Namaskar Dosto, Is post me Bloglon.com aapko batane ja raha hai ki Yandex Webmaster Tools me Blog Kaise Add Karte hai, Jabki maine apni pichhli post me aapko bataya tha ki Bing Webmaster Tool Me WordPress Blog Kaise Submit Karte hai. Yadi aap ek Blogger hai aur aapka apna blog ya website hai to abhi tak SEO ke liye Google search console aur Bing webmaster tools jaise bade search engine me apna blog submit kiya hoga. Lekin aaj ki is post me aapko aise hi ek aur Webmaster tool ke bare me batane wala hu, Jisme bhi apni site ya blog ka url submit karna aapke website ke SEO ke liye bahut hi important hota hai. Jo newbies hai unhe Yandex ke bare me sayad hi hai ki maloom ho, Isliye bane rahiye Bloglon ke sath aur janiye is search engine ke bare me.
Yandex Webmaster Tools me website kyo kare ?
Yandex ek Google search engine ki tarah hai jo hame Free web submission offer karta hai. Vaise yadi iske past ki baat kare to ye 2011 me launch kiya gaya tha jo ki Russia ka search engine hai jo Russian language me available hota hai. Lekin iska matlab ye nahi ki ye other language me available nahi hai. Ye English language me bhi upalabdh hai. Iski service bhi bilkul Google, Yahoo aur Bing ki hi tarah hoti hai.
Ise bhi padhiye : Submit Site To Google Search Console, Step by step Guide in hindi
Yadi aap is search engine me apna blog ya website submit karte hai to aap apne blog par worldwide traffic prapt kar sakte hai. Ab aapke mind me ek question jarur aa raha hoga ki yadi koi blog Hinglish ya Hindi language me hai to vo kaise is search engine se traffic prapt kar sakte hai to iska jawab ye hai ki Russia me bhi kuchh indian hai jo aapke reader ban sakte hai. Isliye apne blog ya site ko Yandex Webmaster tools me bhi jarur add kare. To chaliye aage badhte hai aur jante hai ki how to Submit Website to Yandex.
Yandex Webmaster Tools me apna Blog kaise add kare ?
Yadi aap apna blog ya website is search engine me submit karna chahte hai to aap niche diye gaye steps ko carefully follow kijiye –
Step – 1
Sabse pahle aapko Yandex.com par Login kare. yadi aapne account nahi banaya hai to bana le kyonki without login kiye ham ise use nahi kar sakte.
Step – 2
Ab aap Yandex webmaster tool par jane ke liye webmaster.yandex.com par click kare.
- Blog submit karne ke liye + Button par click kariye.
- Site address wale field me Blog URL fill kare without http// ke.
- Ab Add par click kar dijiye.
Step – 3
Ab aapke samne ek new window open hogi jisme aapko apna blog ya site ko verify karne ke liye meta tag diya gaya hoga to us –
- Meta tag ko copy kar lijiye aur apne blog ke template ya theme me jakar <head> tag ke niche paste kar dijiye. Yadi aapka WordPress blog hai to header.php file me <heade> ke niche paste kar de. Yadi aap SEO yoast plugin use karte hai to – SEO >>Dashboard me jaye aur Webmaster tools par click kar de fir Yandex Webmaster wale field me copy kiya hua meta tag paste kar de aur save par click kare.
- Ab Yandex webmaster tool me aaye aur Check button par click kijiye.
Congratulation ! Ab aapki site ya blog Yandex webmaster tools me successfully add ho chuka hai.
Ise bhi padhiye : How to create Sitemap for your blog or website? in Hindi
Ab me mantu hu ki aapko achhe se samajh me aa gaya hoga ki Yandex webmaster tools me apna blog kaise add karte hai. Yadi “Blog Ko Yandex Webmaster Tools Me Submit Kaise Karte Hai” iske bare me koi suggestion ya confusion hai to aap comment ke madhyam se hamse puchh sakte hai, Ham aapko jaldi jawab dene ki koshish karenge. Yadi ye tutorial aapko pasand aaya ho aur lagta ho ki isse aapke kisi friends ki help ho sakti hai to ise apne friends ke sath jarur share kare.
Rupa Kumari says
main isme blogger blog ko bhi add kar sakti hun kya ? lekin india me to sabhi google ka hi prayog karte hain na ??
Surendra Singh says
Rupa Kumari ji, aapko apna blog Google, Bing aur Yandex tino search engine par submit karna chahiye. Keep visiting on bloglon….
Pawan says
Sir yandex koi use hi nahi karta hai fir bi submit karna jaruri hai kya
Surendra Singh says
Me to aapko suggest karunga ki aapko apna blog yandex me submit karna chahiye.
Reny John says
Surendra Ji,
achai jankari mili mujhe mai pahale yandex ke bare me janta nahi tha bing aur google ke hi bare me janta tha sukriya kafi saral tarike se ye apne bataya aur maine apni site ko set bhi kar liye. sukriya
neelesh says
Sir maine blog yandex webmaster me yoest plugin ka sitemap submit kar diya hai par isme 64 error aa rhi hai
Isme likha hai status 64 errors aur in error par click krne par unknown tag image:image(25 warning) likha hai sir ise kaise fix karu please bataye
Surendra Singh says
Jo errors aa Rahe hai unhe aise hi rahne dijiye, kyonki yandex webmaster me submit hona jyada important nahi hai.