Namaskar dosto, Is post me Bloglon.com aapko batane ja raha hai ki Google adsense ke link ads kaise banate hai jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Custom Adsense ad size ko Responsive kaise banaya ja sakta hai. Jaisa ki ham sab jante hai ki Adsense ek large ads network hai jo bloggers ko ad code provide karta hai jinhe vo apne blog ya website par lagakar achhi income earn kar sakte hai. Lekin yadi aap adsense ke dwara achhi income earn karna chahte hai to aapko adsense ko achhe se samajhna bahut jaruri hai nahi to aap badi income earn nahi kar sakte. Jyadatar logo ka ye manna hai ki iske dwara indian traffic se achhi income earn nahi kar sakte, Lekin me ye baat bilkul bhi nahi manta kyonki adsense earning keywords par depend karti hai na ki country par. Lekin ye baat jarur sach hai ki USA ki tulna me indian traffic ki income kafi kam hai lekin itni bhi kam nahi ki aapki mehnat ka pura fal na mile. Khair chhodiye ise aur link ads ke bare me aapko batate hai.
Yadi aap adsense use karte hai aur aap link ads ke bare me jyada kuchh nahi jante to is post ko aage padhte rahiye kyonki isme is tarah ke ads se kya kya fayde aur nuksan hote hai is bare me bhi batane wala hu. To chaliye sabse pahle jante hai ki Links ad kya hote hai.
Adsense link ads kya hote hai ?
Ye vo ads hote hai jo keyword (anchor text) par advertiser ke web page ki link add ki huyi hoti hai matlab advertiser ke keyword par link add hoti hai unhe link ads kahte hai.
Jab koi advertiser apne web page ya kisi product page ko Google se promote karwata hai to usse Google puchhta hai ki aapko kis keyword par apna promotion karna hai tab advertiser apne keyword ko add karta hai uske sath hi vo puchhta hai ki aapko link ad ke dwara promotion karna hai ya text & image ke dwara. Tab us keyword ka bid rate/cpc bhi advertiser apni requirement ke hisab se set kar deta hai. Link ads aur text & image ads ke bid rates alag alag hote hai. Advertiser jitna jyada bid rate set karta hai google utna hi jyada logo tak us ad ko pahunchata hai, Yahi rules sabhi tarah ke ads par follow hota hai chahe vo link ads ho ya other.
Ise bhi padhe: Blogger Blog me Adblock Disable code kaise add kare ?
Yadi aap Link ads ko apne blog me lagate hai vaise is tarah ke ads ko post me add kiya jata hai jo aapke page par ek Anchor text ke sath link ke format me dikhai dete hai.
Adsense ke link ads blog me kis jagah add kare ?
Me aapko batana chahunga ki is tarah ke ad unit nlog ya website ke content ke beech me use kiye jate hai matlab post me use kiye jate hai kyonki ye highly keyword related hote hai jo aapke post content aur visitor ki location ke hisab se show hote hai.
Yadi aapka adsense account approved hai aur aap apne blog ya website me is tarah ke ads lagana chahte hai to aapko hamesha dhyan rakhna hoga ki ek page ya post me aap keval 3 Link ads unit hi add kar sakte hai, Yadi aapne 3 se jyada link ad use kiye to aapka account disapprove ho sakta hai kyonki ye Adsense policy ke bilkul khilaf hai.
Link ads use karne ke kya fayde (profit) hai ?
Yadi ham is tarah ke ads lagane se hone wale fayde (profit) ke bare me bat karu to ye aapke content ke hisab se show hote hai aur inka sabse bada fayeda ye hai ki ye content ke beech me show hone ki vajah se click jyada milne ki ummid hoti hai, Jisse aapki income increase ho jati hai. Isme sabse achhi baat ye hai ki ye aapke content ke hisab se achhi bid rate provide karne wale ads hote hai jo aapki earning ke liye bahut important hote hai.
Ab aapne inke profit ke bare me achhi tarah se jan liya hai lekin is tarah ke ads ko use karne kuchh losses bhi hote hai jo sayad aap nahi jante honge, To chaliye inke losses ke bare me bhi thoda jankari le lete hai.
Link ads use karne ke kya Losses hai ?
Mujhe lagta hai jo newbie hai ya new adsense user hai unhe sayad is tarah ke ads se hone wale losses ke bare me bilkul hi knowledge nahi hoga, Isliye me aapko batana chahunga ki yadi aap apne blog me link ads use karte hai to ye aapke traffic ko bhi divert karte hai. Ab aap soch rahe honge aisa kaise ho sakta hai to me aapko batana chahunga aisa kaise ho jata hai.
Jaisa ki me aapko upar bata chuka hu ki is tarah ke ads aapke post content se related show hote hai, Jab aapka visitor is tarah ke ads par click karta hai to vo advertiser ke page par pahunch jata hai aur vo us web page ko read karne lagta hai yadi usko vo information achhi lagi to vo aapke page ko close kar deta hai aur vo us advertiser ke page ko follow karne lagta hai, jisse aapka Traffic loss ho jata hai. Aise bahut sare professional blogger hai jo link ads ko apne blog par use nahi karte hai.
Ise bhi padhe: Keyword stuffing kya hai aur isse Blog ko kaise bachaye
Ab aap achhi tarah samajh gaye honge ki is tarah ke kya profit hai aur kya losses hai, Ab aap khud hi decide kare ki inhe aap apne blog par use karna chahte hai ya nahi. Yadi aapne decide kar liya hai ki aap apne blog par link ads use karna chahte hai to aap ise aage jarur padhe kyonki ab me aapko batane wala hu ki apne blog ke liye is tarah ke ads kaise banate hai.
Blog ya Website ke liye link ads kaise banaye ?
Yadi aap apne blog ke liye link ads unit banana chahte hai to aapko hamare dwara bataye gaye points ko carefully follow karna hoga.
Sabse pahle apna Adsense account login kare.
- Ab My ads par click kare.
- Iske baad New ad unit par click kare.
- Ab Name wale field me Aap ads ka naam likh de jaise Bloglon Link ads etc.
- Ab Showing wale option me se Link ads select kar lijiye.
- Iske baad 200 x 90 ka ad select kare { is size ko use karna best hai}.
- Ab Save and get code par click kar de.
Ab aapke samne ek popup window open hogi jisme aapke blog ke liye link ads ka code diya jayega aap use apne blog me add kare.
Ise bhi padhe: Bidvertiser se 10,000 Rupay per month kaise kamaye
Yadi aap Adsense ad code apne blog ya website me add karna nahi jante hai to aap hamari next post me is bare me jankari prapt kar sakte hai.
Mujhe ummid hai ki aapko ab achhi tarah se maloom chal gaya hoga ki Google adsense ke link ads kaise banate hai. Ye tutorial aapko kaisa laga hame jarur bataye, Yadi is post se related koi problem ya suggestion hai to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapke suggestion ka welcome karte hai. Yadi ye post aapko helpful lage to please apne social media freinds ke saath jaroor share kare.
Vicky Pawar says
Ohh iska matlab hamari traffic kabhi bhi kam ho sakti he bhai to iske liye koi idea to hoga na ya fir image ads hi use kare..
Surendra Singh says
Ye aapke upar depend karta hai, aapko use karna hai to use kare nahi to image & text ads use kar sakte hai.
rohaan says
youst plgin me sitemap add karne ke baad search console se site map delete kare ya rahne de, ya dono me rahne de? sirf youst plugin me sitemap submit karne se bing, yandex, google me dobara site map submit karne ki jarurat to nahi hai na????
Aryan says
Link ads ko ek sath sari post me kaise lagaye bro
Surendra Singh says
Iske bare me post likh rha hu jald hi publish hogi.
Surendra mehra says
Bahut hi badhiya jankari di hai. link ad ke bare me itni jankari mili.
Nitesh Nayak says
Good information about adsense kya aap mujhe custom css code de sakte hain jo aapne ribbon theme me use kiya hai ??
1. Jo aapne post ki width ko increase karne ke liye lagaya hai
2. sidebar ki width ko increase karne ke liye
Surendra Singh says
Dear Nitesh Nayak ji aapne is post ko padha hota to aapki problem solve ho jati.
rupam says
Bro yeh btaye ki jo Latest Post ,Categories and search box me border show ho rha hai kaise add kiye or yeh comment box ke up me comment krne ke rules kaise add kiye.
Surendra Singh says
Thanks rupam ji Sidebar ko coding se change kiya gaya hai, Comment rules add karne ke liye aap ise padhiye WordPress Blog me Comment Policy Message add kare
Yps says
hello surendra g.
maine apnr website par AdSense show nhi kar raha h.aap khud check kar k bataiye kya fault h or ise kaise thik kare.
Surendra Singh says
Dear Yps, Jab aapka adsense fully approved ho jayega tab ads show hone lagenge.
Mahaveer Jain says
Thanku so much sir. Apne acchi tarah btaya
vakil says
hello sir mere website ko check karke bataiye ki kitane ads show ho rahe hai. or Maine sahi tarike se ads lagaye hai ya nahi vo bhi bataiye please Sir mera laptop abhi band hai
Surendra Singh says
Dear Vakil ji, aapki site par koi bhi ads show nahi ho raha hai.
vakil says
suvas75.com acchese check karke bataiye Maine Kal hi to dekhi hai Mobile me please check
Surendra Singh says
Aapki site, ye error message de rahi hai ” This website is temporarily unavailable “. Pahle aap ise theek kijiye. Aur aapke liye warning ⚠ hai ki aap comment message me apni site ka link na dale otherwise next time se comment publish nahi ki jayegi.
Deepak Shrivastav says
Hello, Surendra ji,
Aapse ye jaanna tha ke aap apni posts me ads lagane ke liye konse plugin ka istemal krte hai ?
Surendra Singh says
Dear Deepak Shrivastava ji, Maine kuchh ads direct theme me lagaye hai aur kuchh adinjection plugin ka use karke insert kiye hai. Thanks and keep visiting on bloglon.
zakaria says
aap ki post me jo 2 code hai. we kis size ke hai. aur kya aap link ad aur affiliated markiting ko use nah karte. kya ense kuchh nuksan hai. please jawab zaroor de.
Surendra Singh says
Me custom adsense size ko responsive banakar use karta hu.
Me link ads aur affiliated marketing bhi use karta hu, yadi inhe use karna sahi aata hai to koi loss nahi hai otherwise affiliate links se blog SEO harm ho sakta hai.
zakaria says
sir meri site ko dekhkar bataye ki maine posts header aur sidebar me ads sahi lagaye hai ya nahi. esse google ko to koei problem nahi hogi.
Surendra Singh says
Aapne jo header me ads lagaya hai vo mobile responsive nahi hai isliye responsive ads lagaiye.
zakaria says
sir bilkul sahi kaha aapne. mobile me header ad poora show hi nahi hota. mai kis size ka ads lagaoun. sir mai aapke ans ka wait kar raha hun. please help me. aur detail se bataai. mai kya karun.
aur doosri baat post me mere ads bahut chhote hote hai. ouske liye kya karun. jabki aap ke ads bade show hote hai.
Surendra Singh says
Aap header ads ke liye adsense account me jakar responsive ad unit create kijiye aur use use kijiye.
Me apne blog par custom ads ko responsive banakar use Kar raha hu, iske bare me post dali hai aap use follow karke is Tarah ke ads apne blog par bhi show Kar sakte ho.
Shailendra kumar says
Bhai Aapne bahayat achi jankari di link ads ke bare me
Rehan says
Thank You So Much Sir For Providing Information About Google Adsense.☺️
Sir Kya Google Adsense Par Ek E-Mail Se 2 Account Bana Sakte Hai??
Surendra Singh says
Nahi, Google Adsense par sirf ek hi account allow hai.