Namaskar Dosto, Is post me Bloglon.com aapko batane ja raha hai ki Facebook Page Par Auto Reply Message Kaise Enable Karte hai, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Apne Blog ke liye Facebook Page kaise banate hai. Jaisa ki ham sab jante hai ki FB par bahut sare users online rahte hai aur yadi aap apne Blog ko achhe se promote karna chahte hai to ye platform free promotion ke liye sabse best mana jata hai. Lekin iske liye aapko apne Facebook page ke liye kuchh jaruri tasks karne honge jisse aapka page achhe se manage rahe aur users friendly rahe. Isliye is post me aapko batane wala hu ki apne FB page me best auto reply messages kaise set kar sakte hai. Yadi aap real me apne page ko achhe se manage karna chahte hai to bane rahiye hamare sath.
Facebook Page Par Auto Reply Message Enable kyo kare ?
Vaise me aako upar bhi yahi baat bata chuka hu ki yadi aapke paas apna FB page bana hua hai to aapko us par aapke readers aapse contact karna chahte honge lekin aapke page me messaging feature enable na hone ke karan vo aapse contact nahi kar sakte aur na hi koi message send kar sakte hai.
Yadi aap apne Facebook page me ye option enabel kar denge to jab koi user aapse contact karne ki koshish karega aur aapko message send karna chahega to vo asani se apni baat aap tak pahuncha payega.
Ise bhi padhiye: Blogger Blog me Custom Domain kaise Set kare
To is tarah se aap samajh gaye honge ki ye feature apne facebook page me enable karna kitna jaruri hota hai. To ab chaliye aage chalte hai aur jante hai ki ise apne page me kaise chalu karte hai.
Facebook Page Par Auto Reply Message Kaise active kare ?
Yadi aap apne page me Auto Reply Message enable karna chahte hai to aapko me kuchh steps batane ja raha hu jinhe aapko carefully follow karna hoga –
Step – 1
Iske liye sabse pahle apne Facebook Page ko open kariye.
Step – 2
- Ab Settings par click kariye.
- Ab Messages ke samne Edit par click kariye.
- Allow people to contact my Page privately by showing the Message button ke samne wale box ko check mark kijiye.
- Ab save par click kar dijiye.
To ab aapke page me ye feature to enabel ho gaya hai matalab jab koi user aapke page par aapse contact karne ke liye message send karega to aapko maloom chal jayega ki koi aapse baat karna chahta hai. Lekin ham sab jante hai ki ham apne FB page par unke jawab dene ke liye 24 hours to online rah nahi sakte hai. To aisi situation me yadi koi user aapke page par aapse contact karta hai aur us samay aap online nahi hote hai to vo thoda nirash mahshoosh karega. Isliye is problem se chhutkara pane ke liye ham apne page me auto reply message enabel kar dete hai jo ek auto responder ki tarah kaam karta hai.
Ise bhi padhiye : Powered by Blogger Attribution sahi tarike se kaise Remove kare
Yadi aap Auto Reply Message set kar denge to jis time aap online nahi honge aur koi aapse contact karke baat karna chahega to is option ki help se aapke dwara configure kiya gaya message automatically us user ko mil jayega jisse use aisa nahi lagega ki is page ka admin active nahi hai. aur us message ko follow karega jo aapne auto reply me set kiya hua hoga. To chaliye aage badhte hai aur jante hai ki apne how to set Auto Reply Message on Facebook page.
Facebook page me Auto Reply Message kaise set kare ?
Apne page me Auto Reply Message configure karne ke liye aap hamare dwara bataye gaye steps ko follow kijiye –
Step – 1
Apne Facebook Page ko open kijiye.
Step – 2
- Ab Settings par click kijiye.
- Iske baad Messaging par click kariye.
- Ab Response Assistant ke samne Jump to Section par click kariye.
Step – 3
Ab aap Response Assistant field me pahunch jayenge jaha aapko kuchh settings karni hongi –
- Send Instant Replies to anyone who messages your Page le samne wale button par click karke Yes kar de.
- Ab uske niche Change button par click kar dijiye.
Step – 4
- Your Instant Reply field me apna Custom message likhe jise aap kisi user ke contact karne par automatically send karna chahte ho.
- Save par click kare.
Congratulation Ab aapke Facebook page par Auto Reply Message successfully set ho chuka hai. Ab yadi koi user aapke FB page par message karega to use ek reply me message automatically send ho jayega jo aapne abhi abhi message set kiya hai.
Ise bhi padhiye: Blogspot Blog me Labels kaise banaye
Mujhe ummid hai ki aapko ab achhi tarah se maloom chal gaya hoga ki Facebook Page Par Auto Reply Message Kaise Enable Karte hai. Yadi reply message se related koi problem ya suggestion ho to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapko apki comment ka jabab jaldi dene ki koshish karenge. Yadi ye post aapko helpful lage to social media freinds ke saath jarur share kare.
Tushar Chauhan says
ye mujhe bilkul nahi pta tha. mujhe batane ke liye apka dhanyabad.
Mayaprakash Pant says
Mujhe ye information accha laga. It is very useful. Thank you for sharing this. Kavi mere website me SEO tips k liye aaza na.
Pappu Dikhit says
nice info Dear SURENDRA KEEP IT UP .
I LEARNT SOMTHING NEW