Hello Dosto, Bloglon.com aapko batane ja raha hai ki Blogger Blog Me 404 page not found Errors Kaise Fix Karte hai, Jabki maine pichhli post me aapko bataya tha ki Blogger Blog Me Custom Robots.txt Kaise Add Karte hai. Bahut sare aise Blogger hai jinhone apna blog Blogspot/Blogger platform par host kar rakha hai. Lekin kuchh logo ko 404 not found error ke bare me bilkul bhi maloom nahi hai aur na hi vo inhe fix karne ke bare me jante hai. Aisa sabhi ke sath hota hai kyonki blogging ko samajhne me bahut time lagta hai. Jab maine is field me kadam rakha tha tab me bhi is error ke bare me nahi janta tha. Isliye Jo newbies iske bare me nahi jante hai to koi baat nahi, Ham is post me aapko iske bare batayenge aur ise kaise apne blog se remove kiya jata hai ye bhi batayege.
404 page not found errors kya hai ?
Is tarah ke errors Hame batate hai ki koi page ya post search engine ne index kar rakhi thi vo ab aapki site me available nahi hai. Jiski vajah se server ki taraf se Page not found ka message milta hai. Aaj ke samay me every blog webmaster tools me submit hota hai jaha se hame is error 404 not found ki information milti hai.
Yadi ise ham sidhe sabdo me kahe to, Jab hamare blog par koi post published hoti hai aur kisi reason ki vajah se hame uske URL ko edit ya change karna padta hai ya fir kisi post ko delete karna padta hai aur vah post search engine me indexed hoti hai tab hame is error ko face karna padta hai.
404 page not found errors SEO par kya impact dalte hai ?
Yadi is error ke SEO par padne wale impact ki baat ki jaye to ye kuchh situations me aapke blog SEO par bura prabhav dalte hai aur kuchh situations me inka koi impact nahi padta hai.
Yadi aapke blog par pahle se koi post ya page published kiya hua hai aur vo google me index ho chuka hai aur fir aap usi post ko edite karte hai aur uska URL change kar dete hai tab aapko is error se samna karna padega. Yadi aap use fix nahi karnge to ye aapke blog SEO ke liye harmful hoga.
Yadi aap kisi published post ko delete kar dete hai aur use new related post par redirect set nahi karte hai tab bhi ye error aapke blog ki ranking par negative impact dalta hai. Isliye kabhi bhi hame is error ko normal nahi lena chahiye.
Ise bhi padhiye : Long tail keywords kaise khoje ? keyword research guide in Hindi
Yadi webmaster aapko is prakar ka koi error show karta hai jo content aapke blog par published nahi tab aisi situation me 404 not found errors blog ki rank aur SEO par negative impact nahi dalta hai. Kyonki search engine bot kabhi kabhi blog template ki files jaise java Scripts me di gayi coding ke hisab se kisi cheej ko URL ke roop me crawl kar leta hai jo kisi post ya page ke url ki hi tarah use samajh aata hai. Is tarah se ye error koi bhi wrong prabhav SEO par nahi dalta hai. Ise aapko bilkul normal lena chahiye aur use Webmaster tool me jakar fix par click karke errors list se remove kar dena chahiye.
Ab aapke mind me ek question jarur aaya hoga ki is tarah ke errors ka hame maloom kaise chalega ki hamare blog me kitne aur kaunse URL hai jo is tarah ke error ko produce kar rahe hai. To isliye me aapko batane ja raha hu ki inhe apne blog ke liye kaise check kiya ja sakta hai.
Google Search Console me 404 page not found errors kaise check kare
Yadi aapko apne blog ke liye is tarah ke errors ko check karna hai to aapka blog Google search console me submit hona jaruri hai. Yadi aapne abhi tak apna blog Webmaster tools me submit nahi kiya hai to is post ko follow kare –Submit Site To Google Search Console
Errors check karne ke liye Sabse pahle Google search console Dashboard me jaye aur apne blog par click kare.
- crawl par click kariye.
- Crawls errors par click kar dijiye.
- Ab Not Found par click kar ke error huye URL check kar sakte hai. achhe se samajhne ke liye screenshot dekhiye –
To is tarah se aapko maloom chal jayega ki aapke blog me kitne 404 page not found crawl errors hai.
Ab aapko maloom chal gaya hoga ki is tarah ke errors ko kis situation me kaise handle karna chahiye. To chaliye thoda aage badhte hai aur jante hai ki Yadi aap apne blog se koi post delete ya Url change kar dete hai tab hame use kaise new URL par redirect karna hai ya Blogger Me Error 404 Page Not Found Remove Kaise kar sakte hai.
Blogger Me 404 Page Not Found Error Kaise Redirect Kare ?
Yadi aapne google search console se maloom kar liya hai ki aapke blog me bhi 404 Page Not Found Error show ho rahe hai aur aap unhe fix karne ke liye niche diye gaye steps ko carefully follow kijiye –
Step – 1
Iske liye sabse pahle apne Blogger Dashboard ko Login kijiye.
- Settings par click kijiye.
- Search preference par click kariye.
- Custom Redirects ke samne Edit par click kar de.
Step – 2
Ab aapke samne redirect set karne ke liye option show hone lagenge.
- From wale field me old post ya page URL fill kare, Lekin full url nahi dalna hai sirf is tarah se old url fill kare jaise 2014/06/blogging-tutorial-guide.html
- To wale field me new post ya page ka URL fill kare, jaise 2016/07/best-blogging-tutorial.html
- Form wale check box ko check mark kare.
- Permanent ke samne wale check box ko check mark kare.
- Ab save changes par click kar dijiye.
Step – 3
Ab aap Google search console Crawl error wale page par jaye.
- Us URL ko select kare jise aapne redirect kar diya hai.
- MARK AS A FIXED par click kar de.
Congratulation ! ab aapka old post url new post url par successfully redirect ho chuka hai. Isi tarah jitne bhi search console me real post ya page url 404 page not found error ho un sabko one by one custom redirectsse redirect kar de aur search console me jakar mark as a fixed kar de.
Ise bhi padhiye : Blogger Menu bar me Links kaise add kare
To friends ab mujhe puri ummid hai ki aapko maloom chal gaya hoga ki Blogger Me Error 404 Page Not Found Redirect setup kaise kartte hai. Yadi aapko 404 error not found se related koi suggestion ho to hamare sath jarur share kare Ya fir koi problem face kar rahe ho to mujhse comment ke madhyam se puchh sakte hai ham aapko jaldi jawab dene ki puri koshish karenge. Yadi aapko ye tutorial helpful lage aur lagta hai ki isse other person ki bhi help ho sakti hai to apne friends ke sath jarur share kare.
rohaan says
Hello surendra ji achhi post hai.. Aapne sidebar border ke liye kaun sa code use kare hai bata sakte hai kya ??
Surendra Singh says
Thanks rohaan ji, I can not share anything regarding theme customization. Sorry for that.
md qureshi says
Sir maine apna blog blogger se wordpress par transfer kar liya hai lekin ek problem ho rahi hai google search me blog par click karne par 404 page not found error show kar raha hai is problem ko fix karne ke liye kya karu
Surendra Singh says
Dear md qureshi ji, Yadi aapka blog is situation se gujar raha hai to aapka migration sahi se nahi hua hai.
monakgo says
Hii Surender singh apki site bhut acchi hai and aap logo ke liye achi se achi information unke liye share karte hai. please check my blog. mujhe iska sitemap banane me some problems face krne pad rhe hai.. please check and help me…
Thanks
Surendra Singh says
Yadi aapko apni website ke liye sitemap banana hai to aap search console Wali post padhiye.
sanjay says
bhai maine apke code se custom page not found ki setting successfully kar liya hai aur abhi not found ke baad homepage me redirect bhi ho raha hai uske liye thankxx .
Lekin mera 1 sawal hai jabki maine wo setting kar li hai agar search console me mujhe koi 404 not found url milta hai to kya use one bye one new post ya kisi post me redirect karna jaruri hai jaisa apne is post me bataya hai.
Dono setting saath me karu to seo ke lie nuksaan to nahi hoga na .bhai detail me batana thoda confusn hai.
Surendra Singh says
Yadi search console me 404 not found errors kisi post par aa Rahe hai to uska ek ye reason hota hai ki aapne us post ka ya to permalink change Kiya hai ya fir puri post delete kar di hai. Is Tarah ke error ko theek karne ke liye aap us error wale url ko new post jo usse related ho us par redirect Set Kar de aur search console me mark as fixed Kar de.
Yadi aisa koi error hai jo aapki site me post pahle se nahi thi to use search console me mark as fixed Kar sakte hai.
Chetan says
Your using WordPress or blogspot
If you’re using blogspot then please tell which theme your using bro
Surendra Singh says
Me WordPress use karta hu aur me Riboon theme use kar raha hu.
homlal dhimar says
Sir Maine WordPress me blog banaya hai 25 post bhi kiye hai lekin 2 din se problem aa rahi hai
SERVER ERROR
file directory not found
Please help
Surendra Singh says
Aapne jo URL diya hai vo sahi work kar raha hai aapka blog open ho raha hai.
ANIRUDDHA CHOUDHURY says
hindi blogger community me ek aap, jumedin aur rohit bhai.. puree research ke sath likhte ho… well explained
Sachin Agarwal says
Sir Aapne yeh Blogger ki setting batayi !! Ab jo word press use karte hai , Jaise ki Mai use karta hun word press to mai apni settings check kar raha tha par mujhe aise options nahi mile to kya aap wordpress ki settings bata sakte ho ki wahan kaise 404 errors k liye setting ki jaye !!
Dusri baat maine kuchh post like aur un par tag add kiye par no index karna bhul gaya ab kayi category , tag , archives k pages ban gaye jo siteliner ki website par as duplicate content bata rahe hai .. Kya karu help kar dijiye . I am regular reader of your blog !!
Surendra Singh says
wordpress ke liye ise padhiye http://www.bloglon.com/wordpress-blog-fix-404-not-found-error/
Category aur tag ko Yoast SEO plugin se no index karte hai jyada jankari ke liye ise padhiye http://www.bloglon.com/wordpress-yoast-seo-plugin-settings/
Afreen says
Mere Search console me kafi samye se yah samasya thi joki ab solve ho chuki hai. ise share karne ke liye thank you………..
Mahjabeen says
Sir, jankari share karne ke liye thank you so much.
Mandar says
Sir..meri site par 404 error aa rha hai..open karne ke baad..but seach console me check kiya to No errors bata rha hai..
Surendra Singh says
Aapka blog open to ho raha hai lekin sora template ki website par redirect ho raha hai isliye aap theme change Kar dijiye.
ashik pathan says
thanks you very much