Namaskar Dosto, Is post me Bloglon.com aapko batane ja raha hai ki Bing Webmaster Tools Me Geo-Targeting Kaise set Karte hai, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Bing Webmaster Tool Me WordPress Blog Kaise Submit Karte hai. Jaisa ki ham sab jante hai ki Google ke baad Bing hi sabse bada second search engine hai. Jiske dwara hamari sites par traffic aata hai jise organic traffic kahte hai. Yadi aapko maloom ho to kisi bhi Blog ya website ke liye organic traffic hi sabse jyada important hota hai. Isliye aaj ki is post me ham aapko Bing webmaster me search console ki hi tarah geographic targeting Country set karne ke bare me batane wale hai. Iske dwara aap apne blog ke organic tarffic ke liye kisi specific country ko aasani se target kar sakte hai.
Bing Webmaster Tools me Geo-Targeting kya hai ?
Ise ham geographic targeting kahte hai. Is feature ke dwara ham apne blog ya website ke liye kisi search engine me kisi ek country ko target kar sakte hai. Isi tarah ka feature Google webmaster Tools (GWT) me bhi aapne use kiya hoga aur ab aapko Bing me bhi usi country ko target karna chahiye jis country ko aapne search console me kiya hua hai.
Yadi aap is feature ko use nahi kar rahe hai to aapke blog ke SEO ke hisab se thodi si kami yahi hogi. Iske dwara aap apne blog ko search engine me boost kar sakte hai. Geo-Targeting local business ke liye bahut profit wala option hota hai. Iske dwara aap local search me apni website ki priority increase kar sakte hai. Is settings ke dwara search engine ko bata sakte hai ki hamari site ko kis country me search result me show karna hai. Chalo ab ham thoda sa website geo targeting country se hone wale fayde ke bare me bhi jaan lete hai.
Bing Webmaster Tools me Geo-Targeting ke kya fayede hai (profit)
Yadi aapka hindi blog ya site hai to common si baat hai ki aapki site ka content hindi languge me hai to hindi read karne wale hi aapke blog par visitors visit karte honge. Aur ham jante hai ki Hindi language sirf India me samajhi jane wali bhasha hai. Matlab aapka traffic sabse jyada india se hi aayega. To is tarah ki site par ham Geo-Targeting option ka advantage lekar apne blog ke search appearing ko aur jyada powerful bana sakte hai. Matlab is feature ko use karne par aap apni country se high traffic prapt kar sakte hai vo bhi kam samay me.
Ise bhi Padhiye : Keywords research kaise kare ? Step by step Guide in Hindi
Yadi aapka blog English language me hai to aap USA country ko target kar sakte hai jisse jyada se jyada traffic aapke blog par USA se hi aaye. Ham jante hai ki yadi hamare paas USA ka traffic hoga to ham apne blog se bahut hi achhi income earn kar sakte hai, Chahe aap adsense use karte ho ya Affiliated marketing ya fir dono.
Geo-Targeting ka sabse bada proffit ye hai ki ise set karne par aapke blog ya website ki Rank bahut hi kam samay me bahut achhi ho jati hai. Matlab is tarah se aapke blog ke success hone ke chances bahut jyada had tak badh jate hai. Ye SEO ka hi ek chhota sa part hota hai jise hame apne audience ke hisab se use karna chahiye. To chaliye ab aap bhi apne blog ke liye Geo-Targeting set karne ke liye soch rahe honge. Lekin me aapko ise set karne ke bare me batau usse pahle ham ye jan lete hai ki iske liye kya requirement hoti hai.
Geo-Targeting ke liye kya kya requirements hoti hai ?
Yadi aap apni website ke liye Bing Webmaster Tools ka ye feature use karna chahte hai to aapke blog ya site ka top lavel domain hona chahiye jaise .com, .net ya .org etc. Yadi aap apne blog par top-level-domain use kar rahe hai to aap geographic targeting Country set kar sakte hai.
Ise bhi Padhiye : Submit Site To Google Search Console, Step by step Guide in Hindi
Yadi aapke blog ka domain .in, .pk ya .us etc hai to aap is feature ko use nahi kar sakte hai. Kyonki is tarah ke domain country specific domain kahlate hai, extension ke hisab se kisi ek country ke liye pahle se hi targeted hote hai. Is tarah ke domain wale blog jaldi rank kar jate hai aur ye Webmaster tool me Geo-Targeting option ko use karne ke liye eligible nahi hote. Ab chalo aage badhte hai aur jante hai ki apne blog ke liye Bing webmaster tools me target country kaise set karte hai.
Bing webmaster tools me Geo-Targeting kaise set kare ?
Yadi aap apne blog ya website ko Bing search engine me target country set karna chahte hai to is complete video tutorial ko watch kijiye –
Ise jarur padhe : Slow Internet speed par Achhi Quality me Youtube Video kaise dekhe
Yadi aap Video tutorial nahi dekhna chahte hai to mere dwara bataye gaye steps ko follow kijiye –
Step – 1
- Sabse pahle Bing webmaster tools ko Login kijiye.
- Jis site ko target country set karna hai us par click kijiye.
Step – 2
- Configure my site par click kijiye.
- Geo-Targeting par click kariye.
- Domain select kare.
- Country/Region me Jis country ke visitor ko target karna hai us country ka naam select kare. Mera traffic India se aata hai to maine India select kiya hai.
- SUBMIT par click kar de.
Congratulation ! Ab aapka blog specific country ke liye target ho chuka hai. Ab aapko kuchh is tarah information show hogi –
Ise bhi Padhiye : Yandex Webmaster Tools me Blog Kaise Add Kare
Is tarah se ab mujhe ummid hai ki aapko achhe se maloom chal gaya hoga ki Bing Webmaster Tool Me Targetd country kaise set Karte hai. Aur yadi aapne bataye gaye steps ko carefully follow kiya hoga to aapka blog bhi Geo-Targeting me successfully add ho chuka hoga. Aapke blog par kis country ka traffic jyada aata hai ye hame jarur bataye. Yadi Geographic Target Setup Guide se related koi problem ho to aap hamse comment ke madhyam se jarur puchhe, Ham aapko jaldi se jaldi jawab dene ki puri koshish karenge. Yadi ye tutorial aapke liye helpful raha ho aur lagta ho ki kisi other Blogger ki bhi isse help ho sakti hai to apne friends ke sath jarur share kijiye.
Nice Post bro..Thanks for sharing
Hello sir
Aapse mera ek sawal hai ki aapne font style kaise change ki hai plz sir bata sakte hai.
aap jo theme use kar rahe hai mai bhi vahi kar raha hu lekin meri post ke words bahut chote show hai plz sir solution bataye.
Aap font size change karne ke liye Appearance par jaye aur Editor par click kijiye fir aapke samne theme files open ho jayengi, Style.css file ko open kijiye aur “body {” ise search kijiye isme Font size 14px ki jagah 16px ya apne hisab se kam jyada kar de. “.post-single-content {
font-size: 14px;” men bhi 14px ki jagah apne hisab se value set kar de.