Hello Friends, Is post me ham aapko batane ja rahe hai ki Facebook Page Role Kya hai aur Facebook Page Roles Kaise Use Kare, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Facebook Page Par Auto Reply Message Kaise Enable Karte hai. Yadi aap ek Blogger hai to aapko to maloom hi hoga ki Facebook page hamare blog ya website ke liye kitna important hota hai. Lekin jab hamare paas work load jyada ho jata hai to hame apne kisi friends ya other person ki bhi help leni padti hai. Social media promotion ko aur jyada achhe se karne ke liye hame apne Facebook page par ek se jyada logo ko Admin, Editor, Moderator, Advertiser, Advertiser Analyst banana padta hai. Isse main admin par social media ka work load kafi had tak reduce ho jata hai.
What are the different Page roles ( Facebook Page role kya hai ) ?
Yadi aap apne FB page par kisi ko contributor banana chahte hai to aap use page roles ke hisab se use page contribute karne ke liye use uska role de sakte hai. Matlab aap use apne page par kya kya karne ki permission dena chahte hai us hisab se page roles diya jata hai. vaise me aapko kafi kuchh batane wala hu ki aap apne page par kya kya roles ke liye kis tarah ki permission de sakte hai. To aaiye jante hai un different Page roles ke bare me ki vo kis tarah ki facebook page par access karne permission dete hai roles ke hisab se.
Facebook page Role me Admin role kya hai ?
Yadi aap apne page par kisi ko admin role dete hai, Matlab kisi ko admin bante hai to vo aapke page ke sath kuchh bhi kar sakta hai. Yadi me sidhe sabdo me kahu to uska aapke page par pura control ho jata hai.
- Admin, page roles ko manage kar sakta hai aur settings bhi kar sakta hai. Kisi role ko add aur remove bhi kar sakta hai.
- Page edit kar sakta hai aur koi apps bhi page me add kar sakta hai.
- As a page koi bhi post delete kar sakta hai aur kuchh bhi post bhi kar sakta hai.
- As a page kisi ko bhi message send kar sakta hai.
- Kisi bhi comment ko delete kar sakta hai aur kisi post par as a page comments bhi kar sakta hai.
- Kisi bhi person ko page se remove kar sakta hai aur ban bhi kar sakta hai.
- Page ke liye ads bhi create kar sakta hai.
- View insights feature ka use kar sakta hai.
- Admin, As a page ye check kar sakta hai ki kisne kya published kiya hai.
Facebook page Role me Editor role kya hai ?
Yadi aap kisi friend ko apne page par Editor banayenge to vo aapke page ko edit kar sakta aur koi apps bhi add kar sakta. Vo aapke page par kuchh bhi post kar sakta hai aur kisi bhi post ko delete bhi kar sakta hai. Page ke dwara kisi ko bhi message send kar sakta hai.
Editor, Page ki settings nahi kar sakta aur na hi kisi ko koi role provide kar sakta. Lekin baki sab kuchh kar sakta hai page managing aur settings ko chhodkar.
Ise bhi padhiye : Apne Blog ke liye Facebook Page kaise banaye ?
Facebook page Role me Moderator role kya hai ?
Yadi aap apne page par kisi friends ko Moderator ka role provide karte hai, matlab Moderator banate hai to vo jo kar sakta hai vo ye hai –
- Ye role wala user aapke page ko manage nahi kar sakta, Na kisi ko add aur remove kar sakta hai page se aur nahi kisi tarah ki settings kar sakta hai.
- Ye page ko edit nahi kar sakta aur nahi kisi prakar ke apps ko add aur remove kar sakta hai.
- Ye page par koi bhi post delete nahi kar sakta aur nahi kuchh post kar sakta hai. Baki feature use karne ke liye Moderator ke paas permission hoti hai.
Facebook page Role me Advertiser role kya hai ?
Yadi aap kisi bhi person ko apne FB page par Advertiser ka role provide karte hai to –
- Vo aapke page ke liye ads create kar sakta hai.
- View insights feature ka use kar sakta hai.
- As a page kisne kya publish kiya hai ye bhi dekhne ki permission uske paas hoti hai. Inke alawa koi bhi option ye use nahi kar sakta.
Facebook page Role me Analyst role kya hai ?
Yadi aap kisi ko Analyst ka role apne page par dete hai to jo feature vo use kar sakta hai vo is prakar hai –
- View insights feature ko use karne ki permission Analyst ke paas hoti hai.
- As a page vo ye bhi dekh sakta hai ki kisne kya publish kiya hai. Iske alawa koi bhi feature ko access karne ki permission iske paas nahi hoti hai.
To ab aap achhi tarah se samajh gaye honge ki Facebook page role kya hai aur unhe kis tarah ki permission hoti hai feature access karne ke liye. Chalo aage chalte hai aur jante hai ki how to add admin in facebook page.
Facebook Page Role se Admin kaise add kare ?
Yadi aapko apne FB page me kisi friends ko admin banana hai to iske liye me kuchh steps batane wala hu jinhe aapko follow karna hoga –
Step – 1
- Apne Facebook Account ko login kijiye.
- Ab apne Facebook page ko open kar lijiye.
Step – 2
- Ab right hand side upar ki taraf settings par click kijiye.
- Ab left side me Page Roles par click kijiye.
Step – 3
Ab aapke samne ek new page open hoga jisme Facebook page role ki settings karni hogi –
- Type a name or email wale filed me jise role dena hai uska naam dale ya email id dale fir Fb aapke dale huye naam se jitne friends honge unhe dikhayega usme se jise add karna hai use select kar le.
- Editor par click kare.
- Friends ko kis tarah ka role dena hai matlab apne FB page par us friends ko kya banana hai jaise Admin, Moderator, Advertiser, Analyst use check marck kar de. Yadi Admin banana hai to admin par click karke check mark kar de ya fir other role de sakte hai isi tarah se.
- Save button par click karke save kar dijiye.
Congratulation ! ab aapne apne page par apne friends ko successfully Facebook page role provide kar diya hai. Is tarah se aapko aachhi tarah se samajh aa gaya hoga ki how to add admin on facebook page ya how to make someone admin on facebook page.
Ise bhi padhiye : Microsoft Account Kaise Banaye ? Aur Microsoft Sign Up Kyo Jaruri Hai
To friends ab nujhe puri ummid hai ki aapko maloom chal gaya hoga ki Facebook Page Role Kya hai aur Facebook Page Roles Kaise Use Kar sakte hai. Yadi aapko is post se related koi suggestion ho to hamare sath jarur share kare Ya fir koi problem face kar rahe ho to mujhse comment ke madhyam se puchh sakte hai ham aapko jaldi jawab dene ki puri koshish karenge. Yadi aapko ye tutorial helpful lage aur lagta hai ki isse other logo ki help ho sakti hai to apne friends ke sath jarur share kare.
rohaan says
hy surendra bro aap kaun sa template use kar rahe hai mujhe aapki thodi si madad chahiye theme ko customize karne me ?
Surendra Singh says
Rohan ji me ribbon theme use kar raha hu.
Rupa Kumari says
nice post surendra ji. loved to read this post 🙂
Anil Sahu says
Useful information.