Hello Friends, Jaisa ki ham sab jante hai ki Blogging field me day by day competition increase hota ja raha hai. Jinme kuchh Blogger aise bhi hote hai jinhe blogging ki jankari achhe se nahi hoti hai aur backlink banane ke liye ek hi din me kai saare blogs par no-value comments karte rahte hai aur jaldi apne blog ko popular banane ki sochte hai. Jiski vajah se vo short comments karte hai jaise “Thanks”, “Awesome post”, “Nice article” etc. Is tarah ki comment kisi bhi blog ke liye valuable bilkul nahi hoti hai. Kuchh comments post related ya niche related bhi nahi hoti jinhe publish karne se hamesha bachna chahiye. Kyonki is tarah ki comments, Spam comments hoti hai. Inhe publish karne par aapka blog spam ho sakta hai aur search engine se remove ho sakta hai. Isliye aapko bhi apne blogspot Blog par Comment policy use karna chahiye.
Blog Comment policy kya hai ? (What is Comment policy)
Jab ham apne blog par content post karte hai aur uc content ke bare me comment ke madhyam se discussion karte hai, Matlab koi bhi reader content ke bare me kuchh puchhta hai ya apna suggestion deta hai to un readers ke liye jo rules banaye jate hai discussion ke liye use comment policy kahte hai. jisse aapke readers aapke blog ke content par apne thoughts dene se pahle samajh sake ki hame kya kya chhut di gayi hai aur kya kya restriction hai.
Ise bhi padhiye : Bing Webmaster Tools Me Geo-Targeting Kaise Set Kare
Vaise comment policy jyadatar wordpress blogs par use kiya jata hai lekin ab ham ise apne blogspot ya blogger blogs par bhi use kar sakte hai. Yadi aapka koi blogger blog hai to aap ise jarur add kare, Kyonki isse aapke blog par kuchh positive impact padte hai. Matlab isse aapke blog ko necessary profits hote hai, Jinke bare me aapko aage batane wala hu. To aaiye aapko batate hai ki comment policy message add karne se kya fayede hote hai.
Blog Me Comment Policy kyo add kare ?
Maine aisa bahut baar dekha hai ki kuchh commenters comment box me sirf kuchh words likhkar post kar dete hai jaise “Wow ! …..Nice post”, “Amazing article….” ya “Thanks admin nice post” etc. Is tarah ki comments yadi koi apne blog par publish karta hai to uske blog ka SEO bahut hi bade khatre me hota hai. Kyonki is tarah ki comments blog content ke liye kisi tarah se valuable nahi hoti. Isse aapka blog, spam comments ka ek bahut bada bhandaar ban jata hai. To Comment Moderation policy ka yahi profit hota hai ki isse commenters ko maloom chal jata hai ki aapke blog par kis tarah ki comment publish nahi ki jayengi. Is tarah se aap apne blog par spam comments reduce (kam) kar sakte hai.
Ise bhi padhiye : Blogspot Blog Me 404 Page Not Found Errors Kaise theek Kare
Ab mujhe lagta hai ki aapko achhe se maloom chal gaya hoga ki kisi bhi blog ke liye comment policy message ko add karna kitna important hota hai. To chaliye ab ham aapko batate hai ki how to add comment policy message for blogger blogs.
Blogspot Blog me Comment Policy Message kaise add kare ?
Yadi aap apne blogger/blogspot blog me commenters ke liye policy message add karna chahte hai to is Video Tutorial ko watch kare –
Ise jarur padhiye : Kharab Internet speed par best Quality me Youtube Video kaise dekhe
Yadi aap Video nahi dekhna chahte hai to aap hamare dwara bataye gaye Steps ko follow kijiye –
Sabse pahle apne Blogger Dashboard ko login kariye.
Step – 1
- Settings par click kijiye.
- Posts, comments and sharing par click kijiye.
- Ab Comment Form Message ke samne Add option par click kariye.
Step – 2
- Ab aapke samne ek blank Box open hoga usme comments rules ki list banakar kar likh de. Example ke liye meri comment policy ko dekh sakte hai.
- Save settings par click kar de.
Congratulation ! Ab aapke blogger blog me Comment policy rules successfully add ho gaye hai. Ab aap check karne ke liye apne blog ki koi bhi post open kijiye aur scroll down karte huye comment section me dekhiye aapko Comment policy message appear hota hua dikhega.
Extra Tips : Aapne kai baar dekha hoga ki kuchh log blogging ko ek aisa way samajhte hai jiske madhyam se vo quick money earn kar sakte hai. Aur usi jaldbaji me apne blog ko jaldi popular karne ke liye spam comments karte hai aur sochte hai ki mujhe backlink mil jayegi.
Lekin kuchh blogs se mil bhi jati hai kyonki sayad us Blogger ko spam comments ke bare me jyada knowledge nahi hota hai. Aur vo is tarah ki comments ko apne blogs par published karke bahut khush hote huye sochte hai ki kisi visitors ne blog par comments kiya. Lekin me aapko recommend karunga ki is tarah ki comments ko blog address ke sath publish na kare otherwise aapke blog ka SEO bahut jyada harm hoga.
Ise bhi padhiye : Blogspot Blog Ka Content Copy Hone Se Kaise Bachaye
Ab Mujhe ummid hai ki aapko achhi tarah se samajh me aa gaya hoga ki Blogger Blog me Comment Policy Message Kaise enable karte hai. Yadi comment policy message se related koi problem ya suggestion ho to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapko jaldi jabab dene ki puri koshish karenge. Yadi is post se aapki help huyi ho aur aapko lagta hai ki isse kisi aur Blogger ki help ho sakti hai to ise social media freinds ke saath jaroor share kare.
Aayush Upadhyay says
Very nice article.
Sir, kya Koi aisi website hai, jispar free domain mil sake, lifetime ke liye?
Surendra Singh says
Aayush Ji, domain free me nahi milte purchase karne padte hai. Vaise .tk TLDS ka domain free Mil jata hai lekin is domain ki value search engine me kuchh bhi nhi hai. Isliye godaddy se domain kharid lijiye. Keep visiting on bloglon.