Namaskar dosto, Is post me Bloglon.com aapko batane ja raha hai ki WordPress site me Adsense ads kaise add karte hai, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Custom Adsense ad size ko Responsive kaise banate hai. Jaisa ki ham sab jante hai ki adsense ek aisa ad network hai jo publisher ko high click rate pay karta hai. Isliye aaj ham is post me ek plugin ka use karte huye adsense ads add karna sikhenge. Ad injection ek wordpress advertising plugin jo hame ads code ko apne blog me insert karne ki suvidha deti hai ( You can insert google adsense on wordpress blog easily by this plugin). Is plugin ke dwara ham sirf adsense ke ads hi nahi balki kisi bhi ad network ke ads apne blog ya website me laga sakte hai isiliye ise ad manager wordpress plugin bhi kaha jata hai. To chaliye is tutorial ko follow kariye.
Adsense ads lagane ke liye Ad injection plugin kyo use kare ?
Vaise to aap jante hi honge ki Ad injection kya hai fir bhi yadi aap iske bare me nahi jante hai to me aapko batana chahunga ki ye ek wordpress plugin hai jiske dwara asani se apni wordpress site me ads insert kar sakte hai. Matlab iski madad se you can monetize wordpress blog. Ab aapke dimag me ek question jarur aa raha hoga ki kya ham is plugin ke vagair wordpress blog me insert nahi kar sakte hai to me aapko iska bhi jabab dena chahunga ki yadi aap without plugin ad code insert karna chahte hai to iske liye aapko kuchh language ka knowledge ki jarurat padegi jaise html, css aur php jo ek newbie ke liye uchit nahi hai.
Koi bhi newbies in languages ko achhe se samajh nahi pata isliye is plugin ka use karke ham aapko without coding knowledge adsense ke ads lagana sikhane wale hai. To chaliye aage badhte hai aur sikhte hai ki ads lagane ke liye how to use ad injection plugin.
Ise bhi padhe: WordPress Blog me Comment Policy Message add kare
WordPress blog me adsense ads kaise lagaye ?
Yadi aapko WordPress site me ad injection plugin ke dwara adsense ads code lagana hai to uske liye hamare dwara niche bataye gaye steps ko carefully follow kare.
Step – 1
- Sabse pahle ad injection plugin download kare.
- Iske baad apne wordpress Dashboard ko login kare.
- Ab Ad injection plugin ko apne blog me install kare. Yadi aapko plugin install karna nahi aata to aap age badhne se pahle is post ko padhe – How to install wordpress plugins ?.
Step – 2
- Ab Settings par jaye.
- Ad Injection par click kare.
Step – 3
Ab aapko niche diye gaye kuchh screen shots ko follow karke plugin me settings karni hongi, Isliye images dekhe –
Ab thoda niche ki taraf scroll kare aur niche diye gaye screen shot ki help se apni settings kare –
Step – 4
Ab thoda aur niche ki taraf scroll kare is part me aapko apne google adsense ke ads code insert karne hai.
- Top ad wale section me aapko apna text & image wala adsense ads code enter karna hai jisse ads aapke pratyek post title ke niche show hoga. Yadi aapko full width aur 300px hight wala custome code ko responsive banana hai to ise jarur padhe Custom responsive adsense ad kaise banaye.
- Random ad wale section me aapko adsense Link ads code insert karna hai. Yadi aapko nahi maloom ki responsive Link ads kaise banaye jate hai to pahle is post ko jarur padh le – Google Adsense ke link ads kaise banaye.
- Alignment me Rand all select kare, jisse jab koi visitor aapki post ko read karega to ye link ads pratyek visitor ke liye post me apne hisab se place change karte rahenge paragraph settings ke hisab se.
- Bottom ad wale section me text & image ads code insert kare jaise Top ad wale section me kiya tha.
- Alignment me center select kare jisse aapke text & image ads left ya right nahi balki center me show honge.
- Ab save all settings par click kar dijiye.
Note – Iske alawa diye gaye option ko vaise hi chhod de, unme koi settings nahi karni hai. Ye sari settings Bloglon blog par lagaye gaye ads par nirdharit hai.
Ab aapki post me 3 link ads aur 3 text & image ads show hone lagenge jisme se text & image wale ads post title ke niche aur Link ads post ke beech me show hone lagenge isse aapke ads click rate bhi improve hogi aur income bhi.
Ise bhi padhe: Blog ya Website me Facebook like box kaise add kare
Mujhe ummid hai ki aapko ab achhi tarah se maloom chal gaya hoga ki WordPress site me Adsense ads kaise add karte hai. Ye Method aapko kaisi lagi hame jarur bataye, Yadi ad injection wordpress tutorial se related koi problem ya suggestion hai to aap comments ke madhyam se hamare saath jarur share kare ham aapke suggestion ka welcome karte hai. Yadi ye guide aapko helpful lage to please apne social media freinds ke saath jaroor share kare.
Shibam Kar says
Thanks vai. Isse leke mujhe bhi problem ho raha tha. You solved that. Thanks.
surendra rsdp says
Mai Isski Ke Baare Me Search Kar Raha Tha Jo Ki Mujhe aapke Blog Par Ad Injection topic ki Puri Guide Mili . Thanks .
Brother Aapki Site Chrome browse me Sahi Show Nahi Ho Rahi Hai . Isse Aap Jaldi Se Sahi Kare
Surendra Singh says
Dear surendra rsdp ji site me koi problem nahi hai sare browser par achhe se show kar rahi hai ho sakta hai aapke net speed ki koi problem ho.
Lovejeet says
Helo brother.
Mera adsense apporved hua hai.
Mene ek response ad lga diya tha homepage par java javascript wala .
Or ab adsense apporved ho gya to ab me ads lgana chahata hoon mene pehle se ek response ads lga rakha he bilkul niche javascript wala to me ab me use iage vale ko lga rehna chahata hoon to ab me post me kitne adse use jar sakta hoon do image wale or ek text wala ya do ads hi lga sakta hoon keoki mene pehle ek niche lga rakha hai me post me konse ads use kar sakta hoon or kitne jroor btayein.
Surendra Singh says
Dear Lovejeet ji, WordPress blog me adsense ads lagane ke liye ise padhiye WordPress blog me Adsense ads kaise lagaye
Ravi Sharma says
Nice post bhai
vicky says
kya hum ad injection plugin use karte time kisi tarah ka plugin use kar sakte hai….? kyoki isme bola gya hai ki sabhi cache plugin ko delete karne
Surendra Singh says
Bilkul kisi bhi plugin ko use Kar sakte ho, usme ye Bola hoga ki yadi aap cache plugin ko use Karte hai to pahle cache delete kare. So you can use any plugin with adinjection plugin.
anu says
hello sir ek side image aur dusri aur taxt google adsense ki ads ko kaise karte hai
Surendra Singh says
Iska jawab aapko de chuka hu wo In article ads hote hai.
VIJENDRA Rajput says
Hello sir
Kal mene adsense par account create kiya lekin jaisa logo ne bataya hai waisa form open hokar nahi aaya sir me aapko details me batata hu jo mene form fill kiya.
1.adsense.com par gaya sign up par click kiya and ek form aaya usme mene site url type kiya or ek par tic mark ke liye bol raha tha wo kiya and last me create account ke option par click kiya
2. ab derect adsense ka home page open hua and usme ek form or fill karne ke liye aaraha tha payment address deteils jab mene usko fill karne ke bad ek code mila.
3. code paste karne ke liye message show ho raha tha ki code ko head ke neeche paste kare
4. code ko editor> theme header and frist me jo head ka option hai uske niche paste kiya lekin ads blank show honi chahiye nahi ho rahi.
5. sir header me head ka option kayi jagah hai kaya mene code ko sahi jagah paste kiya hai ya wrong jagah
6. sir jo mene acc. create kiya hai wo sahi create kiya hai ya wrong. plz. sir help me.
Surendra Singh says
आपने सब कुछ सही किया है कोई परेशानी वाली बात नहीं है Adsense का code add किया है वो
के नीचे या के ऊपर add करना है जो सायद आपने किया होगा, रही बात blank space show होने की तो वो code इसलिए नहीं होता कि ads show हों या blank space show हो, बल्कि वो code adsense इसलिए add करवाता है जिससे उसे पता चल जाये कि इस वेबसाइट के owner ने ही apply किया है किसी भी फेक user ने नहीं, Its called साईट वेरिफिकेशन. इसलिए कुछ भी show नहीं होगा.अब जब adsense रिव्यु करेगा तब आपको ad code देगा जिसे लगाने पर blank space या ads show होंगे, मुझे लगता है अब आपकी confusion क्लियर हो गयी होगी.
Sant Lal says
Sir, Adsense Infeed Ads Ko wordpress pr kaise lgayen.
Surendra Singh says
Aap thoda wait kijiye jald hi is bare me post share kar di jayegi.
Deepu says
sir maine adsense account main ek hi add unit create kiya hai. uske code ko main teeno main top add,random add,bottom add paste kar diya hai. toh kya mujhe teeno ke liye alag alag add unit banana tha
Surendra Singh says
Yadi aap alag alag ad unit banakar lagate to jyada achha hota, vaise koi problem nahi hai aap ek hi ad sabhi jagah laga sakte hai.
Sonjoy Lama says
आपका बहुत बहुत धन्यवाद काफी अच्छा पोस्ट इसे मुझे काफी हेल्प हुई । क्योंकि अभी 2 दिन ही हुए है मैंने अपने ब्लॉग को वर्डप्रेस पर shift किया तो इस बारे में मुझे कोई Idea नही था कि Wordpess ब्लॉग पर ads कैसे लगते है ।