Hello Friends, Is post me ham aapko batane ja rahe hai ki Blogger Blog Me Custom Robots.txt Kaise Add Karte hai, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Blogger Blog me Custom Domain kaise Set karte hai. Yadi aap blogging ke field me new hai to sayad aapko iske bare me maloom nahi hoga, kyonki yah advanced setting hoti hai blogger seo ke liye. Kuchh logo ne mujhse sawal kiye the iske bare me ki ham apne bloggr/blogspot blog ke liye kis tarah ki Robots.txt file create karu jisse hamare blog ka seo optimization aur jyada behtar ho jaye. Isliye is post ka maksad sirf yahi hai ki aapko Blogger SEO ke important part robots.txt ke bare me bataya jaye jisse aap apne blog ko achhe se search engine friendly bana sake.
Blogger SEO ke liye Custom Robots.txt kyo important hai ?
Yadi aapke blog me ye option use nahi kiya gaya hai, matlab aapne apne blog me robots.txt add nahi kiya hai to ye aapke blog ke SEO ke liye thodi kamjori hogi. Kyonki Search engine hamesha is tarah ke blogs ko fully crawl karta hai jisme use scan karne me bhi kafi time lagta hai aur jab tak google aapke content ko scane karta hai tab tak other blogs ke content ko vo aapke blog se pahle scan kar leta hai jisse aapki site ki traffic rank par bahut hi negative impact padta hai kyonki other bloggers ne apne blog par robots.txt file add kar rakhi hoti hai jisse unka blog jaldi scan ho jata hai aur aapke blog se pahle render hone ki vajah se search result me others blog ki post aapse upar aati hai.
Ise bhi padhiye : Blog me Stylish Label Widget kaise add kare
Custom Robots.txt kis tarah work karta hai ?
Vaise ek pichhli post me bata chuka hu ki ye blog me kis tarah kaam karta hai lekin short me yaha par bhi ham aap sabko batana chahunga ki robots.txt ek code hota hai jise ham apne blog me add karke search engine ko un rules ko follow karne ke liye bolte hai.
Usme ham coding ke dwara is tarah ke rules set karte hai jisse search engine ko maloom rahta hai ki is blog ke kis content ko hame scan karna hai aur kise nahi karna hai.
Custom robots.txt ke dwara ham apne blog ke koi bhi content jaise post, page etc ko search engine me index hone se rok dete hai. Jaise yadi aapka koi special page hai aur aap chahte hai ki google keval us page ko crawl na kare to iske liye ham robots.txt file ka upyog karte hai. Isme ham sirf un contents ko allow karte hai jo hamari site ke liye SEO lihaj se achhe hote hai aur kuchh kamjor SEO wale page jaise Contact us, any private page etc, Is tarah ke pages ko ham iski madad se asani se DisAllow kar sakte hai.
Blogger Blog ke liye Robots.txt kaise banaye ?
Yadi aapko apne blogspot blog ke liye yah file banani hai to iske liye me aapko ek code batane ja raha hu jisko use karke asani se apne blog ke SEO ko achha kar sakte hai –
User-agent: * Disallow: /search Allow: / Sitemap: http://yourblog.blogspot.com/atom.xml?redirect=false&start-index=1&max-results=500
Important Note – Line no. 4 me jo http://yourblog.blogspot.com likha hai iski jagah apna blog adress (URL) jarur dale.
To chaliye Ab aapke blog ke liye robots.txt file ready hai ab agge badhte hai aur jante hai ki Blog Me Custom Robots.txt Kaise use Karte hai.
Blog Me Custom Robots.txt file Kaise add Kare ?
Jaisa ki me upar bhi bata chuka hu ki yah ek advanced SEO ka option hai yadi aapne isme kuchh bhi galti kar di to aapka blog search engine se remove ho sakta hai. Lekin aapko ise use karna chahiye. Iske liye aapko darne ki bilkul bhi jarurat nahi hai, Aapko keval mere dwara bataye gaye steps ko carefully follow karna hoga. To chaliye start karte hai –
Step – 1
Sabse pahle apne Blogger Dashboard ko login kare.
Step – 2
- Settings par click kijiye.
- Search Preferences par click kare.
- Custom robots.txt ke samne edit par click kariye.
Step – 3
- Enable custom robots.txt content? ke samne Yes wale radio button par click kar de.
- Ab aapke samne ek blank box open ho jayega jisme aapko Robots.txt code fill karna hoga. Iske liye upar diya gaya code copy karke Box me paste kar dijiye.
- Save changes par click kar dijiye.
Custom Robots.txt se kisi page ya post ko search engine me kaise block Kare ?
Jaisa ki ham sab jante hai ki robots.txt ka main matlab yahi hota hai ki ham kisi bhi page ya post ko search engine me index na ho isliye iske help se block kar sakte hai.
Yadi aapke blog me koi aisa page ya post hai jise aap search result me show nahi karwana chahte hai to aap asani se us post ke URL ko Disallow ka rule set karke search engine ko crawl karne se rok sakte hai.
Example – Man lo aapke blog me contact us ka page hai aur use aap search result me show nahi karwana chahte hai to aapka robots.txt code kuchh is tarah an jayega –
User-agent: *
Disallow: /search
Disallow: /p/contact-us.html
Allow: /
Sitemap: http://yourblog.blogspot.com/atom.xml?redirect=false&start-index=1&max-results=500
Isi tarah aap apne blog ki post ko bhi block kar sakte hai jaise page ke URL ko Disallow kiya theek vaise hi post ke URL ko bhi block kar sakte hai.
Ise bhi padhiye : How to create Sitemap ?
To ab me samajh sakta hu ki aapko achhe se samajh aa gaya hoga ki Blogger Blog Me Custom Robots.txt Kaise Add Karte hai. Yadi aap koi other prakar ki robots.txt file apne blog me use kar rahe hai to aap hame bhi bataye. Yadi aapko Blogger me robots.txt file kaise add kare is tutorial ke bare me kuchh confusion ya suggestion hai to aap hame comments ke madhyam se jarur bataye. Aur yadi yadi ye post aapke liye helpful rahi ho to aap apne friends ke sath jarur share kare.
Vijay Panara says
Robots text ke achi post share kiya hai aap ne kafi acha laga padh kar maine jub blogging start kiya to robot text msi problem huvi thi lekin sikh jane ke baad esay laga hai ye
Gaindlal Sahu says
Sir…
mere blog ki traffice increase nhi ho rhi hai,
koi achche sa tips do jisse jldi increase ho.
Surendra Singh says
Dear Hain dalal sahu ji, aap apne article me long tail keywords instigation kijiye. iske liye aap ise padhiye http://www.bloglon.com/keywords-kaise-use-kare-seo-tips/
Ashok Kumar Sonawat says
Hi Surendra,
Agar hum custom domain name blogspot par use kare to sitemap: ke aage kya code hoga… yani ki hame .blogspot use karna padega ya nahi…
Surendra Singh says
Ashok bhai, yadi aapne custom domain lagaya huya hai to uski sitemap ke aage custom domain hi rahega blogspot domain nahi, lekin dhyan Rahe yadi aapne pahle blogspot Wali site webmaster me add ki hai aur sitemap bhi blogger wali submit ki huyi hai to use delete nahi karna hai balki webmaster me custom domain add karna hai aur custom domain wali sitemap bhi, Matlab blogspot aur custom domain dono search console me add hona chahiye aur sitemap bhi, kisi ko delete nahi karna hai.
Tech To Hindi says
Aap blog Subscribe ke kya use kar rahe hai
Surendra Singh says
Me Feedburner Use karta hu.
dharm says
sir mughe kisi ek page ko google par show nhi karna hai matlab vo pahle wala hai yani blogspot prperty wala or usse hatana hai kese hatau
Surendra Singh says
Yadi aap blog ke kisi bhi page ya post ko Google search se remove karna chahte hai to sabse pahle use edit karke noindex kijiye fir use search console me remove url features se remove Kar dijiye, ise kaise Karte hai iske bare me post dali hui hai use padh sakte hai.
dharm says
sir lekin vo post to pahle se hi delete ho gyi he ab usse google par se permanent delete kaise karu matlab vo post mere blogger me nhi hai ab me kya karu
Surendra Singh says
Iske liye search console me remove url tool se Un urls ko one by one remove karne ke liye submit Kar dijiye.
tariq says
Hi sir ,
1)Maine domain set kar liya hai to sitemap link kaise add kare ?
2)Sitemap 7 post k liye bana sakte hai aur kitne baar bana sakte hai xml ditmap.com par
Surendra Singh says
Aap sitemap banane ke liye ise padhiye http://www.bloglon.com/search-console-blogger-sitemap-submit/
vijendra rajput says
Sir blog ko uc news me sumbit karne se phayda hoga ya nuksan isse adsense me koi problem to nahi aati hai
Surendra Singh says
Na koi Fayda hoga aur na hi koi loss hoga
MITHUN KUMAR says
7 post submitted and 5 post index use made solve kare
Surendra Singh says
Index hone me time lagta hai isliye wait kijiye.
gagan raypariya says
sir mene custom domain use kar rha hu to aapne jo url change karne ko bola wha custom domain url likhu ya blogspot url likhu please reply kijiye sir
Surendra Singh says
Aap custom domain use Kar Rahe hai to use hi dalna hai, Blogspot url nahi dalna hai.
Mohammad Mustufa says
kya is code se media partner bhi allow ho jayega ?