      Brother iske liye koi paisa nahi dena padta na hi pahle aur na hi baad me.

      Reply
      • Abhay singh says

        07/05/2020 at 11:17 pm

        Sir face book page me blog ko kaise add krte h

        Reply
  2. Dav says

    17/05/2017 at 5:10 pm

    facebook page ko verfiy kese kare?. please bataaye. Thanks

    Reply
    • Surendra Singh says

      19/05/2017 at 7:43 am

      Indian Facebook page ko verify karne ke liye koi process nahi hai abhi.

      Reply
  3. ashish says

    12/03/2018 at 12:56 am

    brand or product hi kyo chune

    Reply
    • Surendra Singh says

      12/03/2018 at 8:54 am

      Kyonki is category me website ka option Mil jata hai.

      Reply
  4. Pushpa says

    06/11/2020 at 4:14 pm

    sir apne bahut achchi post sheyar ki hai

    Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Search Topic Here

Join Also 6,814 Bloggers

Facebook
Twitter
Instagram
Google+
YouTube
Subscriber

Hindi Me Online



Free Subscribe Here

HindiMeOnline

Free Subscribe Kare Aur Apne Email Par Internet Ki Latest Jankari Daily Paye

Copyright ©2019 · Hindi Me Online - All Rights Reserved ·
Contact US | About US | Sitemap | Disclaimer | Privacy Policy